Sartaba Qadam Hai Tan e Sultan e Zaman Phool
![]() |
Sartaba Qadam Hai Tan e Sultan e Zaman Phool |
#1)
Sartaba Qadam Hai Sultan e Zaman Phool
Lab Phool,Dahan Phool, Zaqan Phool, Badan Phool
Word Meaning:👇
Sartaba: Sar se Paw Tak (Head to feet)
Tan: Badan
Sultan e Zaman: Zamane Ke Sultan
Lab: Onth, Lips
Dahan: Muh
Zaqan: Thodi, Chin
Badan: Jism
Tashreeh:👇
Zamane ke Sultan, Huzoor Purnoorﷺ Sar se Lekar Paw tak Phool hai, Aap ke Lab, Onth, Thodi balki Poora Jism Phool hai.( Isliye aap ka jism har waqt muattar rahta hai wo bhi ayesa ki us se doosre faiz paya karte hai. Ye baat Hadeetho se sabit bhi hai.)
#2)
Sadqe Me Tere Baagh To Kya Laye Hai ¹Ban Phool
Is Guncha’h e Dil Ko Bhi To Imaa Ho Ke ²Ban Phool
Word Meaning:👇
¹Ban: Jangle
Guncha8: Kali
Imaa: Isara
²Ban: Banna, Creat
Tashreeh:👇
Ya Rasoolallahﷺ aap Sadqe me Aap Tufail Baagh kya Jangle me bhi Jo Bekar Ped hote hai Un par phool khile hai. Hum Gunahgaro par bhi Nazre Karam faraye aur Dil ki Kali ko Ishara kariye ki Phool ban ja. (Ya Rasoolallahﷺ aap ke ishare par to chand do² tukde ho gaya, Kankadiya Gawahi de,to fir mere dil kya, Ishara kariye mera bhi dil Phool ban jayega.)
#3)
Tinka Bhi Hamare To Hilaye Nahi Hilta
Tum Chaho To Ho Jaye Abhi Koh e Mahan Phool
Word Meaning:👇
Tinka: Mamuli She, Ghaas ka Tukda
Koh: Pahad
Mahan: Mahnat ki Jama’a, Ranj wa Alam, Pareshani
Tashreeh:👇
Ya Rasoolallahﷺ humare chahne se kuchh nahi hoga,hum to ek tinke ko bhi hila nahi sakte,ham se hamari pareshani door nahi, Ranz wa Alam ka Pahad hai Sar par, Ya Rasoolallahﷺ aap Chaho to ye Pareshani ka Pahad abhi Phool kar halka ho jayez sab Ranj wa Alam door ho jaye.
#4)
Wallah Jo Mil Jaye Mere Gul Ka Pasina
Maange Na Kabhi Atar Fir Chahe Dulhan Phool
Word Meaning:👇
Wallah: Allah ki Qasam
Mere Gul: Mere Mahboob, Muraad Huzoor Purnoorﷺ
Atar: Khusbu
Tashreeh:👇
Allah ki Qasam ki Huzoor Purnoorﷺ ka Pasina Mil Jaye To Use doosre khushbu ka khayal tak bhi nahi ayega, doosri khushbu maange ga hi nahi, Agarcha’h Sadi ke Waqt Dulhan hi kyu na ho. Kyuki Huzoor Purnoorﷺ ke Pasine Mubarak se jo khushbu aati us se afzal, kya? us ke barabar koi Atar(Khushbu) hi nahi,
(Ye Shaer ek Waqye ki Taraf Isara hai ki; Huzoor Purnoorﷺ ke bargah me ek Sahabi hajir hue aur kaha ki Ya Rasoolallahﷺ mere ghar bachchi ki Saadi hai to koi khushbu de de’n, Huzoor ne doosre unhe din bartan aur ek ladki laane ko kaha wo Sahabi e Rasoolﷺ Doosre din ba-hukme mutabiq aaye aur Huzoorﷺ ne unhe apne kalaiyo se Pasina Mubarak utaar kar diya, wo sahabi apne ghar le gaye aur apni beti ko dedi, Huzoor Purnoorﷺ ke us Pasine Mubarak ki wajah se poore Makkah me Khusbu fail gayi aur us ghar ke naam Bait-ul-Mutaiebeen(Khushbu Wala Ghar).
