Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Wo Kamale Husne Huzoor Hai | Sharah/Explation | Kalam e Ala Hazrat

Spread the love

Wo Kamale Husne Huzoor Hai

1

Table of Contents

Wo Kamal e Husn e Huzoor Hai Ki Guman e Naqs Jaha Nahi

Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Shama’a Hai Ki Dhua Nahi


Word Meaning​

  • Guman: Khayal
  • Naqs: Ayeb, Kami
  • Khaar: Kaanta
  • Shama’a: Candle, Chirag
  • Tashreeh/Explanation

    Aaqa e Do Jahan Huzoor Purnoorﷺ ke Husn ka wo Kamaal hai ki aap ke Husn me Ayeb kya Ayeb ka Khayal bhi nahi hai. Ji Beshak Phool bahot Khoobsurat hote hai lakin un me kaanta ek Ayeb hai lakin Huzoor Purnoorﷺ ke Lab Phool, Dahan Phool, Zaqan Phool, Badan Phool par ye Phool kaanto se Be-Ayeb hai. Isi Tarah Chirag se Dhua koi Juda nahi kar sakta Dhua hona Shama’a ke liye Ayeb lakin Huzoor Purnoorﷺ wo Shama’a e Risalat hai ki is Shama’a me Dhua bhi nahi. Beshak Huzoor Purnoorﷺ Allah ki Ata se Tamam Ayeb, Ayen e Guman se Paak hai.

    Sahabi e Rasoolﷺ Hazrat Hassan bin Sabitرضي الله عنه Farmate hai na;

    “Wa Ahsanu Minka Lam Tara Qattu Ayeini
    Wa Ajmalu Minka Lam Talidi’n nisaa
    Khuliqta Mubarraan Min Kulli Ayeb
    Ka Annaka Qad Jhalaqta kamaa Tashaa”


    2

    Do Jaha Ki Bahtariyan Nahi Ki Amani e Dil wa Jaan Nahi

    Kaho Kya Hai Wah Jo Yaha Nahi Magar Ek “Nahi” Ki Wah Haa Nahi


    Word Meaning​

  • Amani: Aram, Sukoon
  • Tashreeh/Explanation

    Dono Jaha ki Bhalaiya, Duniya wa Akhirat ka Sukoon, Dil o Jaan ki tamannao ka poora hona, kya koi ayesi Na’amat hai jo Huzoorﷺ ke dar par nahi milti, beshak ayesi koi cheej nahi jo Huzoor ke Qadmo se na mile, lakin haa ek cheej hai jo nahi milti hai wo hai “laa”(Nahi), aap ke dar se koi sail kabhi nahi sunta.

    Az-khud Aalahazrat ek aur Kalam me Farmate hai

    Waah Kya Judo Karam Hai Shah e Batha Tera
    Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Wala Tera”


    3

    Mai Nisaar Tere Kalaam Par Mili Yuh To Kis Ko Juban Nahi

    Wah ¹Sukhan Hai Jis Me ²Sukhan Na Ho Wah Bayan Hai Jis Ka Bayan Nahi


    Word Meaning​

  • Nisaar: Qurban
  • ¹Sukhan: Baat, Kalaam
  • ²Sukhan: Ayetraaz
  • Tashreeh/Explanation

    Ya Rasoolallahﷺ mai aap ke kalaam par Qurbaan hi jau,Yuh to bahoto ko Juban mili lakin aap sa koi nahi, Har ki har baat la-saani hai, Aap ke kalaam(baat) me Ayetraaz ki gunjaish hi nahi, bade bado ne aap ke kalaam ke aage Sar e Tasleem kham kar liya.

