Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Some Amazing Valuable Information | World’s Hairiest Girl | Titanic Anchor |1st Underground Railway Station | Electric Bus in 1907 | Mother of 69 childs…

Spread the love

Some Valuable Information | World's Hairiest Girl, Titanic Anchor, 1st Underground Railway Station, Electric Bus in 1907, Mother of 69 childs...

Kuch intresting aur hairat angez maloomat jise jaan kar aapki jaankari me izafa bhi aur acha bhi lagega. Kuch chhupi cheeze ya jise bahot nahi jante hai. unke baare me mukhtasar padhe aur maloomaat me izafa karen.

 

Supatra Sasuphan
 Supatra Sasuphan

 

Thailand ke
shaher bangkok se ta’alluq rakhne wali Supatra Sasuphan paidaishi taur par ek aise
Genetic khalal se do-chaar(pareshan) theen jis me un ke jism aur chahray par
ghair mamooli taur par kaafi ziada baal ugg ate the.
Duniya me aisay 50 log mojood hain jo is qism ki
bemari ka shikaar hain un me se ek Supatra Sasuphan bhi hain. Is bimari
ka naam Ambras Syndrome(Werewolf Syndrome) hai.

 

library
Library

 

Yeh tasveer Netherlands ki ek library ki hai jis me
aap kaam karte waqt sath cycling karenge jis ki wajah se ek to apki warzish
hogi, doosra aap ke laptop ko current isi cycling se milega. 
Yani agar aap cycling karenge tab hi der tak kaam kar sakenge warna system off. Matlab bijli bhi paida karo aur warzish bhi karo yani ek teer se do shikaar.

 

Hemlock Water Dropwort Plant
Dead due to Hemlock Water Dropwort Plant

 

Hemlock Water Dropwort Plant
Dead due to Hemlock Water Dropwort Plant

 

Hemlock Water Dropwort Plant:

 

Europe , North America aur Asia ke kuch hisson me
paye jane wala zahreela poda jise khanay se teen ghantay me dard naak mout hoti
hai aur mayyat(dead body) ke chehray par (Rictus Grin) naami phenomenon yani
hansne wali kefiyat rehti hai.

 

WhatsApp%20Image%202023 03 19%20at%208.52.17%20PM%20(1)
20kg Fukang Meterorite

 

Fukang naami yeh shahabiyah(Meterorite) duniya ka
sab se qeemti aur mehanga Shahab e Saqib(Meterorite) ka tukda hai. San(year)
2000 me cheen(China) ke soobay(province) shanjiang(Xinjiang)  ke
qasbay(town) fukang ke nazdeek sahra e Gobi (Gobi Desert) me ek cheeni tajir (Chinis
Merchant) ko 1K kg wazni Shahab e Saqib ka tukda mila. cheeni tajir ne is Shahab
Saqib se 20kg ka yeh tukda kaat kar allag kar liya .

 

Yeh shahabiyah(Meterorite) dar-asal Pallasite yani
Pathar(stone), Lohe(Iron) aur Nickel ki dhaton(metals) par mushtamil hai jabke’h
is me shahad(Honey) ki rangat aur zumurud(Emerald) jaisay qeemti pathar ki
terhan dikhne walay intehai nayaab maday(substance) Olivine ki crystalis bhi maojood
hain.
San 2005 me Arizona University (America) ke science dano’n(Scientist) ne Fukang Meterorite par tehqeeq ki jis ke baad woh is nateejey par puhanche ke yeh shahabiya kam-o-besh (min or max) saadhe chaar arab saal purana (41/2 Billion years old) hai. 2008 me Bonhams naami Bartanwi(British) Nilaam Ghar(Auction House) ne Fukang Meterorite ki boli 2 million dollars me lagai thi.
 

 

WhatsApp%20Image%202023 03 19%20at%208.52.18%20PM%20(2)
Book Gun of Fransesco Morosini, Doge of Venis

 

Yeh Fransesco Morosini, Doge of Venis ( 1619-1694
) ke liye banai gayi bandooq hai. Band kitaab ka silk  Bookmark khenchnay se yeh fire karti hai

 

WhatsApp%20Image%202023 03 19%20at%208.52.17%20PM
Chain of Anchor for TITANIC

 

1909 me N. Hingley and Sons Ltd. me Titanic ke Anchor
ki chain tayyar karte hue workers ki tasveer.

 

Underground Station Baker Street, England.
 

Underground Station Baker Street, England.

 

 

 

10 January 1863 ko open hone wala duniya ka sab se qadeem Zair E Zameen Station(Underground
Station). 
Baker Street, England.

 

Feodor Vassilyev and Family
Feodor Vassilyev and Family

 

Roos(Russian) ke soobah Ivanovo se talluq rakhne
wali khatoon Feodor Vassilyev ko tareekh me sab se ziyada bachon ki walida
honay ka aizaz haasil hai. Feodor Vassilyev 1707 me paida hui.

 

Unhon ne 16 judwan(Twins) 2×16=32, 7 Tidwa (triplets)
7×3= 21. aur 4 Chaudwa (Quadruplets
) 4×4=16 bachcho ko paida kiye.

 

Un ka intqaal 1782 me sun-hwa jab un ki Umar 75 baras thi.

 

 
Maunt Roraima
Maunt Roraima

Earth par
qadeem tareen(oldest) jagah Venezuela,
  me hai aur ise Maunt
Roraima kaha jata hai
.

 

Countries Borders
Countries Borders

Saouth America ke teen mumalik “Argentine, Peraguay aur Brazil”
ke Borders ke manazair.

 

London Electric Bus & Charging Station
London Electric Bus & Charging Station

1907 ki London se ek tasveer jaha ek Electric Bus Charging Station par Charging karte hue.

 

 

 

Titanic related some points

Fish can live  & walk on Land

Youngest Person Solo fly around the world

WORLD KNOWLEDGE 


 


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top