“Is Pyare Chamakte Tare Muhammad ﷺ Ki Kasam Jab Ye Meraj Se Utre. Tumhare Sahab Na Behke Na Beraah Chale. Aur Wo Koi Baat Apne Khwahish Se Nahi Karte. Wah To Nahi Magar Wahi Jo Unhe Ki Jati Hai. Unhe Sikhaya Sakht Kuwwatwale Taqatwar Ne. Phir Us Jalwe Se Qasd Farmaya Aur Wah Aasmane Bari Ke Sabse Buland Kinare Par Tha. Fir Wah Jalwa Nazdik Hua. Fir Khoob Utar Aaya. To Us Jalwe Aur Us Mehboob Me Do Hath Ka Fasla Raha Balqi Usse Bhi Kam. Ab “Wahi” Farmayi Apne Bande Ko Jo “Wahi” Farmayi. Dil Ne Jhoot Na Kaha Jo Dekha. To Kya Tum Unse Unke Dekhe Hue Par Jhagadte Ho. Aur Unhone To Woh Jalwa Do Bar Dekha Sidratul Muntaha Ke Pas. Uske Pas Jannatul Mawa Hai. Jab Sidrah Par Cha Raha Tha Jo Cha Raha Tha. Aankh Na Kisi Taraf Phiri Na Had Se Badhi. Beshaq Apne Rab Ki Bohot Badi Nishaniya Dekhi.”
(Al Qur’an-E-Kareem, Surah Al Najm, Para 27, Ayat 1-18, Ruku 1; Tarjuma Kanzul Imaan)
⁕ Hadees No: 06
“Hazrat Adi ibn Hateem Radi’Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasool’Allah ﷺ Ne Farmaya: Tum Me Se Har Koi Anqareeb Apne Rab Se Kalam Karega Is Haal Me Koi Parda Na Hoga. Tum Rab Se Kalam Karoge Aur Be Hijaab Deedar Bhi Karoge.”
(Sahi Bukhari, Vol: 03, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees: 7443)
(Sunan Ibn Majah, Kitabus Sunnah/Kitabul Mukaddamah, Hadees: 185)
(Musnad Ahmad, Vol: 04, Pg: 360)
Is Hadees-E-Pak Se Ye Sabit Hota Hai Ke Allah Rabbul Aalameen Ka Deedar Mumkin Hai. Allah Jise Apne Noor Ko Dekhne Ki Kuwwat Ataa Kare, Woh Deedar Zaroor Kar Sakta Hai.
Aqwal e Swalheen
⁕ Huzoorﷺ Ka Didaar-e-Ilahi
Hazrat Abu Zarr Radi’Allahu Anhu Se Riwayat Hai:
Unhone Rasool’Allahﷺ Se Pucha: “Kya Aap Ne Rab Ta’ala Ko Dekha?”
Aaj Kuch Badmazhab Is Hadees Ka Galat Tarjuma Karke Gumrah Karte Hain. Tarjuma Karte Hain: “Wo Noor Hai, Mai Kaise Dekh Sakta Hoon.”
Hazrat Abdullah Bin Shaqik Radi’Allahu Anhu Ka Bayan:
Maine Hazrat Abu Zarr Radi’Allahu Anhu Se Pucha: Agar Main Nabi-e-Karim ﷺ Ko Dekhta To Main Ye Sawal Karta.
Hazrat Abu Zarr Radi’Allahu Anhu Ne Farmaya: “Aye Shaqik! Tum Kya Puchte?”
Main Puchta: “Aye Allah Ke Nabi ﷺ, Kya Aapne Allah Ko Dekha Hai?”
Hazrat Abu Zarr Radi’Allahu Anhu Ne Farmaya: “Aye Shaqik! Maine Ye Pucha Tha Aur RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: ‘Maine Noor Ko Dekha.'”
“Hazrat Abdullah Ibn Masood Radi’Allahu Anhu Se Riwayat Hai: Rasool’Allah ﷺ Ne Farmaya: ‘Allah Rabbul Izzat Ne Mujh Se Farmaya, Maine Apna Khalil Hazrat Ibrahim Ko Banaya Aur Moosa Se Kalaam Kiya. Aur Aye Mehboob! Maine Tumse Mulaqat Ki (Meeting In Meraj) Jahan Tumne Mujhe Behijab Dekha.'”
(Tareekh-e-Damishq Al Kabir, Vol: 04, Pg: 424, Daral Imaan, Madina Munawwarah)
Sawariya & Qayaam
⁕ Safar-e-Meraj Aur Sawariyaan
Imam Alai رحمة الله علیہ Apni Tafseer Me Likhtay Hain:
“Meraj Me Huzoor ﷺ Ne 4 Qism Ki Sawariyon Par Safar Farmaya:
Baitul Muqaddas Se Aasman-e-Awwal Tak Noor Ki Sidiyon Par.
Aasman-e-Awwal Se Saatwe Aasman Tak Farishto Ke Baajoon Par.
Saatwe Aasman Se Sidratul Muntaha Tak Jibra’il علیہ السلام Ke Baajoon Par.
Sidratul Muntaha Se Maqam-e-Kaaba Kausen Tak RAFRAF Par.”