Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Wo Khushnaseeb Log The | Islamic Poetry | Naat

Spread the love

Wo Khushnaseeb Log The Jo Daur e Mustafa Me The | Poetry Naat

Wo Inteha e Ishq Thi, Ya Noor e Behisab Tha
Mai Qaid o Band o Waqt Se Azad Us Sadi Me Tha
Wo Daur e Mustafa Tha Mai Madina e Nabi Me Tha

“Sahabi Jaate Hai Aapﷺ Ke Paas Aur Arz Karte Hai Ji”

Aane Wale Daur Ka Ummati Hai Gunahgaar
Hind Se Ye Hai Huzoor Hai Magar Shiakaar
Muskura Kar Aapne Kaha Ki Rokna Nahi
Ummati Hai Aur Wo Bhi Aane Wale Daur Ka
Tay Hua Asr Ke Baad Hogi Meri Hazri
Ru Ba Ru Huzoor Ke Paas Hogi Meri Hazri
Tasawar e Adalat e Nabi Kiya To Dar Gaya
Ki Ja Ke Kya Kahunga Mai To Soch Ke Hi Mar Gaya
Sahabi e Rasool Ne Kaha Ki Baith Ja Yaha
Mahfil e Huzoor Ke Usool Seekh Ley Zara
Baithna Sikha Rahe The Mujhko Ho Ki Is Tarah
Chal Ke Bhi Dikkha Rahe The Mujhko Ho Ki Is Tarah
Yeh Bhi Kah Rahe The Khwamakhwan Se Muh Na Kholna
Bol Ke Bata Rahe The Ki Is Tarah Se Bolna

Wo Khushnaseeb Log The Jo Daur e Mustafaﷺ Me The
Fiza Bhi Khishnaseeb Thi Zameen Bhi Khusnaseeb Thi
Naya Naya Khila Khila Sa Neela Asmaan Tha
Purani Tarz Par Bane Naye Naye Makaan The
Kai Gharo Me Oonth The Kai Gharo Me Bakriyan
Pak Raha Tha Kuch Jaha Pe Jal Rahi Thi Lakdiyan
Itne Me Azaan Hui To Rongte Khade Hue
Dil Ke Jaise Khul Gaye Ho Taaley Sab Padhe Hue
Wo Asmaan Ka Raag Tha Wo Dawat e Bilal Thi
Mere Liye To Dawat e Wisal o Jamal Thi
Dho Liya Naha Ke Maine Wazu Bhi Bana Liya
Nisbat e Huzoor Maine Uod Bhi Laga Liya

Ghar Se Ham Nikal Padhe Sahabi e Rasool Ke
Ja Rahe The Sabhi Simt Masjid e Rasool Ke
Wo Dadkane Azeeb Thi Wo Kapkapi Kamal Thi
Ki Aaankh Ask Baar Thi Sarapa e Malal Thi
Rooh Thi Ki Deed Ki Tadap Tadap Tadap Tadap
Dil Mera Dhadak Dhadak Dhadak Dhadak
Har Qadam Par Badh Raha Tha Sauq e Deed e Mustafa
Aur Har Qadam Peh Ghat Raha Tha Fasilah Huzoor Se
Muskura Kar Dekhte The Yuh Sahaba e Ikram
Jaise Ki Wo Jante Ho Kaun Hai Yeh Nawjawan
Dekh Ke Sahabio Ki Pyari Pyari Dhadiya
Jaane Kaise Ruk Gaya Mai Chaukhat e Huzoor Peh
Ki Sunnat e Rasool Ke Begair Kaise Jaoge
Yeh Na Ho Ki Pher Le Huzoor Chahra e Qamar
Jaise Hi Bhala Khayal Dil Ki Mere Aa Gaya
Nisbat e Huzoor Maine Chahra Bhi Saja Liya

Watch & Listen on Youtube

Haa Ye Baat Sach Haqiqat Yahi Hai | Lyrics | Hasrat e Deedar e Nabi
Sari Sadiyon Pe Jo Bhari Hai Wo Lamha Milta | Lyrics | Naat | Urdu Poetry


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top