Zindagi Ka Aghaz
Sultan Abdul Hamid II 21 September 1842 ko Istanbul, Usmani Sultanat me peda hue. Aapke walid Sultan Abdul Majid I the, jo ek behtareen hukmaran the. Aapki taleem bachpan se hi Islami aur maghribi uloom me hui. Aap Urdu, Farsi, Arabic, French aur English jese mukhtalif zubanein jante the.
Sultan Banne Ka Safar
31 August 1876 ko Sultan Abdul Hamid II Usmani Sultanat ke 34we Sultan bane. Jab aap ne hukoomat sambhali to Usmani Sultanat siyasi aur maashi mushkilat ka samna kar rahi thi. Magar aapne apni samajhdari aur aqalmandi se in mushkilat ka hal nikalne ki koshish ki.

Behtari Ke Liye Koshishain
Sultan Abdul Hamid II ne apne dor-e-hukumat me bohot se zaroori kaam kiye:

Youtube – Story of Hejaz Railway
Siyasi Saazishain Aur Takht Se Hataya Jana
Sultan Abdul Hamid II ka sabse bada challenge andarooni saazishain aur bahar ki taqatain thi. 1908 me Young Turks aur maghribi mulkon ne mashrooti hukoomat ka mutaliba kiya, jise Sultan ne pehli baar manzoor kiya. Lekin 1909 me inhi saazishon ki wajah se aapko takht se alag kar diya gaya.
Aakhri Din
Sultan Abdul Hamid II ko takht se hatane ke baad Selanik aur phir Istanbul me Nazarband kar diya gaya. 10 February 1918 ko aapka inteqal hua. Aapko Istanbul ke Sultan Muhammad II mazar ke qareeb dafn kiya gaya.