Eid MIlad-un-Nabi Kalaam ♥ Kalam e Mufti e Azam ♥ Samaan e Bakhshish
Ye Kis Shahenshah e Wala Ki Aamad Aamad Hai
Yeh Kaun Se Shah-E-Baala Ki Aamad Aamad Hai
Yeh Aaj Taare Zameen Ki Taraf Hain Kyu Maayeel
Yeh Aasmaa’n Se Paiham Hai Noor Kyu Naazil
Ye Aaj Kya Hai Zamaane Ne Rang Badla Hai
Ye Aaj Kya Hai Ke Aalam Ka Dhang Badla Hai
Yeh Kis Shahenshah-E-Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marhaba Bolo Marhaba, Bolo Marhaba Bolo Marhaba
Yeh Aaj Kaahe Ki Shaadi Hai Arsh Kyu Jhooma
Labe Zamee’n Ko Labe Aasmaa’n Ne Kyun Chooma
Yeh Kis Shahenshah-E-Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marhaba Bolo Marhaba, Bolo Marhaba Bolo Marhaba
Rusool Unhi Ka To Muzdah Sunane Aaye Hai
Unhi Ke Aane Ki Khushiya Manane Aaye Hai
Firishte Aaj Jo Dhume Machane Aaye He
Unhi Ke Aane Ki Shadi Rachane Aaye He
Falak Ke Hur O Malak Geet Gaane Aaye He
Ki Do Jahan Me Ye Danke Bajane Aaye He
Ye Bhule Bichdo Ko Raste Pe Laane Aaye He
Ye Bhule Bhatko Ko Hadi Banane Aaye He
Chamak Se Apni Jahan Jagmagane Aaye He
Mahak Se Apni Ye Kunche Basane Aaye He
Naseem E Faiz Se Gunche Khilane Aaye He
Karam Ki Apni Bahaare Dikhane Aaye He
Yahi To Sote Huwo Ko Jagane Aaye He
Yahi To Rote Huwo Ko Hasane Aaye He
Unhe Khuda Ne Kiya Apne Milk Ka Malik
Unhi Ke Qabze Me Rabb Ke Khazane Aaye He
Jo Chahenge Jise Chahenge Ye Use Denge
Kareem He Ye Khazane Lutane Aaye He
Rauf Aise He Ye Aur Raheem He Itne
Ki Girte Padto Ko Seene Lagane Aaye He
Sunoge “La” Na Zabaan E Kareem Se Noؔori
Ye Faiz O Jood Ke Dariya Bahane Aaye He