Qaisah e Meraj ke pash manzar me Ulma e Karaam ne likha hai ki; Aalahazrat ko ek Hazrat ne apna Ek Qasida e Meraj likha hua Aalahazrat ko sunane aye, lakin us waqt Aalahazrat kuch mashroof the to Namaz e Asr ke baad sunne ko kaha. Ab Namaz e Asr ke baad jab wo Hazrat aye to Aalahazrat ne kaha rukiye aap ke jane ke baad maine kuch likha hai pahle wo sunle fir aap suna dena sukoon se, fir aap ne ye apna qasida “Wo Sarware Kisware Risalat…” sunaya to wo Hazrat apna Qasida sunaye begair chale gaye, goya unka haal e baya ye tha ki kaha Suraj ke Samne ek chota sa chirag.
Aur waqai me ye Qasida Motio ki tarah jada hua Haar hai. Alfaaz in ke Bahter tarike se istemaal hue hai… AllahuAkbar, Subhan-Allah.
Qasidah: Wo Nazm jo kisi Waqye ko bayan kare, kisi ek bayan par ho, kisi tareef wa tauseef ki jaye, Use “Qasida” kahte hai. Qasida ke Matla’a ke pahle do mishre aur har sher ka akhri Mishra hum qafiya hona chahiye.
Part 1
1
وہ سرورِ کشورِ رسالت جو عرش پر جلوہ گر ہوئے تھے
نئے نرالے طرب کے ساماں عرب کے مہمان کے لئے تھے
Wo Sarware Kishware Risalat Jo Arsh Par Jalwagar Hue The
Naye Nirale Tarab Ke Saama Arab Ke Mahman Ke Liye The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Nabuwat wa Risalat ke Mulk Badshaah Jab Arsh par jalwagar hue the to Arab ke Mahman ki Amad ke liye Naye naye nirale nirale andaz me Khusi ke saaman the, jis ka bayan na mumkin hai.
2
بہار ہے، شادیاں مبارک، چمن کو آبادیاں مبارک
ملک فلک اپنی اپنی لے میں، یہ گھور عندل کا بولتے تھے
Bahaar Hai Shadiya Mubarak Chaman Ko Abadiya Mubarak
Malak Falak Apni Apni Lay Me Ye Ghur Anadil Ka Bolte The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Tamam Farishte aur Aflaak apni apni andaz wa lahze me ek anokhe aur Bulbulo ki andaz me geet ga rahe the. Aur ek doosre ko kah rahe hai ki aaj kaisi bahaar hai? Aaj ki raat raat kitni khushiyon wali raat hai? Aaj baagh me kitni Raunaq hai? Aaj jannat ko kaise sajaya gaya hai? Jahannam ko kaise bhujaya gaya hai? Ye khushiya Mubarak ho, ye baagho ki Abadiya aur bahaare’in Mubarak ho.
3
وہاں فلک پر، یہاں زمیں پر، رچی تھی شادی، مچی تھی دھومیں
ادھر سے انوار ہنستے آتے، اِدھر سے نفحات اٹھ رہے تھے
Waha Falak Par Yaha Zamee’n Par Ranchi Thi Saadi Machi Thi Dhoome
Udhar Se Anwaar Hanste Aate Idhar Se Nafhaat Uth Rahe The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Udhar Asmaan par aur idhar Zameen par Khushiyon ka sama tha aur dhoom Machi hui thi. Asmaano se jaise Noor wale Aaqaﷺ ki Meraj ki khushi me Noor ki barish ho rahi thi (Jaise dulhe ki amad par phool barsaye jaate hai) aur idhar Zameen se Khushbuye Mahek rahi thi aur khoob chahel pahel thi (jaise Shaadi wale ghar me hoti hai) kyunki Huzoor Purnoorﷺ Zameen walo ki bigdi banwane ja rahe the.
4
یہ چھوٹ پڑتی تھی ان کے رخ کی، عرش تک چاندنی تھی چھٹکی
وہ رات کیا جگمگا رہی تھی، کہ جگہ جگہ نصب آئینے تھے
Ye Chhoot Padti Thi Un Ke Rukh ki Arsh Tak Chandni Thi Chatki
Wo Raat Kya Jag Maga Rahi Thi ki Jagah Jagah Nisb Ayine The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Huzoor Purnoorﷺ ke Chahre Mubarak ki tajalli Arsh tak bikhri hui thi, jaise ek 14vi raat ke chand ki wajah se Chandi raat hoti hai is se kai gunah ye raat (Shab e Meraj) jag maga Rahi thi goya ayesa lag raha ho ki jaise jaise jagah jagah Ayine(Mirrors) ghade gaye jis se roshni me aur ajafa ho raha hai.