    Ek Shaer Farmate hai na;

    “Keh uthe Besakhta sun ker Fasihane Arab
    Ho nahi sakti bashar ki Mustafa ki Guftagu”


    4

    Ba-Khuda Khuda Ka Yahi Hai Dar Nahi Aur Koi Mafarr Maqarr

    Jo Waha Se Ho Yahi Aake Ho Jo Yaha Nahi To Waha Nahi


    Word Meaning​

  • Ba-Khuda: Khuda ki Qasm
  • Mafarr: Bhagne Ki Jagah
  • Maqarr: Panah ki Jagah
  • (Mafarr Maqarr: Dono ek saath istemaal hote hai jis ka meaning banta hai “Bhaagne ki Jagah Jaha Panah mile”)
  • Tashreeh/Explanation

    Qasam Khuda ki Jo Allah ka Dar hai wahi Huzoorﷺ ka Dar Hai, Is ke ilawa kahi aur Panah ki Jagah nahi, is dar ke ilawa kahi aur Aman wa Sukoon Nahi,To jo Allah ke dar hai wo Mustafa ke dar par aye, kyuki Huzoorﷺ Khud farmate hai “Allahu uti-oo wa ana qasimu” (Allah ata karta hai baat-ta hu) aur sun Lo jo Mustafaﷺ ke dar ka nahi to wo Allah ke dar ka bhi nahi hai.


    5

    Kare Mustafa Ki Ahanate’n Khule Bando Is Par Yah Jurate’n

    Kya Mai Kya Nahi Hu Muhammadi Are Haa Nahi, Are Haa Nahi


    Word Meaning​

  • Ahanate’n: Toheene’n, Khustakhiya
  • Khule Bando: Ali-ul-Ealaan, Sab ke Saamne
  • Jurate’n: Bahaduriya
  • Tashreeh/Explanation

    Ye Azeeb wa Gareeb Log hai Jo Ayen Iman balki Imaan ki Jaan Huzoor Purnoorﷺ ki Khule Aam Gustakhiya Karte hai, karne ke baad khud ko Muhammadi batate hai aur poochhte hai kya mai Muhammadi nahi hu jo ayesa karunga to Sunle Kaminez Beshak tu Muhammadi nahi, are haa tu Muhammadi nahi hai.

    Kyuki;

    “Muhammadﷺ ki Muhabbat Deen-e-Haq ki Shart e Awwal
    Is Me Ho Agar Khaami To Sab Kuchh Na-Mukammal Hai”


    6

    Tere Aage Yuh Hai Dabe Lache Fusha Arab Ke Badhe Badhe

    Koi Jaane Muh Me Juban Nahi Balki Jism Me Jaa’n Nahi


    Word Meaning​

  • Dabe Lache: Sharmaye Hue, Dare Hue
  • Fusha: Umda (Bahtareen) Guftagu Karne Wala
  • Tashreeh/Explanation

    Badhe Badhe Arab ke Fusha balki saare Jaha ke Fusha jo apni apni juban me bahir fasih wa baleegh hai jin par khitabat aur Shayeri bhi Naaz karti ho lakin jab Huzoor Purnoorﷺ ke saamne aate hai to juban band ho jaati ayesa lagta jaise muh me juban nahi balki Yuh bhi guman hota hai jaise Us ke baad me jaan hi nahi, putla ban kar khada hai. Kyu ki koi kaise bole Us jubaan ke Aage jis ki haar baat Wahi e Khuda hai.

    Bukhari Sharif ki Hadeeth hai jis ka mafhoom hai ki;Aap ke Dushman bhi kahte the ki ye kalaam kisi bashar ka nahi hai.

    Ek Riwayat ye bhi hai ki Hazrat Abubakar Siddiqرضي الله عنه farmate hai ki Maine Arab ke tamam Shahro ka safar kiya hu magar Aap jaisa Fasi’h wa Baleegh koi nahi paya, kyu Huzoor ko Allah ne sikhaya.

    Surah Rahman me Allah Ta’alah Farmata hai;
    اَلرَّحْمٰنُۙ(۱)عَلَّمَ الْقُرْاٰنَؕ(۲) ( Rahman Ne Qura’an Sikhaya )

    Bukhari Sharif ki Hadeeth hai ki Sahaba Karaam farmate; Jab Huzoor Bayaan karte to Hamari Aankhe Aansuo se bheegh jaati, Dil Dahel Jaata, Kitno ki Cheenkhe nikal Jaati.

