Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Shark Zameen Par Chal Sakti Hai | Epaulette Shark Fish Can Walk On Land

Spread the love

 Shark ki Ek qism hairat angaiz machhli jo pani se bahar zameen par 2 ghantay tak zindah reh sakti hai. Zameen par 30 meter tak chal sakti hai.

Fish walking on land | Epaulette Shark Zameen Par Chal sakti hai
Epaulette Shark Fish

 

Science dano ne bataya hai ke shark ki nasal ki aik choti machhli zameen par chalne ki intehai ghayr-maa’mooli salahiyat rakhti hai.
d38cba9eab15db9e6e7bc169e9dc702e
Epaulette Shark Fish
America ki Florida Atlantic University ke mahireen ki tehqeeq ke mutabiq Epaulette Shark khushk zameen par 30 meter tak chal sakti hai aur is maqsad ke liye apne chappu jaisay fun ( machhliyon ke par ) istemaal karti hai.
Magar ziyada khaas baat yeh hai ke zameen par chalne ke douran oxygen ki kami ke challenge ka muqaabla 2 ghantay tak kar sakti hai.
Walking-on-land-epaulette-shark-fish
Walkin on Land Epaulette Shark Fish
Shark ki yeh qisam Australia aur New Guinea mein payi jati hai aur mahireen ka kehna hai ke apni hairan kun salahiyaton ke baais yeh machhli mosamyati tabdeelion ka saamna bhi kar sakti hai .
Unhon ne bataya ke is terah ki salahiyaten nah sirf baqa(live) ke liye ahem hain balkay is se mushkil halaat mein machhli ki karkardagi bhi mustahkam rehti hai .
Scientists ka kehna tha ke shark ki is qisam ne maujooda ahed ki kuch mosmyati mushkilaat ko saamna karte hue rehna seekh liya hai.
Scientists ne kaha ke shark ki mukhtalif aqsam sust rawi aur taizi se chalne ki salahiyat rakhti hain jis ki madad se woh zameen par chal kar zindagi ke liye ziyada munasib mahol tak pahonch jati hain.
d8269e82b92b4198b596dfb3bcab62b8
Epaulette Shark 🦈
Unhon ne mazeed kaha ke yeh choti machhliyan aik se doosri jagah muntaqil hojati hain jahan inhen nah sirf khoraak tak rasai haasil hoti hai balkay pani mein oxygen ki sharah bhi behtar hoti hai .
is se qabal 2020 ki aik tehqeeq mein daryaft kya gaya tha ke shark ki kam az kam 9 aqsam uthlay pani (Kam Pani) me chal sakti hain.
Magar Epaulette Shark un sab se munfarid hai kyunki yeh khushk zameen par ziyada waqt tak reh kar oxygen ki kami ka muqaabla kar sakti hai aur 30 meter tak safar bhi kar sakti hai.
Mahireen ke mutabiq aik se doosri jagah chal kar pounchanay ki salahiyat waqai bohat ahem hai.
Is tehqeeq ke nataij Integrative and Comparative Biology Journal me shaya hui.
Geo Web Desk.

Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top