Wa Ahsanu Minka Lam Tara Qattu Aini Sayyeduna Hassan bin Sabit (رضي الله عنه) ka mashhoor kalaam hai, jo Rasool Allahﷺ ki shaan mein kaha gaya. Yeh nazm Masjid-e-Nabawi mein, Sahaba ki maojoodgi mein aur Nabi Kareemﷺ ki huzoor mein pesh ki gayi thi. Is she’r ka har lafz Nabiﷺ ki azmat aur Husn-o-Kamal ka izhaar karta hai. Sayyeduna Hassan bin Sabit(رضي الله عنه) Rasool Allahﷺ ke khaas shair the, jinhe Nabi Kareemﷺ ka difa karne aur Islam ke dushmanon ka jawab dene ka sharaf hasil hua. Unka yeh kalaam aaj bhi musalmanon ke dilon mein Huoorﷺ ki jazba-e-mohabbat ko taaza karta hai.
“Wa Ahsanu Minka Lam Tara Qattu Aini
Wa Ajmalu Minka Lam Talidi’n Nisau
Khuliqta Mubarraan Min Kulli Aib
Ka-Annaka Qad Khuliqta Kamaa Tashau”
Ya Rasool-Allahﷺ aaj tak kisi bhi aankh ne aap jaisa Haseen-o-Jameel nahi dekha,
Aur aap ke jaisa Haseen aaj tak kise Maañ ne janaa(paida karna) hi nahi,
Aap ko tamaam aibon se paak kar ke qhalq(paida) kiye gaya hain,
Mujhe to yun lagta hai ki aap jaisa paida hona chahte the waise hi paida hue ho.
No eye has set upon anybody handsome & fairer as you,
No woman has given birth to anyone as beautiful as you,
You were created free from all flaws,
As if you were created as you wish to be.