    Khud Aalahazrat Salat-o-Salaam me Farmate hai na;

    “Wo Dahan Jis Ki Haar Baat Wahi-e-Khuda
    Chashma e Ilm wa Hikmat Peh Lakho Salaam”

    Urdu ke Azeem Shaar Mirza Galib kahte hai;

    “Haq Jalwa Gar’z Tarz e Bayan Muhammad As
    Are Kalaam e Haq Ba-Jubaane Muhammad Ast”

    (Haq Jalwa Gar Hai Tarze Bayan Muhammad Se
    Are Kalam e Haq Hai Juban e Muhammad Se)


    7

    Wah Sharf Ki Qata’a Hai Nisbate’n Wah Karam Ki Sab Se Kareeb Hai

    Koi Kahdo Yaas wa Ummid Se Wah Kahi Nahi Wah Kaha Nahi


    Word Meaning​

  • Sharf: Bujurgi
  • Qata’a: Kaatna
  • Nisbate’n: Ta’alluqaat
  • Yaas: Na-Ummidi
  • Tashreeh/Explanation

    Huzoor Purnoorﷺ ki wo Shaam wa Azmat hai ki In ke barabar kaun,Ye Nisbate’n un se kati hai. Apni Shaan wa Izzat ke Ayetbaar se kisi ko bhi Huzoor Purnoorﷺ se kya Nisbat (barabari) ho sakti hai. Yah to aapﷺ ka karam ki wah Imaan walo ki jaano se bhi un se jayeda qareeb hai to Mayusio se kaho ki Aaqa ke Daman e Rahmat me Tumhare liye koi jagah nahi kyu ki Huzoorﷺ Sarapa Rahmat hai. Balki aye Yaas tum kahi mt raho kyu wah to har jagah hai, Rahmat-ul-lilaalmeen ban kar.


    8

    Ya Nahi Ki Khuld Na Ho Niko Wah Nikoi Ki Bhi Hai Aabru

    Magar Aye Madine Ki Aarzoo Jise Chahe Tu Wo Sama’n Nahi


    Word Meaning​

  • Khuld: Jannat
  • Niko, Nikoi: Bhalai, Bahtari
  • Aabru: Izzat
  • Sama’n: Barabar, Jagah, Mauqa’a
  • Tashreeh/Explanation

    Beshak Jannat Bahot Khoobsurat hai lakin Agar Huzoor Purnoorﷺ na hote to Jannat ki khubsurati bhi na hoti, Huzoorﷺ to Khoobsurati ki bhi Izzat hai, agar Nikoi ki izzat hai to Huzoorﷺ ke dam qadam se hai. Lakin Aye Arzo e Madina, Aye Daagh e Furqat e Tayba, Tu jise Chaah raha tere dil me jo Daagh hai jo Aarzoo wah yah Jannat nahi hai wo to Madina hai. Jo Jannat se Afzal hai kyu waha Huzoorﷺ tashreef farma hai.

    Huzoor Tajushshariah Mufti Akhtar Raza Khanرحمة الله عليه farmate hai;

    “Shahre Nabi Teri Galiyon Ka Naqsa Hi Kuch Ayesa Hai
    Khuld Bhi Hai Mustaaq e Ziyarat Jalwa Hi Kuchh Ayesa Hai”


    9

    Hai Unhi Ke Noor Se Sab Aya’n Hai Unhi Ke Jalwa Me Sab Neeha

    Bane Subah Tabish e Maher Se Rahe Peshe Maher Ya Jaa’n Nahi


    Word Meaning​

  • Aya’n: Zahir
  • Jalwa: Chamak
  • Niha: Poshida’h
  • Tabish e Maher: Suraj ki Roshni (Garmi)
  • Pesh: Saamne
  • Jaa’n: Taqat, Taab
  • Tashreeh/Explanation

