Titanic Bartanwi(British) musafir bardaar(bojh uthane wala) jahaaz tha, jisay White Star Line Company ke zariye chalaya gaya tha, jo 15 April 1912 ko Southampton se New York shehar tak apne pehlay safar ke douran aik ice burg se takaraane ke baad shumali Bahar e Oqiyanus(North Atlantic Ocean) mein doob gaya. Neeche Titanic ke bare mein chand baatein hai:
![]() |
The last-pic-of-Titanic-on-the-water |
🔴 31 March 1912, Titanic mukammal tor par tayyar huwa titanic ki lambai(length) 269 meter thi jabkay wazan(weight) 52310 tan ke lag bhag tha.
![]() |
Titanic |
🔴 10 April 1912, jab England se America ke safar par rawana huwa is douran jahaaz France aur Ireland mein mazeed musafiron ke liye ruka tha.
🔴 Titanic mein 2200 musafir sawaar the jin mein 900 ke qareeb amlay ke arakeen(kaam karne wale) shaamil they. Kuch log America nai(new) zindagi ki shuruvaat ki umeed mein ja rahay thay.
![]() |
Before-Sinking-pic-of-titanic |
🔴 Titanic ko sab se mehfooz behri jahaaz ke tor par jana jata tha lekin 15 April ko barfani chattaan se takaraane ke baad jahaaz doob gaya manfi 2 degree ke pani mein doob kar kayi log halaak hogaye.
![]() |
Millvina-Dean-with-drawing-of-titanic |
🔴 705 logon ko jaan bachanay wali kashtiyon ki madad se bacha liya gaya tha Millvina Dean titanic ki aakhri fard theen jinhein bachaya gaya tha tab un ki Umar 9 haftay thi 2009 mein chal baseen.