Uske khayalat ka faasla asman tak tha, magar Ubayed bin Umairرضي الله عنه ka ek hi jumla uske paon zameen par le aaya. Yeh kahani ek husn par naaz karne wali aurat aur ek muttaqi shakhs ki hai, jo hidayat ka izafi sabab ban gaya.
Ubayed bin Umair رضي الله عنه aur Ek Aurat ka Ibrat Amoz Waqiya
Makkah Mukarramah ka ek dilchasp waqiya hai jo har gunahgar ke liye ek misaal hai. Aik aurat apne husn o jamal par bepanah naaz karti thi aur samajhti thi ke uska husn har dil ko apni taraf khench leta hai. Ek din woh apne khawand se kaha:
“Hai koi mard jo mujhe dekhe aur meri tamanna na kare?”
Khawand ne jawab diya:
“Haan, ek shakhs hai – Ubayed bin Umair رضي الله عنه. Woh Masjid-e-Nabwi ﷺ ke ek azim ustad aur khateeb hain.”
Aurat ka Faisla aur Ubayed bin Umair رضي الله عنه ke Samne Haazri
Aurat ne apne khawand se ijazat maangi aur kaha:
“Main tumhe dikhaati hoon woh kaise meri husn ke jadoo mein phansenge.”
Khawand ne ijazat de di. Aurat ne apne husn ke bharose par Masjid-e-Nabwi ﷺ ka rukh kiya aur masjid ke darwaze par khaari ho gayi.
Jab Ubayed bin Umair رضي الله عنه masjid se bahar aaye to aurat ne apne masle ka sawal pesh karne ke bahane unka rasta roka. Jaise hi woh baat karte hue apna naqabi chehra uthati hai, unki niyat yeh thi ke woh unka husn dekh kar fida ho jayenge. Lekin Ubayed bin Umair ki pehli nazar hi unki sharam aur taqwa ka saboot thi.
Ubayed bin Umairرضي الله عنه ka Imaan Afroz Jawaab
Ubayed bin Umair رضي الله عنه ne nazar hata kar kaha:
“Aurat! Kyun aise kaam ke baare mein soch rahi ho jo tumhe duniya aur aakhirat mein zillat ka sabab banayega?”
Unke alfaaz aur lehje mein itni asar tha ke woh aurat wahi sharminda ho gayi aur waapis apne ghar chali gayi.
Aurat ki Tauba aur Zindagi Mein Inqilab
Ghar aake usne apne khawand(aadmi/sohar) se kaha:
“Kya sirf mard hi neik ban sakte hain? Auratein neik nahi ho sakti?”
Phir usne qasam li ke woh apni zindagi badal degi. Har raat uska yeh haal hota ke Isha ke waqt apne shohar se poochti:
“Tumhe meri zarurat hai?”
Agar shohar kehta “Haan,” to woh unka saath deti. Aur agar kehta “Nahi,” to woh apna jibba pehan kar ibadat mein mashgool ho jati.
Uske shohar ka kehna tha:
“Ubayed bin Umair رضي الله عنه ke ek jumle ne meri biwi ki zindagi badal di. Jo shikar karne chali thi, woh khud shikar ho kar waapis aa gayi.”
Ubayed bin Umair رضي الله عنه Ka Asar aur Hidayat ka Raaz
Yeh waqiya sirf ek misaal nahi balki is baat ka saboot hai ke taqwa aur imaan ka asar insani qalb(dil) aur rooh par kya ho sakta hai. Ubayed bin Umair رضي الله عنه ke dil mein jo imaan ka noor tha, woh sirf unki baat nahi, unke ikhlaq aur taqwa se bhi zahir hota tha.
Waqiya se Ibrat
- Husn aur duniya ka fareb sirf chhalawa hai, asal husn imaan aur neik amal ka hai.
- Tauba ka darwaza hamesha khula hai, bas hidayat ke talash honi chahiye.
- Ek mohsin shakhs ki nasihat zindagi ko badal sakti hai.
Aapka Sawal Aur Feedback Zaroori Hai
Aapko yeh waqiya kaisa laga? Kya aapne kabhi aisi koi kahani suni hai jo aapke dil par asar kare? Apne thoughts aur feedback hume comments me zaroor share karein.
Islam me Aurat | Women in Islam | Roles | Rights | Respect
Ek Aurat Ka Khat | Do Tarah Ki Aurat | Quraan