(Ghaur Talab baat: Na Sahabi e Rasoolﷺ ne Huzoor se arz ki Ya Rasoolallahﷺ ye aap kya de rahe ho aur Naa Sahabi e Rasoolﷺ ki beti ne apne Baba Jaan se arz ki Baba Jaan aap kya de rahe, bhala wo kaise arz karte jab wo maangne gaye the kuchh aur mil gaya sab kuch, wo ashiq e Rasool the, chu cha wale nahi)
#5)
Dil Basta’h wa Khoo’n Gashta Na Khushbu Na Latafat
Kyu Guncha’h Kahu Hai Mere Aaqa Ka Dahan Phool
Word Meaning:👇
Basta’h: Bandha Hua
Khoo’n: Khoon
Gashta’n: Awara, Wandering
Latafat: Khobi
Tashreeh:👇
Hamare Aaqaﷺ ka Dahan(Mun’h) Mubarak ko Guncha’h kyu kahu, kyuki Guncha’h to hamesha band rahta hai aur Huzoorﷺ ke Dhahan se Hamawaqt Phool jadte. Aur ye halat Hamari hai ki hamare Dil bandhe hue (Huzoor Purnoorﷺ ki Muhabbat se khali wa Doosre khayalaat se) aur ye Dil Na-Paak khoon se lathra hua(Wo khoon napaak hai jis Khoon-e-rawa me Ishq e Rasool na ho) aur naa hi in me koi Latafat hai na Ishq e Rasool ki khushbu.(Jubaan se nahi Amal se)
#6)
Shab Yaad Thi Kin Daanto Ki Sabnam ki Dam Subah
ShowKhaan Bahari Ke Jadao Hai Kiran Phool
Word Meaning:👇
Shab: Raat
Sabnam: Night Moisture
Dam Subah: Subah ke Waqt
Showkhaan Bahari: Phoolo ke khilne ke waqt
Kiran: Shua’a, Ray’s
Tashreeh:👇
Raat ko mai Jin Daanto ko yaad kiya karta hu wah to ayese hai ki jaise Shabnam hai jo subah ke waqt Suraj ki Shua’a padhne se chamak rahi thi aur Mausam e Bahaar ke Dino ke jaise Phool jude hue ho.
#7)
Dandaan wa Lab wa Zulf wa Rukh Shaah Ke Fidai
Hai Durr e Adan, Laal e Yaman, Mushk e Khutan Phool
Word Meaning:👇
Dandaan: Daant
Shaah: Badshaah, Muraad Huzoor Purnoorﷺ
Fidai: Ashiq, Fida hone wala
Durr e Adan: (Adan: Jannat, Durre: Moti) Adan ke Moti
Laal e Yaman: Yaman ke Surkh Laal
Mushk e Khutan: Khalis Kastoori
Tashreeh:👇
Bahot hi Payara Kalaam, Pahle misre me mashooq ki baat ki gayi doosre misre me ashiq ki.
Huzoor Purnoorﷺ ke Dandaar Mubarak par Jannat ke Moti Nisar hai, Lab Mubarak par Laal e Yaman Qurbaan hai, Zulf wa Rukh par Khalis Kastoori Fida hai.
