Roza Na Rakhne Ki Ijazat
Ramzan ka maheena roza, ibadat aur taqwa ka maheena hai. Roza Ki Hikmat Aur Iske Fawaid be-shhumar hai, jo pichhli blog me zikr ho chuka hai. Magar Islam ek aisa deen hai jo har shakhs ki sahulat ka bhi khayal rakhta hai. Roza ek fariza hai, magar kuch khas halat aisi hain jisme roza na rakhne ki ijazat di gayi hai. Is blog me hum un sabhi sharai aur fiqhi wajaahat ka zikr karenge jisme roza na rakhna ya tod dena jaiz hai.
1. Hamal (Pregnancy) Aur Dudh Pilane Wali Aurat
Agar koi aurat hamla hai ya apne bachay ko doodh pila rahi hai aur use yeh dar hai ke roza rakhne se uski ya uske bachay ki sehat ko nuksan ho sakta hai, to use roza na rakhne ki ijazat hai.
Dalail:
📗 (Raddul Muhtar, Sunni Bahishti Zewar Hissa 2, Safa 194)
📕 (Qanoon-e-Shariat Hissa 1, Safa 185)
2. Musafir Ke Liye Roza Na Rakhna
Agar koi shakhs sharai safar par hai (yani 92 km ya us se zyada ka safar), to uske liye roza na rakhna jaiz hai. Magar agar safar me roza rakhne se koi nuksan nahi hota to roza rakhna behtar hai.
Dalail:
📚 (Durre Mukhtar)
📕 (Qanoon-e-Shariat Hissa 1, Safa 186)
3. Bimari Ya Kamzori Ki Wajah Se Roza Maf
Agar kisi mariz ko yeh dar ho ke roza rakhne se uska marz barh jayega ya dair me sehat yaab hoga, to is surat me roza na rakhne ki ijazat hai. Lekin baad me iski qaza karni hogi.
Dalail:
📚 (Durre Mukhtar)
📗 (Sunni Bahishti Zewar Hissa 2, Safa 194)
4. Haiz Aur Nifas Wali Aurat
Aurat agar haiz (mahvari) ya nifas (bachay ki wiladat ke baad ka khoon) me ho, to uspar roza rakhna haram hai. Is halat me uska roza maf hai, magar baad me qaza laazim hogi.
Dalail:
📚 (Sunni Bahishti Zewar, Safa 188)
📕 (Durre Mukhtar, Aalamgiri)
5. Budhape Ki Wajah Se Roza Maf
Agar koi bohot zyada boodha shakhs ya aisi aurat jo itni kamzor ho gayi ho ke roze ka burden uthane ki taqat nahi rakhti, to uske liye roza maf hai. Magar uske badle me har roza ka fidya dena farz hai, jo ek miskin ko do waqt ka pet bhar khana ya sadqa-e-fitr ke barabar raqam dena hai.
Dalail:
📕 (Qanoon-e-Shariat Hissa 1, Safa 186)
6. Bhook Ya Pyaas Se Halakat Ka Dar
Agar kisi shakhs ko itni shiddat ki bhook ya pyaas lage jo uski jaan ke liye khatra ban sakti hai, ya aqal kho dene ka andesha ho, to uske liye roza na rakhna jaiz hai.
Dalail:
📕 (Aalamgiri, Qanoon-e-Shariat Hissa 1, Safa 186)
7. Jihad Aur Sakht Mehnat Wala Kaam
Agar koi shakhs jihad me hai ya aise mehnat talab kaam me mashgool hai jisme roza rakhna uske liye nuksan ka sabab ban sakta hai, to use roza na rakhne ki ijazat hai.
Dalail:
📚 (Durre Mukhtar)