Sunte Hain Ke Mahshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai
Sunte Hain Ke Mahshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai
Gir Un Ki Rasai Hai Lo Jab To Ban Aayi Hai
Machla Hai Ke Rehmat Ne Ummeed Bandhayi Hai
Kya Baat Teri Mujrim Kya Baat Banai Hai
Sab Ne Saf e Mahshar Me Lalkaar Diya Hum Ko
Aye Be Kasoñ Ke Aaqa Ab Teri Duhai Hai
Yun To Sab Unhen Ka Hai Par Dil Ki Agar Pucho
Yeh Tootay Hue Dil Hi Khaas Un Ki Kamaai Hai
Zaeer Gaye Bhi Kab Ke, Din Dhalne Pay Hai Payare
Uth Mere Akele Chal Kya Der Lagai Hai
Bazaar e Amal Me Tu Soda Na Bana Apna
Sarkar Karam Tujh Me Aibi Ki Samai Hai
Girte Huwon Ko Musda Sajde Mein Gire Maula
Ro Ro Ke Shafaat Ki Tamheed Uthai Hai
Ae Dil Yeh Sulagna Kya Jalna Hai To Jal Bhi Uth
Dam Ghutne Laga Zalim Kya Dhooni Ramai Hai
Mujrim Ko Na Sharmao Ahbaab Kafan Dhak Do
Mooh Dekh Ke Kya Ho Ga Parday Me Bhalai Hai
Ab Aap Hi Sanbhaaleñ To Kaam Apne Sambhal Jayeñ
Hum Ne To Kamaai Sab Khelon Me Gañvai Hai
Ae Ishhq Tere Sadqe Jalne Se Chhute Saste
Jo Aag Bujha Degi Woh Aag Lagai Hai
Hirs O Hawas e Bad Se Dil Too Bhi Sitam Kar Le
Toohi Nahi Be-Gaanah Duniya Hi Paraai Hai
Hum Diljale Hai Kis Ke Hat Fitnoñ Ke Par Kaale
Kyun Phoonk Dun Ek Uff Se Kya Aag Lagai Hai
Tayba Na Sahi Afzal Makkah Hi Bada Zahid
Hum Ishq Ke Bande Hain Kyun Baat Badhai Hai
Matla’a Me Yeh Shak Kya Tha Wallah Raؔza Wallah
Sirf Un Ki Rasai Hai Sirf Un Ki Rasai Hai
Listen this Kalaam in Beatiful Voice of Al-Haaj Owais Raza Qadri
visit more…▼
Phir Ke Gali Gali Tabah
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho
Qasida e Meraj | Kalaam e Aala Hazrat | Hadaiq e Bakhshish
Sartaba Qadam Hai Tan e Sultan e Zaman Phool
Hadaiq e Bakhshish
Hadaiq e Bakhshish Sharah
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho
Qasida e Meraj | Kalaam e Aala Hazrat | Hadaiq e Bakhshish
Sartaba Qadam Hai Tan e Sultan e Zaman Phool
Hadaiq e Bakhshish
Hadaiq e Bakhshish Sharah