#8)
Bu Ho Ke Niha Ho Gaye Taab e Rukh e Shah Me
Lu Ban Gaye Hai Ab To Haseeno Ke Dahan Phool
Word Meaning:👇
Bu: Mahek
Niha: Poshida’h
Taab: Chamak
Lu: Garam Hawa
Dahan: Mun’h
Tashreeh:👇
Hamare Pyare Aaqaﷺ ki Bargah me Tamaam Duniya ke Haseeno ke Chahre jo phoolo si Khushbu rakhte the lakin Huzoor Purnoorﷺ ke chamak se ghum ho gaye, bhala baagh ke ek kali ki kya Haisiyat, un ki koi khushbu hi nahi rahi,balki ye sab khushbu Huzoor Purnoorﷺ ke rukh ke saamne in haseeno ke munh(phool) lu(garm hawa) ban gaye.
#9)
Hun Baar Gunah Se Na Khijl Dosh e Azeeza’n
Lillah Meri Na’as Kar Aye Jaane Chaman Phool
Word Meaning:👇
Baar: Bojh
Hijl : Sharminda’h
Dosh: Kandha, Shoulder
Azeeza’n: Rishtedar
Lillah: Allah ke liye, Allah ke Waste
Na’as: Murda Jism
Jaan e Chaman: Baagh ki Jaan
Tashreeh:👇
Ya Rasoolallahﷺ Nazre Karam farmayie Mujh par, Meri laash ko Phoolo ki tarah halka banaiyega,taki Rishtedaro ke Kandhe thak na jaye aur wazni laash ko mere gunaho par mahmool kar ke sharminda na ho jaye.
#10)
Dil Apna Bhi Shaidai Hai Us Nakhoon e Paa Ka
Itna Bhi Mahe Naw Na Aye Charkh e Kuhan Phool
Word Meaning:👇
Shaidai: Ashiq
Paa: Pair
Mahe Naw: Naya Chaand, Starting ka Chaand
Charkh e Kuhan: Budha (Old-age) Aasmaan
Phool: Takabbur wa Ghuroor me Phoolna
Tashreeh:👇
Aye Budhe Aasman jab tere upar pahli raat ka naya chand aata hai to tu bahot itratata hai, tu to phoola nahi samata,lakin mera dil tere naye Chaand par nahi balki mere chaand Huzoor Purnoorﷺ ke pair ke Nakhoon par fida hai.
( Kyuki Hilal to hilal is ka Badr mukammal chand mere Huzoor Purnoorﷺ ke Nakhoon e paak ke isare par 2 tukde ho gaye.
Ye Huzoor Purnoorﷺ ke Nakhoon Mubarak hai jis ke liye Hazrat Ameer e Muawiyaرضي الله عنه ne waqt e Wisaal Wasiyat Farmai ki mere kafan me Huzoor Purnoorﷺ ke Nakhoon Paak mere Chahre par rakh dena.)
#11)
Dil Khol Kar Khoo’n Ro Le Gham e Ariz e Sha’h Me
Nikle To Kahi Hasrat Khoo’n Naba Shadan Phool
Word Meaning:👇
Khoo’n: Khoon
Dil Khol Kar Khoo’n Ro Le: Dil Apni Poori Hasrat Nikal le
Gham e Ariz: Aane wala Gham
Hasrat: Afsos
Khoo’n Naba: Khoon Mila Pani (Aansu)
Shadan: Hona
Tashreeh:👇
Aye Meri Aankho, Tumhe jald Madina jhod kar jaana padega to aane wali judai par abhi khoon ke aansu ro lo, poori Hasrat Nikal lo, ta ki ya khooni aansu Dar e Khairul Wara par phool ban kar tumhare dil ki hasrat ko poora aur judai ke gham ko halka kar de.
#12)
Kya Gaza Mala Gard e Madina Ka Jo Hai Aaj
Nikhre Hue Joban Me Qayamat Ki Phaban Phool
Word Meaning:👇
Gaza: Powder
Gard e Madina: Madina ki Mitti
Nikhre Hue: Saaf, Suthre
Joban: Jawani ka Josh
Phaban: Khoobsurati
Tashreeh:👇
Aye Phoolo kya baat hai aaj bahot nikhre Hue nazar aa rahe ho, Nikhre hue joban me aaj jayeda hi Khoobsurati phoot rahi hai,kahi aaj tumhe Gubar e Madina to hat nahi lag gaya, ya kahi saba uda ke laayi jis ko tumne apne chahro par powder ki tarah lagaya hai.
