![]() |
Jalwa Hai Noor Hai Ke Sarapa Raza Ka Hai
Tasweer-e-Sunniyat Hai Ke Chahra Raza Ka Hai
Wadi Raza Ki Kohe Himalaya Raza Ka Hai
Jis Samt Dekhiye Wo ilaqa Raza Ka Hai
Dastaar Aarahi Hai Zameen Par Jo Sar Uthe
Kitna Buland Aaj Pharera Raza Ka Hai
Kis Ki Majaal Hai Jo Nazar Bhi Mila Sake
Darbar-e-Mustafaﷺ Mein Thikana Raza Ka Hai
Alfaz Bah Rahe Hain Daleelon Ki Dhaar Par
Chalta Hua Qalam Hai Ke Dhaara Raza Ka Hai
Chhoota Hai Asman Ko Minaar Azm Ka
Yaani Atal Pahad Irada Raza Ka Hai
Nukte Ibarato’n Se Ubharte’n Hai Khud Ba Khud
Naqd-o-Nazar Pe Aisa Ijarah Raza Ka Hai
Darya Fasahato’n Ka Rawan Shayri Me Hai
Yeh Sahl-e-Mumtane’a Hai ki Lahza Raza Ka Hai
Jo Likh Diya Hai Usne Sanad Hai Wo Deen Mein
Ahle Qalam Ki Abru Nukta Raza Ka Hai
Aglo’n Ne Bhi Likha Hai Bohat Ilm-e-Deen Par
Jo Kuch Hai Is Sadi Me Woh Tanha Raza Ka Hai
Is Dour-e-Pur Fitan me Nazar Khush Aqeedgi
Sarkarﷺ Ka Karam Hai Waseela Raza Ka Hai
Read in Urdu click on red line 👇
جلوہ ہے نور ہے کہ سراپا رضا کا ہے
صویرِ سُنّیت ہے کہ چہرہ رضا کا ہے
visit more