    Huzoor Purnoorﷺ ke Noor se Sab Jahir hai, Unhi ke Noor se Sab bana hai, aur Unhi ke Jalwo me sab Niha bhi hai, kyu Huzoor Purnoorﷺ ke Noor ke aage har Nooraniyat parde me chali jati hai jaise Subah Sadiq ki Roshni Suraj ki Roshni me chhup jaati hai, kyuki us me itni taqat nahi ki Suraj ke Noor ka Saamna kare. Isi tarah Huzoor Purnoorﷺ ke Noor ke aage Agarcha’h wo suraj, chand hi kyu na ho wo bhi chhup jaate. Kyuki Noor me itni taqat nahi ki Siraj-um-Muneer ka Saamna kare.


    10

    Wahi Noor e Haq Wahi Zill e Rab Hai Unhi Se Sab Hai Unhi Ka Sab

    Nahi Un Ki Malk Me Aasmaa ki Zamee’n Nahi Zama’n Nahi


    Word Meaning​

  • Noor e Haq: Haq ka Noor
  • Zill e Haq: Haq ka Saaya
  • Zama’n: Zamana, Jaha’n
  • Tashreeh/Explanation

    Huzoor Purnoorﷺ hi Allah me Ke Noor hai aur Allah apna saya Huzoor ko banaya, aur Huzoor hi ke Noor se Sara Alam banaya, isliye sab Huzoor hi ka hai. Aap ki malkiyat/Hukumat me Zameen bhi Asmaan bhi hai har Zamana hai.

    Baradar e Aalahazrat, Shahenshah e Shukhan Maulana Hasan Raza Khan Barelviرحمة الله عليه farmate hai;

    “Kaunain Banaye Gaye Sarkaar Ke Khatir
    Kaunain Ki Khatir Tumhe Sarkaar Banaya”


    11

    Wahi La-Maka’n Ke Makee’n Hue Wahi Sar e Arsh Takht Nasheen Hue

    Wah Nabi Hai Jis Ke Hai Ya Makaa’n Wah Khuda Hai Jiska Makaa’n Nahi


    Word Meaning​

  • La-Maka’n: Jaha Makaan Nahi, Arsh e Mualla ke baad ka Darza
  • Makee’n: Makaan me Rahne Wala
  • Sar e Arsh: Arsh ke Upar
  • Takht Nasheen: Takht par Baithna
  • Tashreeh/Explanation

    La-Maka’n bhi Huzoor Purnoorﷺ ki Qayaam Gaah hai aur Arsh ke Upar to aap Nalain ke Saath Jalwagari Farmai, ye sab saare makaan huzoor hi ke liye hai kyu ki Allahﷻ in tamam Jism wa Jismaniyat, Makaan Makee’n se paak hai.


    12

    Sar e Arsh Par Hai Teri Guzar Dil e Farsh Par Hai Teri Nazar

    Malakoot wa Mulk Me Koi Sh’ae Nahi Wah Jo Tujh Peh Aya’n Nahi


    Word Meaning​

  • Guzar: Aana Jaana
  • Malakoot: Farishto’n ki Rahne ki Jagah
  • Tashreeh/Explanation

    Huzoor Purnoorﷺ ka Aana Jaana Arsh ke Upar bhi hai aur Farsh par rahne walo ke dilo ka raaz bhi jaante hai, ya to kuch nahi balki Har Makaa’n chahe wo Zameen ho Aasmaan ho, Arsh ho, La-Maka’n ho sab Huzoor Purnoorﷺ par Aya’n hai jaise Hatheli me Rai ka dana.
    Aur kyu na Jab Sab se Badha Ghaib Huzoor se nahi Chhupa to ye sab kya hai Aalahazrat Farmate hai;
    “Aur Koi Ghayeb Kya Tum Se Neeha Ho Bhala
    Jab Na Khuda Hi Chhupa Tum Peh Karodo Darood”


    13

    Karu Tere Naam Peh Jaan Fida Na Bas Ek Jaan Do Jaan Fida

    Do Jahan Se Bhi Nahi Ji Bhara Karu Kya Karodo Jahan Nahi


    Word Meaning​

  • Fida: Qurban
  • Bas: Sirf
  • Do Jahan: Dono Jahan
  • Ji: Man, Dil
  • Tashreeh/Explanation

    Ya Rasoolallahﷺ mera man kah raha ki aap ke Naam e Aqdas par Apni jaan qurban kardu lakin sirf ek jaan balki do jaan (ek maut se pahle ek maut ke baad) lakin is se bhi ji nahi bharega par kya karu mere ekhtayar me to karodo Jahan nahi hai jaha jaan mile aur aap par qurbaan karu.


