Islamic history aur qayamat ki nishaniyon ka zikr kiya jaye to ek ahem aur khofnaak nishani Yajuj and Majuj (Gog and Magog) ka zahoor hai. Yeh ek aisi makhlooq hai jo duniya ke liye azeem fitna aur fasaad ka sabab banegi. Quran aur Hadees ki roshni me Yajuj and Majuj ka zikr aata hai jo qayamat se pehle duniya me ek bada hungama barpa karenge.
Yajuj Majuj abhi bhi duniya me hai, Yajooj Majooj diwaar ke peechhe qaid hone se pahle zameer par azaad phirte the aur fasad phailate the. Allah ne Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ ke haathon ek mazboot deewar banwai jo unke aur insani duniya ke darmiyan ek rukawat bani. Magar jab Allah ka hukm hoga, yeh deewar toot jayegi aur Yajuj and Majuj duniya me fasaad phailayenge.

Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ
Duniya me sirf chaar aise hukmaran guzre hain jo poori duniya par hukumat kar chuke hain:
🔹 Do kafir:
1️⃣ Namrood
2️⃣ Bakht-e-Nasar
🔹 Do Musalman:
1️⃣ Hazrat Suleman علیہ السلام
2️⃣ Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ
Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ ka asal naam Sikandar tha. Aap Hazrat Shaam bin Nooh علیہ السلام ki nasl se hain aur Hazrat Khizr علیہ السلام ke khaala zaad bhai (cousin) hain. Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ ne Hazrat Ibrahim Khalilullah علیہ السلام ke haathon Islam qabool kiya aur unke sahbat ka sharaf mila. Aap Nabi ya Rasool nahi balki Allah ke ek buzurg aur Wali hain.

Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ka Safar Aur Yajuj and Majuj Ki Deewar
Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ ne apne daur me duniya ke teen simton (directions) ka safar kiya:
➡ West (Maghrib) – Jahan suraj ghuroob hota hai waha tak pohonche aur gair Muslimo ko imaan ki dawat di.
➡ East (Mashriq) – Jahan suraj tuloo hota hai waha tak pohonche aur logon ko Islam ki dawat di.
➡ North (Shumaal) – Yahan do oonche pahadon ke darmiyan ek ajnabi qaum se mulaqat hui.
North me jab gaye to wo Do oonche oonche pahad ke darmiyan pahunche. Waha unhe ek qaum mili jo baatcheet (conversation) me bahot alag thi. Unho ne samjhane ke tariqe se Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ ko Yajuj Majuj ki shikayat ki aur unke baare me bataya. Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ ko qabile ki juban samjhna Allah ki maherbani thi. Qaum ke log ne kaha hum maal wa daulat ke saath aap ke saath hai bas aap hamare aur Yajooj Majooj ke darmiyan diwaar khadi karde. Ispar Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ ne kaha ki Allah ke fazl wa karam se mere paas maal wa daulat bahot hai, bas tum log apne jism wa taqat se meri madad karo.
Yajuj and Majuj Ki Deewar
Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ ne unlogo se Paththar ke size ke lohe mangwaye aur un se zameen khudwai yaha tak ki khudai zameen ki tah me Pani tak pahoch gayi. Phir Aap رضی اللہ تعالیٰ عنہ ne usme tamba (Copper) pighla (melt) karke dalwaya aur upar neeche lohe ki takhti banadi aur beech me paththar aur Koyla daal kar aag laga di. Deewar dono pahaad ke bulandi tak pahoch gayi aur copper, lohe ke melt(pighla hua) ki wajah se deewar aur shakht ho gaye.
Jab diwaar mukammal ho gayi to Hazrat Zulqarnain رضی اللہ تعالیٰ عنہ ne farmaya:
“Yeh mere Rab ki rehmat hai, jab uska hukm hoga to yeh toot jayegi.”
Yajuj and Majuj Kaun Hain?
Yeh yafas bin Nooh علیہ السلام ki aulad mein say fasadi tola(group) hain. In ki tadad bohat zyada hai. Inki tadaad yuh batai jaati hai ki 1 Insaan par 1000 Yajooj Majooj. Woh pehly zameen mein fasad karte they. Bahar ki dinon (spring season) mein nikaltay they. Sabza(Greenish), Pani sab saaf kar jaate Aisa ki jaise kabhi waha kuch tha hi nahi. Admiyon ko kha lete they. Jungle ke darindon, wehshi janwaron, saanpon, bichyoun ko kha jate they baqi apne saath le jate. Aur jab inka Zahoor hoga to wapas se ye log yahi karenge.
Yajuj and Majuj Ke Zahoor Ki Nishani
Yajuj and Majuj ka zahoor hone se pehle duniya se 6 azeem cheezein uthali jayengi:
1️⃣ Qur’an
2️⃣ Ilm ( Knowledge)
3️⃣ Hajr-e-Aswad (Black Stone)
4️⃣ Maqam-e-Ibrahim
5️⃣ Hazrat Musa علیہ السلام ka Taboot-e-Sakina
6️⃣ Jannati Dariya (Shahuoon, Zahuoon, Dajla, Furaat, Neel)


