Wah Kya Martaba Ae Ghaus Hai Bala Tera
Unche Uncho Ke Saro Se Qadam Aala Tera
Wah Kya Martaba Ae Ghaus Hai Bala Tera
Unche Uncho Ke Saro Se Qadam Aala Tera
Sar Bhala Kya Koi Jaane Ke Hai Kaisa Tera
Auliya Malte Hai Aankhe’n Woh Hai Talwa Tera
Kya Dabe Jis Pe Himaayat Ka Ho Panja Tera
Sher Ko Khatre Me Laata Nahi Kutta Tera
Tu Hasani, Husaini, Kyu Na Muhiyyuddin Ho
Aey Khizar Majma’a e Bahrain Hai Chash’mah Tera
Qasme De De Ke Khilaata Hai, Pilaata Hai Tujhe
Pyaara Allah Tera Chaahne Waala Tera
Mustafa Ke Tane Be-Saaye Ka Saayaa Dekha
Jis Ne Dekha Meri Jaan Jalwa-e-Zaiba Tera
Ibe Zohra ko Mubarak Ho Uroos-e-Qudrat
Qadri Paaye Tasadduq Mere Dulha Tera
Kyu Na Qasim Ho Ke Tu Ibne Abul Qasim Hai
Kyu Na Qadir Ho Ke Mukhtaar Hai Baba Tera
Nabawi May, Alawi Fasl, Batooli Gulshan
Hasani Phool, Husaini Hai Mahekna Tera
Nabawi Zil, Alawi Burj, Batooli Manzil
Hasani Chand, Husaini Hai Ujala Tera
Nabawi Khur, Alawi Koh, Batooli Maa’din
Hasani La’al, Husaini Hai Tazalla Tera
Bahar o Bar, Shaher o Qur’aa, Sahal wa Huzun, Dast o Chaman
Kaunse Chak Par Bahta Nahi Da’awa Tera
Husn-e-Niyyat Ho Khata Phir Kabhi Karta Hu Nahi
Aazmaya Hai Yagana Hai Be-Gana Tera
Arz e Ahwal Ki Pyaso Me Kaha Taab Magar
Aankhe’n Aye Abr-e-Karam Takti Hai Rasta Tera
Maut Nazdeek Gunaho Ki Tah Mail Ke Khol
Aa Baras Jaa Ki Naha Dho Le Pyasa se
Aab-e-Amad Wo Kahe Aur Mai Tayammum Barkhast
Mushte Khaak Apni Ho Aur Noor Ka Ahla Tera
Jaan To Jaate Hi Jayegi Qayamat To Ye Hai
Ki Yaha Marne Pe Thahra Hai Nazara Tera
Tujh Se Dar Dar Se Sag Aur Sag Se Mujh Ko Nisbat
Meri Gardan Mei Bhi Hai Door Ka Dora Tera
Is Nishaani Ke Jo Sag Hai Nahi Maare Jaate
Hashr Tak Mere Gale Me Rahe Patta Tera
Meri Qismat Ki Qasam Khaaye Sagaane Baghdaad
Hind Mei Bhi Hu To Deta Rahu Pehra Tera
Teri Izzat Ke Nisar Aye Mere Gairat Wale
Aah Sad Aah Ke Yuh Khawar Ho Barwa Tera
Bad Sahi Chor Sahi Mujrim o Nakara Sahi
Aye Wo Kaisa Hi Sahi Hai To Kareema Tera
Mujh Ko Ruswa Bhi Agar Koi Kahega To Yuhi
Ki Wahi Na Wah Raza Banda Ruswa Tera
Hai Raza Yu Na Balak Tu Nahi Jayyat-to Na Ho
Sayyade Jayyad Har Dahar Hai Maula Tera
Fakhre Aaqa Me Raؔza Aur Bhi Ek Nazm-e-Rafi
Chal Likha Laaye Sana Khwaano Me Chahra Tera
Read more here…▼