Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Ungliyo Ke Nishan | Finger Print | Ye Kaise Doosro Se Milti Nahi?

Spread the love

 Insani Jism(Body) me aisi Kai cheej hai Jo Ek Insan ke jism me hote hue bhi doosre insan(human) se alag Khusoosiyaat rakhti hai. Jaise DNA. Ye sab aqal ko hairan karti hai isi me ek “FINGER PRINT ” hai. Neeche tafseelaat padhe.

Finger Print | Why Finger Print doesn't match to anyon?
Finger-print-most-important
 Unglio aur angothon ke suron par papillary ridges ke zariye banta hai. Unglio ke nishanaat zaati shanakht (Personal Identification) ka aik na qabil yaqeen zareya faraham karta hain, kyunki har insaan ki har ungli par ridges ki tarteeb munfarid hoti hai aur yeh taraqqi ya Umar ke sath tabdeel nahi hoti hai .
FB IMG 1661082003378
Human-Finger-Print
Insani jism(Human Body) ki unglio(Fingers) me lakirai’n tab namodaar hone lagti hai’n jab insaan maa ke shikam(pet/abdomen) mein 4 mah tak pohonchta hai.
a02622c79fdb5f4542a3b674a87804d7
Embryology-Baby-Pic
Yeh lakirai’n aik Radial lehar(Radial Wave) ki soorat mein gosht(muscles) par ban-na shuru hoti hain. In lehron(waves) ko bhi paighamaat(messages) DNA(Deoxyribo Nucleic Acid) deta hai.
3a44a999473b075ac610c99c26b93647
DNA
Magar hairat ki baat yeh hai ke padhne wali lakirai’n kisi soorat bhi is bachay ke jadd amjad(parents/grandparents) aur degar roye arz(World) par maujood insanon se mel nahi khatee’n.
images%20(4)
Finger-print-no-match
Goya lakirain banane wala is qader Dana(wise) aur hikmat rakhta hai ke woh kharbon(trillions) ki tadaad mein insaan jo is duniya mein hain aur jo duniya se ja chuke un ki unglio mein maujood lakiro’n ki shape aur un ke aik aik design se bakhabar hai.

Yahi wajah hai ke woh har baar aik naye andaaz ka design is ki unglio par naqsh kar ke yeh saabit karta hai ke,

Hai koy mujh jaisa designer? ? ?
koi hai mujh jaisa karigar? ? ?
koi hai mujh jaisa artist? ? ?
koi hai mujh jaisa musawir? ? ?
koi hai mujh jaisa takhleeq car? ? ?
download%20(2)
Only-Allah-is-best-creators
Hairangi ki inteha to is baat par bhi khatam nahi hoti hai ke agar jalne(burn), zakham(wound) lagnay ya kisi wajuhaat ki bunyaad par yeh finger print mit bhi jaye to dobarah hu-bahu wahi lakire’n jin mein aik khuliye(cells) ki bhi kami Beshi(Kam Jayeda) nahi hoti zahir ho jati hain.
Pas hum par khulta hai. Poori duniya bhi jama ho kar insani ungli par kisi wajohaat ki bunyaad par mit jane wali aik finger print nahi bana sakti.
Koi To Hai Jo Nizaam Hasti Chala Raha Hai
Wohi Khuda Hai Wahi Khuda Hai Wahi Hai Khuda Hai.
download
wahi-khuda-hai-hamd-baari-taala

Finger Print use in case:

  • Identification
  • Biometric
  • Authentication
  • Crime matters
  • Murder cases
 etc.
Finger-print-uses
Finger-print-uses

 


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top