Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Who is the youngest person to fly around the world alone? In roman Urdu language.

Spread the love

Mack Rutherford 17 Saal ki umar me poori duniy ka safar 5 mahine me Micro Light Aircraft me tanha safar karne wale pahle shakhs ban gaye.

Who is the youngest person to fly around the world alone? In roman Urdu language.
Mack Rutherford on your Micro Light Aircraft 

Belguim aur Bartania(British) ki shehriat rakhnay wale 17 sala Mack Rutherford aik chhootey Aircraft par tanha(solo) duniya ka chakkar mukammal kar ke budh(24 August 2022) ko balgaria mein land kar gaye.

Jab un ke Aircraft ne Balgaria me land kya to Mack Rutherford tanha ka duniya chakkar laganay wale kam umar tareen shakhs ban gaye. Yahi woh mulk hai jahan se paanch mah qabal unhon ne apne safar ka aaghaz(start) kiya tha .
Ibtida (starting) me andaza to yeh lagaya gaya tha ke woh is chhootey tayyaray mein teen mah mein duniya ke gird tanha chakkar laga kar wapas pahonch jayenge, lekin ghair mutawaqqa halaat(unexpected condition) aur kharab mausam ke sabab un ke safar ka dorania taweel ho gaya .
Khabar rasan idaray’ Associated Press’ ke mutabiq Mack Rutherford ke is safar ki takmeel ke sath woh do² Guinness World Record ke bhi haq daar ho gaye hain. Jin me pahla first to un ka duniya ke gird tanha chakkar lagane wala sab se kam Umar tareen pilot hona hai jab ke un ka doosra(second) record aik “Micro Light Aircraft” mein yeh safar karna hai.

Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top