Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Taureat (The Torah) ke Alim ka Maula Ali رضي الله عنه se 7 Sawal

Spread the love

Tauret ke Alim ka Maula Aliرضي الله عنه se 7 Sawal

Taureat (The Torah) ke Alim ka Maula Ali رضي الله عنه se 7 Sawal
Tauret Ke Ek Aalim Ne Jiska Naam Mujer Tha. Ek Martaba
Hazrat Ali
رضي
الله عنه
Se Pucha Ki Mere Kuch Sawalon Ke Jawab
Dijiye.
Hazrat Ali Ne Farmaya, Pucho, Kya Puchte Ho?

 

 

 

Usne Pucha- Batayiye;

 

(1)Wo Kaunsa Mard Hain Jiska Na Baap Hain Na Maa?

 

(2)Wo Kaunsi Aurat Hain Jiska Na Baap Hain Na Maa?

 

(3)Wo Kaunsa Mard Hain Jiski Maa To Hain Lekin Baap Nahi?

 

(4)Wo Kaunsa Patther Hain Jisne Jaanwar Paida Kiya?

 

(5)Wo Kaunsi Aurat Hain Jisne Ek Hi Din May 3 Ghadiyon  May Baccha Jan
Diya?

 

(6)Wo Kaunse Dost Hain Jo Aapas May Kabhi Dushman Na Banege?

 

(7)Wo Kaunse Dushman Hain Jo Aapas May Kabhi Dost Na Banege?

 

 

Hazrat Aliرضي الله عنه Ne Farmaya, Lo
Ab Sunlo;

 

(1)Wo mard jiska na baap hain na maa hazrat Aadam عليه السلام Hai.

 

(2)Wo Aurat Jiska Na Baap Hain Na Maa Hawwaرضي الله عنها Hai.

 

(3)Wo Mard Jiski Maa Hain Lekin Baap Nahi Hazrat Isa عليه السلام Hai.

 

(4)Wo Patther Jisne Jaanwar Paida Kiya Wo Patther Hai Jisse Hazrat Saleh عليه السلام Ki Unthni
Paida Hui.

 

(5)Wo Aurat Jisne Ek Hi Din May 3 Ghadiyon May Baccha Janaa Hazrat Maryam رضي الله عنها Hai Jinko Ek Ghadi May Hamal Thahra, Dusri
Ghadi May Dard e Zeh (Baccha Paida Hone Ke Waqt Dard) Paida Hui. Tisri Ghadi
May Isa
عليه السلام
Paida Hogaye.

 

(6)Wo Dost Jo Kabhi Aapas May Dushman Na Banege, Jism Aur Rooh Hai.
(7)Wo 2 Dushman Jo Kabhi Aapas May Dost Na Banege Maut Aur Hayaat Hai.
 

 

Mujer Ne Jawab Sunker Kaha Wakayi Aye Ali Tumne Sahi Jawab Diya. Waqai Tum Baab-e-Madinat-ul-Ilm
Ho.

 

 

(Reference: Jaami-ul-Moajizaat Pg-23)

 

 


SABAQ

 

Madinatul-Ilm Ke Baab Ke Ilm Se Pata Chalta Hain Ki Madinatul-Ilm May
Koi Aisi Cheez Nahi Jo Na Ho.

 

Mazeed Yaha↓↓↓ Padhe’n


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top