5
نئی دلہن کی پھبن میں کعبہ، نکھر کے سنورا، سنور کے نکلا
حجر کے صدقے، قمر کے ایک تل میں، رنگ لاکھوں بناؤ کے تھے
Nayi Dulhan Ki Phaban Me Kaaba’h Nikhar Ke Sanwra Sanwar Ke Nikhra
Hajar Ke Sadqe Kamar Ke Ek Til Me Rang Lakho Banao Ke The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Ab chu’nki Huzoor Purnoorﷺ Makkah se Safar e Meraj ke liye rawana ho rahe the to Kaaba’h ko bhi sajaya gaya tha,ayese jaise dulhan sajti hai jaise ki Nikhar Ke Sanwra, Sanwar Ke Nikhra mtlb jis ke liye koi word hi na ho, goya Ban Sanwarne me bhi Ban Sanwar tha, aur Saj Dhaj me bhi Saj Dhaj tha. Itne Haseen tariqe se sajaya gaya tha aur us par us ke kamar par ek til (Hajar e Aswad) jo aur khoobsurati me lakho nikhaar paida kar raha tha.
Kaaba’h ko Dulhan kahna ?
Jab bhi Naatia Kalaam me is tarah ki word use kiye jaate hai to us ke doosre meaning hote hai.
Yaad rahe Urdu ke ek word ke bahot meaning hote hai jaise “Dulhan” is ka meaning Aarasta bhi hota na ki Dulhe wali Dulhan.
Naat Sharif me Mohboob(Naat likhne wale) apne Muhib(Huzoor Purnoorﷺ) ki tareef wa tausif bayan karte hai, to Ishq wa Ashiqi ki baat hoti. Is tarah ke word ko Sirf Khoobi ke liye istemaal kiya jaata hai na ki asl meaning me Dulhan.
Bahot se jagho par dulhan word use kiya gaya hai jaise…
1) Qabr me teeno sawal ki qamiyabi ke baad Momin ke liye gaib se sada Ayegi ki “So ja jaise dulhan soti hai”.
(Yaha dulhan se murad ayese so ja jaise dulhan be-fiqr, itminaan, pursukoon soti hai)
2) Isi tarah Surah Rahman ko Qur’an Sharif ki Dulhan kaha gaya.(Yaha Dulhan se muraad se Khoobsurat)
3) Qayamat ki din Jumu’ah ke din ko Dulhan ki taraya uthaya jayega.(Yaha Dulhan se muraad saj sanwaar kar, Anwar wa tajjaliyaat me)
6
نظَر میں دلہا کے پیارے جلوے، حیا سے محراب سر جھکائے
سایہ پردے کے منہ پر آنچل، تجلی ذاتِ بہات کے تھے
Nazar Me Dulha Ke Pyare Jalwe Haya Se Mehrab Sar Jhukaye
Saya Parde Ke Muh Par Anchal Tajalli Zate Bahat Ke The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Huzoor Purnoorﷺ ke Chahra e Wadduha se ayese Noor jhalak rahe the ki Haya se Mahrab ne sar jhuka liya(abhi bhi aap dekhenge to mehrab ke upar(head) ka hissa jhuka rahta hai) wo Khana’h Kaaba’h ke Saya Parde par Khalis jalwe ka ek pallu daala gaya tha jis se Kaaba’h Sharif jhalak raha tha, ye sab Huzoor Purnoorﷺ ke Safar e Meraj ke jaane ke pahle ke ehtamaam the.
