Mack Rutherford | The youngest person to fly around the world solo

Spread the love

Mack Rutherford ek 17 saal ka ladke hai jo duniya ko apni aankhon se dekhna chahta the. 16 saal ki umar mein, unho ne ek faisla liya jo na sirf unke liye, balkay pure duniya ke liye ek nayi soch ka paigham tha. March 2022 mein, unoh ne apna safar Sofia, Bulgaria se shuru kiya, apne sapno ko haqiqat banane ke liye. Unka ek he maqsad tha – youngest person to fly around the world solo ka world record todna, jo ab tak ek 18 saal ke shaks ke paas tha.

Mack Rutherford | The youngest person to fly around the world solo

Mack Rutherford Ka Safar

Mack Rutherford, ek young aviator, apne junoon aur himmat se duniya bhar mein mashhoor ho gaye hai. Jab unhone apna safar shuru kiya, unki umar sirf 16 saal thi, aur ab wo youngest person to fly around the world solo ban gaye hain.
Mack ka safar sirf unke liye nahi, balkay unke family aur behen Zara Rutherford ke liye bhi ek proud moment hai. Zara bhi ek world-record-holding pilot hain, aur unhone apne bhai ko inspire kiya hai.

Flying Ka Junoon

Mack ne bachpan se hi flying ka junoon apne andar mehsoos kiya. Jab wo 11 saal ke the, unhone decide kiya ke unko sirf flying karni hai. Unke dad, jo ek professional pilot hain, ke saath unhone apni training shuru ki. 15 saal ki umar mein unhone apni microlight pilot license hasil ki, aur us waqt wo duniya ke sabse young microlight pilot the. Is safar se pehle, unhone do(2) Trans-Atlantic crossings bhi complete ki thi.

Mack Rutherford | The youngest person to fly around the world solo

52 Mumalik Aur 5 Continents Ka Safar

Mack ka safar 52 countries aur 5 continents ko cover karta hai. Sofia, Bulgaria se apne safar ki shuruat karte hue, unhone Mediterranean Sea se lekar Sahara Desert aur Congolese jungle tak safar kiya. Uske baad, unhone Mozambique, Madagascar, aur Mauritius jaise destinations ko cross kiya, phir Rodrigues Island ki taraf rukh kiya.

Macksolo Team 1 YEAR SINCE WORLD RECORD TODAY On the 24th of August 2022 Mack Rutherford became the youngest person to fly solo around the world when he landed in Sofia Bulgaria home of his sp

Mack ka safar yahan tak rukne wala nahi tha. Unhone Seychelles, Socotra (Yemen ka island), Oman, UAE, India, China, South Korea, aur Japan ko bhi cross kiya. Uske baad, wo Bering Strait ke zariye Alaska pahunchay, aur phir west coast of the US, Baja California, aur Isla Socorro (Pacific Island) tak safar kiya.
Mack ne Mexico, Texas, New York, aur Canada ko cross karte hue apne safar ki final stages complete ki, aur phir Greenland, Iceland, aur Scotland se ho kar Sofia, Bulgaria wapas laut aaye.

Safar ke Dauran

Safar ke dauran, Mack ne har kadam pe apne sapno ko apni manzil banane ki koshish ki. Uske liye yeh safar sirf ek personal achievement nahi, balkay ek paigham tha duniya ke har young insaan ke liye. Wo chahta tha ke har bacha, har young person yeh samjhe ke “koi bhi sapna, chahe wo kitna bhi bada ho, haqeeqat ban sakta hai agar aap uske liye mehnat aur dedication dikhayein.”

Mack Rutherford | The youngest person to fly around the world solo

Jab Mack ne apne safar ke dauran duniya ke kone kone mein logon se mulaqat ki, usne dekha ke kis tarah duniya ke har kone mein young log apne communities ke liye kaam kar rahe hain, apni zindagi ko behtar bana rahe hain. Mack ne apni journey ke har kadam par yeh seekha ke duniya ke har hissa mein young log apne dream ko jeene ke liye hard work kar rahe hain.

Unhone apni kahani ko duniya tak pohnchane ke liye social media ka sahara liya. Har update, har moment, wo apne followers ke saath share karta raha.

Breaking the Record

Mack ne apne safar ke dauran sirf world records nahi banaye, balkay wo youngest person to fly around the world solo ke title ke liye compete kar rahe the. Is safar mein unhone apni family ki support ko feel kiya, aur apni behen Zara se inspiration li.

Mack Rutherford ne apne safar ke dauran na sirf duniya ka chakkar tanha lagane ka apna sapna pura kiya, balki kai world records bhi apne naam kiye. Unhone apne 17th birthday ke din plane par celebration kiya, aur us din unhone 4 Guinness World Record titles jeete:

  1. Youngest person to circumnavigate the world by aircraft solo
  2. Youngest person to circumnavigate the world by aircraft solo (male)
  3. Youngest person to circumnavigate the world by microlight solo (male)
  4. Youngest person to circumnavigate the world by microlight solo
Mack Rutherford | The youngest person to fly around the world solo

Mack ka yeh safar sirf unki aviation skills ko hi nahi, balkay unki passion aur determination ko bhi dikhata hai. Unka yeh mission duniya bhar mein young logon ko inspire karne ka hai ki, ke umar sirf ek number hoti hai, agar hausla ho toh kuch bhi mumkin hai.

Mack Ka Paigham

Mack ka maanna hai ke “young people can make a difference” aur is safar ke zariye wo duniya ko yeh batana chahte hain ke umar sirf ek number hai jab aapke paas junoon aur dedication ho.

Mack ka yeh safar sirf flying ka nahi tha, yeh ek misaal tha uss jazbe ki jo har young insaan mein chhupa hota hai. Wo chahta tha ke apne safar ke zariye duniya ko yeh samjha sake ke age sirf ek number hai, agar aapke paas passion ho, toh aap kuch bhi kar sakte ho.

Jab Mack ne apne safar ko complete kiya aur youngest person to fly around the world solo ka title jeeta, toh usne yeh dikhaya ke sapne sach mein sach ho sakte hain, agar unhe dil se chaha jaye.


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top