Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Shab e Barat in Islam | Quran | Hadees

Spread the love

Faizan e Shab e Barat

Shab e Barat, jo Mahe Shaban ki 15vi raat hai, Islami tareekh aur ibadat ke lehaz se ek khaas ahmiyat rakhti hai. Is raat ko maghfirat, dua aur Allah ki rahmat ke talaash ka din kaha gaya hai. Is din ki ek aur khasoosiyat yeh hai ke Allah ke Rasool ﷺ ne is raat Jannatul Baqi ke Kabristaan ka rukh farmaya, jo is Sunnat ki ahmiyat ko beyan karta hai. Hadees-e-Mubarakah humein yeh samjhati hai ke Kabristaan ki ziarat sirf ek amal nahi, balki maut ki yaad aur akhirat ki taraf raghbat ka zariya hai. Is maqaalay mein, hum is Sunnat aur uski fazilat par roshni daalenge jo humein Shabe Baraat ki ahmiyat aur is raat ke amal ko samajhne ka ek behtareen nazariya faraham karti hai.

Faizan e Shab e Barat

Quran Ki Roshni Mein Fazilat-e-Shab-e-Baraat:

⁕ Quran:

فِیْهَا یُفْرَقُ كُلُّ اَمْرٝ حَكِیْمٍ(4) اَمْرًا مِّنْ عِنْدِنَاّ٤- اِنَّا كُنْنَا مُرْسِلِیْنَ(5)

Tarjuma’h:

Isme baant diya jaata hai har hikmat wala kaam. Hamare paas ke hukm se beshak hum bhejne wale hain.

Tafseer Seraat-ul-Jinaan:

Is barket wali raat me saal bhar me hone wale har hikmat wala kaam jaisay Rizq, Zindagi, Maut aur deegar ehkaam un farishton ke darmiyan baant diye jaate hain jo inhein sar anjaam dete hain. Yeh taqseem hamare hukum se hoti hai. Beshak hum hi Sayyed-ul-Mursaleen, Muhammad Mustafa ﷺ aur unse pehle Ambiya علیهِ السلام ko bhejne wale hain.

(Jalaleen, Ad-Dukhkhan, Ayat 4-5; Rooh-ul-Bayaan, Ad-Dukhkhan, Ayat 4-5)

Ahadees Ki Roshni Mein Fazilat-e-Shab-e-Baraat:

⁕ Hadees No. 1:

Hazrat Aisha رضي الله عنها se marwi hai ke woh kehti hain ke Rasoolullah ﷺ ne mujhse pucha: “Aye Aisha! Is raat ki kya ehmiyat hai tum jaanti ho?”

Hazrat Aisha رضي الله عنها ne arz kiya: “Ya Rasoolullahﷺ, iski kya fazilat hai?”

Toh Allah ke Nabiﷺ ne farmaya: “Is saal jo bacche paida hone wale hain, woh isi raat me likh diye jaate hain. Aur isi raat me is saal marne wale bhi likh diye jaate hain. Aur logon ke aamaal Allah Taalah ki baargaah me pesh kiye jaate hain.”

(Mishkaat Shareef, Pg No. 115)

⁕ Hadees No. 2:

Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Maut ke parwaane ek Shaban se dusre Shaban tak baant diye jaate hain. Aadmi nikaah karta hai, uske bacche hote hain, halaanke uska naam marne waalon me likh diya jaata hai.”

(Durre Mansoor, Vol. 7, Pg No. 401)

⁕ Hadees No. 3:

Shab e Barat in Islam | Quran | Hadees

Hazrat Aishaرضي الله عنها se riwayat hai ke Huzoorﷺ ne farmaya: “Mere paas Jibraeelعلیهِ السلام aaye aur kaha yeh Shaban ki 15vi raat hai. Isme Allah Taalah banu Kalb ki bakriyo ke baalo se bhi zyada logo ko Jahannam se azaad farma deta hai. Magar kuch badnaseeb log jin ki bakhshish nahi hoti, woh yeh hain:

  1. Mushrik
  2. Maa-Baap ka na farman
  3. Rishta todne waala
  4. Takabbur se kapde takhno ke neeche latkaane waala
  5. Sharaabi
  6. Zaani (Zinah Karne Wala)
  7. Jaadugar
  8. Tasveer banane waala

(Bahiqi Shareef)

