Al-Jazair Ke Sehra Se 6 Meter Neeche Tareekhi Masjid
Masajid
hamesha un ki saakht aur minaroon ki wajah se daur se pehchani jati hain lekin
junoobi Al-Jazair ke sehra se 6 meter neeche waqe El Mwahid Masjid duniya ki
qadeem aur ajeeb masajid me se ek hai.
El Mwahid masjid 200 murabba(square) meter ke
raqbe (area) par muheet hai aur Al-Jazair ke junoob maghribi shehar Al-Baid ke
khushk zair e zameen sehra me 6 meter ki geherai me waqe hai.
Masjid me daakhil hone ke liye zameen ke oopar ek chhota sa darwaaza hai jahan
se namazi seedhiyan utar kar masjid me pahunchte hain.
Is zair e zameen masjid ki taamer ki wajah ke peeche ek tareekhi kahani hai,
kyunke yeh masjid Al-Jazair ke logon ki jad-o-jahad aur francesi noaabadyati (French
colonialism) koshisho ke douran apni islami aur arab shanakht ko bachane ke
liye un ki himmat ko bean karti hai.
Muhammad bin Bahous dug ne ek khufia masjid ki taamer ke liye zameen
khodne ka faisla kiya, jab francesi astamar (French colonialism) ne Al-Jazair ke
bashindon ko tamam mazhabi sargarmion jaise Quran Paak seekhne aur tilawat
karne se mana kar diya.
Francesi astamar ne Al-Jazair ke bashindon ko un
ki mazhabi sargarmion par amal karne se rokne ke liye hathyaaron ki taaqat ka
istemaal kya, jis ki wajah se astamar ke daur me masjid ki taamer Sheikh
Muhammad bin Bahous dug ke liye ek khatarnaak challenge ban gaya.
Yeh masjid ilaqe ke logon ke liye bhi taqwiyat ka baais thi, kyunki is ne
francesi astamar aur Al-Jazair ki azadi ke inqilab me hissa laine wale 375 talba
( Hafiz Quran ) ke graduation ko dekha.
Al-jazairi awam ki shanakht ke tahaffuz ke liye
fransisyon se chup kar zair e zameen masjid banane ke 20 saal baad Sheikh
Muhammad bin Bahous dug ko is masjid ki taamer ke jurm ki saza di gayi.
Francesi is masjid ko 1950 me daryaft karne me kamyaab hue.
Fransisyon ne Sheikh Muhammad bin Bahous dug ko girftar kar ke ghar me
nazar band kar diya. 1954 me Al-Jazair ke inqilab ke rehnuma Sheikh Muhammad bin Bahous dug ka intqaal hogaya.
El Mwahid masjid aaj bhi us daur ki gawahi deti
hai, aur ab bhi ilaqe ke logon ke liye ek pasandeeda ibadat gaah hai, khaas tor
par jab mausam sarma aur garmiyon jaise manfi halaat hote hai.
Pingback: Tala Al Badru Alayna Lyrics And Translate In English And Roman Urdu Explanation » Islam Is The Great