1952 se leker ab tak 70 saal tak Taaj e Bartania par hukoomat karne wali Queen (Malika) Elizabeth ll 96 baras ki Umar mein 8 September 2022 shaam ke waqt chal baseen. Un ka 70 saal aur 214 din ka daur kisi bhi Bartanwi badshah ka sab se taweel daur tha.
![]() |
Queen Elizebath II 1952 |
Unke Daur e Hukoomat me Winston Churchill samait 15 Wazra e Azam ne ohda sanbhala. Unke baad unkay bade bete shehzada Charlies ab Bartania ki badshahat ka ohda sanbhalenge. Malika Elizebath ll ke bare me chand dilchasp baatein:
![]() |
Queen Elizebath II and Winston Churchill |
1. Un ke paas safar karne ke liye passport nahi tha. Kyunki Passport ka jaari karne wali Authority Bartania mein woh khud thi. Woh beghair passport ke hi safar karti.
![]() |
Queen Elizebath II at Airport |
2. Unhon ne 1945 mein gaadi chalana seekha. Unhen gaari chalanay ke liye bhi Driving Licence ki zaroorat nahi thi.
![]() |
Queen Elizebath II driving Car |
3. Doosri Jung e Azeem (World War ll) ke douran unho ne fouji(army) truck bhi chalayi.
![]() |
World War ll time pic of Queen Elizabeth ll |
4. Sydney ke opera house ka iftitah(opening) bhi 1973 mein unhon ne kiya.
![]() |
Sydney Opera House |
5. Dosray mumalik ke diye gaye tohfon ke tor par woh London ke Chidya Ghar (Zoo) me ek hathi, do kuchhoon aur ek Jaguar ki bhi maalik thi.
![]() |
Queen Elizebath II with Elephant |
6. Qanoon ke mutabiq Bartania ke paanio me mojood tamam Whales aur Dolphins ki malkiat unkay paas thi.
![]() |
Dolphin kiss on cheek of Queen Elizabeth ll |
7. 1976 mein unhon ne pehli Royal E-Mail bhaije. Yehh E-mail Bartania ke Communication ke tehqeeq idaray ke computer network se bhaije gayi.
![]() |
Queen Elizebath II |
8. Angrezi zabaan ke ilawa unhen French zabaan par bhi uboor haasil tha.
![]() |
Queen Elizebath II |
9. Unhen har saal taqreeban 7 hazaar khutoot duniya ke mukhtalif kono se mausool(received) hotay jin mein se aksar ka wah ya unki team jawab bhi deti.
![]() |
Letter about Queen Elizabeth ll |
10. Wah saal mein do martaba saalgirah manati thi. Ek 21 April ko jo Unki asal Tareekh e Paidaiesh (Date of Birth) thi aur Doosri Sarkari saalgirah jiska inhisaar achay mausam par hota.
![]() |
Queen Elizebath II celebrate her birthday |
Unke marne ke baad ab unhen tadfeen se pehlay chaar din tak London ke West Minister Hall mein rakha gaya hai jahan aam awam aa kar unkaa aakhri deedar kar sakay gi. Unhen dekhnay ke liye mutawaqqa(expectations) taur par 10 laakh ke qareeb log ayen ge. unkee tadfeen ki taqreeb me duniya bhar se ahem rehnuma aur qaideen bhi shirkat karen ge.
![]() |
West Minister Hall, London |
Queen Elizebath II se related mazeed padhe