⁕ Hadees No. 4:

Hazrat Ali رضي الله عنه se riwayat hai ke Allah ke Nabi ﷺ farmate hain: “Jab Shaban ki 15vi raat aa jaye, toh is raat ko namaaz padho aur iske din me roza rakho. Allah Taala us waqt aasman-e-duniya par khaas tajalli farmaata hai aur kehta hai:

  • Hai koi bakhshish chahne waala ke use bakhsh doon?
  • Hai koi rozi talab karne waala ke use rozi ata kar doon?Aur yeh tajalli Fajr tak hoti hai.”
  • (Attargeeb Wat Tarheeb, Vol. 2, Pg No. 52; Ibne Maaja, Pg No. 100)

    ⁕ Hadees No. 5:

    Hazrat Aishaرضي الله عنها se marwi hai ke ek raat maine Rasoolullah ﷺ ko na paaya. Toh main unko talaash karne nikli. Dekha ke Allah ke Rasoolﷺ Jannat-ul-Baqi (Madina Shareef ka kabristaan) me maujood hain.

    Allah ke Rasoolﷺ ne farmaya: “Aye Aisha! Kya tumhe aisa gumaan hua ke Allah Taalah aur uska Rasoolﷺ tumhare saath zyadati karenge?”

    Hazrat Aishaرضي الله عنها ne arz kiya: “Ya Rasoolullahﷺ! Maine gumaan kiya ke aap kisi aur azwaaj ke paas tashreef le gaye hain.”

    Rasoolullahﷺ ne farmaya: “Shaban ki 15vi raat me Allah Taala aasman-e-duniya par tajalli farmaata hai aur banu Kalb ki bakriyon ke baalo se bhi zyada logon ko bakhsh deta hai.”

    (Tirmizi Shareef, Vol. 1, Pg No. 92; Ibne Maaja, Pg No. 99)

    NOTE: Is Hadees Se Pata Chala Ke Shaban Ki 15vi Raat Yaani Shabe Baraat Me Khud Allah Ke Rasoolﷺ Jannatul Baqi Ke Kabristaan Me Tashreef Le Gaye The.
    Lihaza Is Raat Qabristaan Jaana Rasoollallahﷺ Ki Sunnat Hai.

    ⁕ Hadees No. 6:

    Hazrat Abdullah Ibne Masood رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshaad Farmaya:
    “Maine Tumko Ziyarate Kuboor Se Mana Kiya Tha, Ab Kabro Ki Ziyarat Karo. Isliye Ke Woh Duniya Se Be-Ragbat Karti Hai Aur Aakhirat Ki Yaad Dilaati Hai.”

    (Mishkaat Shareef, Pg No. 154)

    Shab e Barat in Islam | Quran | Hadees

    ⁕ Hadees No. 7:

    Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Rasoolﷺ Ne Irshaad Farmaya:
    “Ab Kabro Ki Ziyarat Karo. Isliye Ke Kabre Maut Ko Yaad Dilaati Hai.”

    (Ibne Maaja, Pg No. 112, Mishkaat Shareef, Pg No. 154)

    NOTE: Pehle Allah Ke Rasoolﷺ Ne Kabro Ki Ziyarat Se Mana Farmaya Tha, Lekin Baad Me Khud Kabro Ki Ziyarat Ka Hukm Diya.

    Conclusion:

    Shabe Baraat ki fazilat aur is raat Kabristaan jaane ki Sunnat humein Allah ke Rasool ﷺ ki Hadees se wazeh hoti hai. Yeh raat sirf maghfirat aur dua ke liye nahi, balki Aakhirat ki yaad ko taza karne ka ek mauqa bhi hai. Rasool Allah ﷺ ke farman se yeh samajh aata hai ke Kabristaan ki ziarat sirf maut ki yaad dilaane ka zariya nahi, balki duniya se be-ragbat hone aur Aakhirat ki taraf raghbat karne ka sabab hai. Is liye, hum sab ko is Sunnat par amal karte hue apni akhirat ki tayyari ka ehsaas barqarar rakhna chahiye.

    – Jazakallahu Khiar/جزاک اللہ خیر –

    Spread the love

    1 thought on “Shab e Barat in Islam | Quran | Hadees”

    1. Pingback: Mahe Shaban | Shabanul Muazzam | Fazilat | Barkat

    Leave a Comment

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    Scroll to Top