Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Qur’aan se Chaand Tak | Space Theory in Quran

Spread the love

Qur’aan se Chaand Tak (Space Theory) 
Quran & Science Ye Ek Aisa Topic Hai Jispe Tafseeli Guftugu Ki Jaa Sakti Hai, filhaal yaha ek mukhtasar pesh Kiya Gaya hai, In-sha-Allah aage koshish rahegi mazeed ki, aap log padhe aur share aur support karte rahe.
1.
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ
یٰمَعْشَرَ الْجِنِّ وَ الْاِنْسِ اِنِ اسْتَطَعْتُمْ اَنْ تَنْفُذُوْا مِنْ اَقْطَارِ السَّمٰوٰتِ وَ الْاَرْضِ فَانْفُذُوْاؕ-لَا تَنْفُذُوْنَ اِلَّا بِسُلْطٰنٍ(55:33)
اے جِنّ و انسان کے گروہ اگر تم سے ہوسکے کہ آسمانوں اور زمین کے کناروں سے نکل جاؤ تو نکل جاؤ ، جہاں نکل کر جاؤ گے اُسی کی سلطنت ہے۔
“Ye jinn aur insaan ke group agar tumse ho sake ke aasmanon aur zameen ke kinaron se nikal jaao to nikal jaao, jahan nikal kar jaoge usi ki sultanat hai.” (Surah Rahman:33)
Is ayat se ishara milta hai ki Insaan Space me ja sakta hai aur jayega (kyu ki yaha wajan hai, “to nikal jao” yani mumkin hai) asmaan aur zameen ke atmosphere ko paar karke. To is ayat se sabit hua ki Insaan ka space me Jana Qur’aan se hai.
2.
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ
فَلَاۤ اُقْسِمُ بِالشَّفَقِ(16) وَ الَّیْلِ وَ مَا وَسَقَ(17) وَ الْقَمَرِ اِذَا اتَّسَقَ(18) لَتَرْكَبُنَّ طَبَقًا عَنْ طَبَقٍﭤ(19) فَمَا لَهُمْ لَا یُؤْمِنُوْنَ(20) {Surah No.84}
تو مجھے قسم ہے شام کے اُجالے کی۔اور رات کی اور جو چیزیں اس میں جمع ہوتی ہیں ۔اور چاند کی جب پورا ہو۔ضرور تم منزل بہ منزل چڑھو گے۔ تو کیا ہوا ایمان نہیں لاتے۔
“To mujhe qasam hai shaam ke ujaale ki, aur raat ki aur jo cheezein is mein jama hoti hain, aur chaand ki jab poora ho, zaroor tum manzil ba manzil chadhoge. To kya hua, imaan nahi laate?” (Surah Inshiqaq : 16-20)
{Tarjuma e Qur’aan Kanzul Imaan}
In ayaat ka isara us taraf hai jab Chand Perigee orbit par aata hai to us waqt Chaand Earth se sabse qareeb hota hai, aur us waqt wo bahot Roshan hota hai jise “Supermoon” bhi kaha jata. Is saal 2023 Supermoon 1 August ko Nazar aaya tha.
Neeche di gai tasveer me aap bahter samajh paoge.

 

Jab Chand apne Perigee orbit par hota hai, to lunar orbit mein dakhil hona relatively asaan ho jata hai. Perigee mein Chand Zameen ke sabse qareeb hota hai, iska matlab hai ke lunar orbit mein dakhil hone ke liye kam energy aur fuel ki zaroorat hoti hai as compared to jab woh apogee (Zameen se sabse door) par hota hai. Isse lunar missions ke liye faida hota hai kyunki yeh fuel aur energy ko kam karta hai jo lunar orbit mein dakhil hone ke liye chahiye hota hai.
Ayat me “Manzil ba Manzil” se Ye pata chalta hai Ke Insan Jab Zameen Ki Had Se Baahar Niklega To Zaroor Uski Koi Doosri Manzil Hogi.
Aur “Chaand jab poora ho” Ye Aayat Ishara Kar Rahi Hai Ke Wo Manzil Chaand Hogi, Aur Mumkin Hai Ke Insan Manzil Ba Manzil Chadhta Hi Chala Jaaye,
Aur Aaj Insan Ne Chand Ke Alawa Mars Pe Bhi Qadam Rakh Diya Hai.
Aur “To Kya Huwa Unhe Iman Nahi Laate” Ye Aayat Ishara Kar Rahi Hai Ke Jo Insan Chand Ya Kisi Aur Planet Pe Sabse Pehle Qadam Rakhega Wo Musalman Nahi Kaafir Hoga, aur wo phir bhi Imaan nahi layenge.
Aur poori duniya janti hai chaand par pahla kadam rakhne wala kaun hai, Beshumar baate hai hai jo Nature se takraati hai phir bhi Imaan nahi late aur apni science or theory pe ade hai.
Hume (Musalmano) ko jaroorat is baat ki hai ki wo Qur’aan padhe aur use samjhe kyuki “ Qur’aan me har cheej ka bayan hai” kahi jayeda to kahi thoda, koi khula hua to koi chhupa hua bayan mtlb har cheez ka bayaan hai Allah ke bando ke liye.
Visit more…

Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top