7
خوشی کے بادل امنڈ کر آئے، دلوں کے طاؤس رنگ لائے
وہ نغمۂ نعت کا سماں تھا، حرم کو خود وجد آ رہے تھے
Khushi Ke Baadal Umand Kar Aye Dilo’n Ke Taaus Rang Laye
Wo Nagma Naat Ka Sama Tha Haram Ko Khud Wajd Aa Rahe The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Rahmat wo Noor ke saare baadal jama ho kar aa gaye aur Noor wa Rahmaat barsaane lage to Dilo’n ke Mor bhi Wajd me aa kar ghoomne lage. [ Jab bhi badal aate hai to wo waqt mor ke liye bahot Suhana hota, jis se wo khusi me apne par khol kar ghoomne lagta hai ] wo manzar hi Naat (Huzoor Purnoorﷺ ki tareef wa tauseef) ka tha, har taraf aap hi ke naat padhi jaa rahi thi(muraad mahol se, rahmat barasna, Kaaba’h ka sajna goya ye sab Huzoor Purnoorﷺ ki tareef wa tauseef hi hai) jise dekh kar haram ko bhi khud Wajd aa raha tha (Jaise Huzoor Purnoorﷺ ki waqt e paidaish par Khana’h Kaaba’h 3 din, 3 raat tak Wajd karta raha (Seerat e Halbiya)
8
یہ جھوما مہتاب زَر کا جھومر، کہ آ رہا ہے کان پر ڈھلک کر
پھُہار برسی تو موتی جھڑ کر، حطیم کی گود میں بھرے تھے
Ye Jhooma Mahzaab e Zar Ka Jhumar Ki Aa Raha Hai Kaan Par Dhalak Kar
Phuhaar Barsi To Moti Jhad Kar Hateem Ke God Me Bhare The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Ab Jab Haram ko Wajd aaya to wo is tarah Jhooma ki jaise Uska Jhumar(Mehzaab e Rahmat) maathe(forehead) par se Dhalak kar baar baar kaan(ear) tak aa raha hai,us me se Noor wa Tajalliyaat ki Halki halki barish ho rahi thi Aur wo sab Rahmat wa Tajalliyaat ki moti Hateem ki god me gir rahe the.
9
دلہن کی خوشبو سے مست کپڑے، نسیم گستاخ آنچلوں سے
غلافِ مشکیں جو اُڑا رہا تھا، غزال نافے بسار رہے تھے
Dulhan Ki Khushbu Se Mast Kapde Naseem Gustaakh Anchalo’n Se
Gilaf Mushkeen Jo Uda Raha Tha Gazaal Naafey Basa Rahe The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Dulhan (Kaaba’h Muazzama) ke Mast Kapde (Gilaf) se Subah ki Gustaakh hawa chalaki se khushbu chura rahi thi,Gilaf Mushkeen Jo wajd me udh raha tha jis se aur khushbu ho rahi thi jo hiran le le kar apni Naafey Basa rahe the, Kaaba’h ke Gilaf ki khushbu se Kasturi jama kar rahe the.
10
پہاڑیوں کا وہ حسن تازہ، وہ اونچی چوٹی، وہ ناز و تمکیں
صبا سے سبزے میں لہریں آئیں، دوپٹے دھانی چنے ہوئے تھے
Pahadiyo’n Ka Wah Husn Tazayei’n Wah Oonchi Choti Wah Naaz wa Tamkee’n
Saba Se Sabza Me Lahrey Aayi’n Dupatte Dhaani Chune Hue The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
SubhanAllah! Ab Pahado ki baat ho rahi hai, wo kaise saje hue the, Pahadiyo’n ka Husn aur Aaraish wa Zebaish aur Oonchi Chotiyo’n ki Shaan wa Shokat,aur Saba ke chalne se uspar ugne wali ghaas(grass) ayese Lahra rahe the jaise usne dhaani rang ka Duppatta odh rakha ho aur Lahra raha ho.
11
نہا کے نہروں نے وہ چمکتا لباس آبِ رواں کا پہنا
کہ موجیں چھڑیاں تھیں، دھار لچکا، حباب تاباں کے تھال ٹکے تھے
Naha Ke Nahro Ne Wo Chamakta Libaas Aabe Rawa Ka Pahna !
Ki Maozey Chhadiya Thee’n Dhaar Lachka Habab e Taaba’n Ke Thaal Tike The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Ab Nahro ne bhi khoob Naha dho kar Chamakta Bahta Pani ka libaas pahna aur uski lahre ayese thi jaise bareek bareek chhadi aur patli Palti gota ho. Bulbulo ki chamak us ke husn wa jamal me char chand laga rahi thi jaise kisi ne use Saliqe se rokha ho.