    14

    Tera Qad To Nadir e Dahar Hai Koi Misl Ho To Misaal De

    Nahi Gul Ki Paudo Me Daliya Ki Chaman Me Saro Chama Nahi


    Word Meaning​

  • Qad: Shaan
  • Nadir e Dahar: Kainaat ka Akela
  • Misl: Barabar
  • Misaal: Nazeer, Example
  • Daliya: Shakhe’n
  • Chaman: Baagh
  • Chama’n: Naaz se Chalna
  • Tashreeh/Explanation

    Ya Rasoolallahﷺ aap ka Qad Mubarak SubhanAllah, Allah Ta’alah ne Ayesa banaya hai ki jo Kainaat me sirf ek hai us ke Misl koi nahi hai agar hai to misaal de. Ye Gulab Daaliyan aur Baagh me Saro ka Seedha tana darakh aap ke Qad Mubarak ke Misaal ke layeq nahi.
    Baradar e Aalahazrat Maulana Hasan farmate hai na;
    “ Ayesa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya
    Yusuf Ko Tera Talib e Didaar Banaya


    15

    Nahi Jis Ke Rang Ka Doosra Na To Na Ho Koi Na Kabhi Hua

    Kahu Is Ko Gul Kahe Kya Koi Ki Gulo Ka Dher Kaha Nahi


    Word Meaning​

  • Gul: Phool
  • Gulo: Gul ki Jama (Plural), Phoolo
  • Dher: Ikaththa jama hona, Bahot Jayeda
  • Tashreeh/Explanation

    Huzoor Purnoorﷺ ke Rang, Qad, Shaan wa Azmat ka Misl koi nahi, aur na tha Aur na kabhi koi hoga. Kya Mai Huzoor Purnoorﷺ ko Gulab kahu? Lakin Gulaab ka dher, Bahot Saare Gulab to har jagah hai. Aur Aapﷺ ke jaisa koi nahi.


    16

    Karu Mada’h Ahle Dual Raza Padhe Is Bala Me Meri Bala

    Mai Gada Hu Apne Kareem Ka Mera Deen Para e Naa’n Nahi


    Word Meaning​

  • Mada’h: Tareef
  • Ahle Dual: Daulat Wale
  • Bala: Musibat
  • Gada: Shaidai, Fidai, Mangta
  • Kareem: Karam Karne Wala (Allah aur Rasoolallahﷺ)
  • Para e Naa’n: Roti ka Tukda
  • Tashreeh/Explanation

    Mai Ahmad Raza Daulat walo ki Qasida Goyi karu, un ki tareef me qasida likhu, are is musibat me meri musibat padhe, mai kyu padu aye, Allah tu mujhe is se bacha mai to Gada Hu Apne Kareem ka aur Mera Deen ko koi Roti ka Tukda nahi ki Roti ke Tukde ke liye Imaan badal lu.

    Pash-Manjar:

    Mai Ahmad Raza Daulat walo ki Qasida Goyi karu, un ki tareef me qasida likhu, are is musibat me meri musibat padhe, mai kyu padu aye, Allah tu mujhe is se bacha mai to Gada Hu Apne Kareem ka aur Mera Deen ko koi Roti ka Tukda nahi ki Roti ke Tukde ke liye Imaan badal lu.

    – Jazakallahu Khiar/جزاک اللہ خیر –


    Spread the love

    Leave a Comment

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    Scroll to Top