#13)
Garmi Ye Qayamat Hai Ki Kaante Hai Jubaan Par
Bulbul Ko Bhi Ae Saaqi e Sahba wa Luban Phool
Word Meaning:👇
Saaqi: Pilane Wala
Sahba: Safed Angoor ki Qeemti Sharab
Luban: Doodh
Tashreeh:👇
Yaum e Hashr ki Qayamat dhane wali garmi me juban soonkh kar Kaante ki tarah ho jayegi fir Saaqi e Kausar (Huzoor Purnoorﷺ) Hauz e Kausar se Bulbulo(Ashiqo) ko Jaam pilayenge,Jo Sahba Sharbat se bhi Jayeda Umda hogi aur doodh se safed, use pi kar fir kabhi Bulbulo (Ashiqo) ko pyas nahi lagegi.
#14)
Hai Kaun Ki Giryah Kare Ya Fatiha Ko Aaye
Bekash Ke Uthaye Teri Rahmat Ke Bharan Phool
Word Meaning:👇
Giryah: Roye, Rona
Fatiha: Esaal e Sawab
Bekash: Muhtaz
Bharan: Tez Barish
Tashreeh:👇
Ya Rasoolallahﷺ kaun hai jo mere marne ke baad mujh par roye ya meri qabr par aa kar fariha padhez mere liye Esaal e Sawab ka sabab bane, koi nahi hai. Hum bekash ke uthaye hai Ya Rasoolallahﷺ bas aap ka sahara, aap ki Rahamat e Barish e Bharan ki Ummid, Ayesi Tez Rahmat ki Barish barsaye ki mere sab Gunah dhul jaye.
#15)
Dil Gham Tujhe Ghere Hai Khuda Tujh Ko Wo Chamkaye
Suraj Teri Khirman Ko Bane Teri Kiran Phool
Word Meaning:👇
Ghere Hai: Ahata kiye hue
Khirman: Khaliyan,Galle ka Dher
Kiran: Shua’az Ray’s
Tashreeh:👇
Aye Dil Tujhe ghamo ne kis qadar gher rakha hai, khuda kare tujhe wo Chamkaye, Wisl e Mahboob ki ek jhalak mil jaye, Madine ki Hajri naseeb ho jaye, Rukhe Anwar ka deedar ho jaye, Agarcha’h Khawab hi sahi to tere dil se noor ki ayesi Roshni phootegi ki ye Suraj bhi us roshni ki sirf ek kiran ho jayega.
#16)
Kya Baat Raؔza Us Chamanistaan e Karam Ki
Zahra Hai Kali Jis Me Husain Aur Hasan Phool
Word Meaning:👇
Chamanistaan: Baagh
Karam: Sakhawat, Nawazish
Zahra: Hazrat Fatima Zahra binte Rasoolallah(ﷺ) رضى الله عنها ka Pakiza Laqab jis ma meaning Jannat ki Kali
Husain Aur Hasan: Hazrat Fatima Zahraرضى الله عنها ke Shahabzade, Nawasa e Rasool, Jannat ke Phool, Jannati Jawano ke Sardaar
Tashreeh:👇
Aye Abd e Mustafa, Gaday e Dar e Khairul Wara us Karam wa Rahmat ke Baagh ki kya baat kare koi, jis baagh e Risalat ki Kali Jannat ki Kali Bibi Fatima Zahraرضى الله عنها hai aur Us Kali Phool Sayyad-us-Shabaab Ahl e Jinna’h(Jannati Jawano ke Sardaar) Hazrat Hasan aur Hazrat Husainرضي الله عنه hai. Aye Allah Sadqa e Khairul Wara Hame in ki Muhabbat ata farma 🤲 Allahummah.