Yajuj Majuj ka Zahoor
Hadees me aata hai ki Rasoolallahﷺ farmate hai;
Ye log (Yajooj Majooj) har roz diwaar todte hai aur shaam hone tak jab thodi Bach jaati hai to inke qabile ka sardar kahta hai chalo baqi ka kal karenge. Jab kal wo ayenge to wo diwaar sahi aur pahle se aur mazboot ho jayegi. Ye silsila inke Zahoor hone tak chalta rahega. Jab Allah chahega to ek din inke dilo me daal dega aur us din kahne wala kahega ki chalo InShaAllah kal ise tod denge. InShaAllah ki barkat se agle din wo diwaar waise hi rahegi jaise chod kar jayenge uske baad wo use tode denge aur zameen par phail jayenge aur fasaad phailayenge.
Jab Zameen par tamaam kheti khalenge, tamam paani pilenge, insaano aur janwaro ko maar denge to wo asmaan walo ko marne ki soch me asmaan me teer(archery) chhodenge, Allah ke chahne se wo teer khoon se lag kar wapas ayegi aur wo ye samajhenge ki humne asmaan walo ko bhi maar diya.
Yajuj and Majuj Ki Tabahi Aur Hazrat Eisa علیہ السلام
Shaam(Syria) me Hazrat Eisa علیہ السلام Dajjal ko marne ke baad Koh e Toor par Musalmano ko lekar jayenge aur Allah se dua karenge Yajooj Majooj ki halakat ke liye. Aap ki dua se Yajooj Majooj ke gardan(Nech) me Allahﷻ ek keeda paida karega jis se sab mar jayenge. Poore zameen par unki lashe padhi badbu maaregi. Phir Hazrat Eisa علیہ السلام Allah ki bargah me dua karenge to Allahﷻ Asmaan se parinde bheje aur jaha chahega wo parinde un lasho ko waha chod denge. Phir tamam musalmano Yajooj Majooj ki Talwaaro aur degar cheejo ko 7 saal tak jalaayenge.
Allah ke hukm se:
✔️ Bade parindey unki laashen utha kar kahin aur gira denge.
✔️ Zameen o Asmaan apni barkatein barsayenge.
✔️ Ek anaar ek qabeela ke liye kaafi hoga.
✔️ Ek ootni ka doodh poore qabeela ke liye kaafi hoga.
FAQ’s
Kya Yajooj Majooj insan hain ya koi aur makhlooq?
Haan, Yajooj Majooj Hazrat Nooh علیہ السلام ki nasl se hain, lekin yeh ek azeem aur khatarnaak qabeela hai jo insano se mukhtalif hai.
Kya Yajooj Majooj ab bhi zinda hain?
Haan, wo ab bhi zinda hain lekin ek mazboot deewar ke peechay roke gaye hain jo qayamat ke qareeb Allah ke hukm se tootegi.
Yajooj Majooj kab niklenge?
Yajooj Majooj ka zahoor Dajjal ke qatal ke baad hoga, jab duniya me fasaad barh chuka hoga.
Kya hum Yajooj Majooj ki deewar dekh sakte hain?
Nahi, Allah ne is deewar ko insano ki nazar se chhupa rakha hai.
Yajooj Majooj ko kaun khatam karega?
Hazrat Eisa علیہ السلام Musalmanon ke sath dua karenge aur Allah unke gardano me ek keeda paida karega jo unko halaak kar dega.
Kitne log Yajuj and Majuj me shamil hain?
Hadees ke mutabiq har ek insaan ke muqable 1000 Yajuj and Majuj honge.
May Allah hume is fitne se mehfooz rakhe. Ameen!
– Jazakallahu Khaira for Read –