12
پرانا پر داگ ملگجا تھا، اٹھا دیا فرش چاندنی کا
ہجومِ تارِ نگاہ سے کوسوں، قدم قدم فرش باؤلے تھے
Purana Pur Daag Malgaja Tha Utha Diya Farsh Chandni Ka
Hujoom e Taar e Nigah Se Koso Qadam Qadam Farsh Bawle The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Jaise kisi ke aane par ghar ke purane farsh, qaleen, parde change kardiye jate hai, Isi tarah 27vi Shab e Meraj ko Jab Huzoor Purnoorﷺ ki Amad farsh par honi thi to Aapﷺ ke khaliq ne Purana Aasman utha liya uski roshni purani ho gai thi isliye us din chaand bhi nazar nahi aaya us ki jagah Farishto aur Hooro ki Aankho ka Jari ka farsh koso door tak bhichha diya tha. Huzoor Purnoorﷺ khud Siraj e Muneer (Roshni ko Roshni dene wale) hai to aap ko kisi chand taro ki roshni ki kya jarurat. Goya wahi baat hui jo Alahazrat ne pahle shaer ke doosre mishre me kaha tha
“Naye Nirale Tarab Ke Saama Arab Ke Mahman Ke Liye The”
13
گبار بن کے نثار جائے، کہاں اب اس رہ گزر کو پائے
ہمارے دل، حوروں کی آنکھیں، فرشتوں کے پر جہاں بچھے تھے
Gubaar Ban Ke Nisar Jaye Kaha Ab Us Rah Gujar Ko Paye
Hamare Dil Hoorio’n Ki Aankhe Farishto’n Ke Par Jaha Bichhe The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Dhool wa mitti ban kar us raaste par nisaar jau, magar ab kaha us raaste ko paye, us raaste par to hamare dil Bichhe hue the sirf hamare dil nahi balki Hoorion ki aankhe aur Farishto’n ke par bhi us raaste par Bichhe the jis raah se Meraj ke Dulha Allahﷻ se milne gaye the.
14
خُدا ہی دے صبر جانے، پر غم دکھاؤں کیوں، کر تجھے وہ عالم
جب اُن کو جھرمٹ میں لے کر قدسی جِناہ کا دُولہا بنا رہے تھے
Khuda Hi De Sabr Jaane Pur Gham Dikhau Kyu Kar Tujhe Wo Alam
Jab Un Ko Jhurmut Me Le Kar Qudsi Jina’h Ka Dulha Bana Rahe The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Nabuwat wa Risalat ke Mulk Badshaah Jab Arsh par jalwagar hue the to Arab ke Mahman ki Amad ke liye Naye naye nirale nirale andaz me Khusi ke saaman the, jis ka bayan na mumkin hai.
15
اتار کر اُن کے رُخ کا صدقہ، یہ نور کا بات رہا تھا بادا
کہ چاند سورج مچل مچل کر جبین کی خیرات مانگتے تھے
Utaar Kar Un Ke Rukh Ka Sadqa Ye Noor Ka Bat Raha Tha Baada
Ki Chaand Suraj Machal Machal Kar Jabee’n Ki Khairaat Mangte The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Jaise Dulhe ki baraat jaati hai to Us ki nazar utarte hai aur wo utar kar baant diya jata hai, Isi tarah jab Meraj ke Dulha Arsh par jaa rahe the to Allah ke Apne Mahboobﷺ ke Chahre ka Sadqa Utar kar Noor ki khairat baanti, aur Chand Suraj itne roshan hone ke ba-wajood Machal Machal Kar, Israr wa Takrar karke Huzoor Purnoorﷺ ke Peshani ki bheek maang rahe the.
16
وہی تو اب تک جھلک رہا، وہی تو جوان ٹپک رہا ہے
نہانے میں جو گرا تھا پانی، کٹورے تاروں نے بھر لئے تھے
Wahi To Ab Tak Jhalak Raha Wahi To Joban Tapak Raha Hai
Nahane Me Jo Gira Tha Paani Katore Taaro Ne Bhar Liye The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Jo Aaj Chaan wa Suraj me ye be-inteha husn wa jamal najar aa raha hai, ye jo inki roshni jhalak rahi hai to sab to mere Huzoor Purnoorﷺ ki Khairaat Safar e Meraj ke waqt aap ke gusl ka jo paani bacha tha wo ye sab Taare(Suraj, Chaand, Sitare) apne apne Katore bhar liye the aur aaj wahi jhalka wa tapka rahe hai.
17
بچّہ جو تلووں کا اُنکے دھوان بنا، وہ جنت کا رنگ و روغن
جنہوں نے دُلہا کی پائی اُترن، وہ پھول گلزار نور کے تھے
Bacha Jo Talwo Ka Unke Dhowan Bana Wo Jannat Ka Rang-o-Roghan
Jinho Ne Dulha Ki Payi Utran Wo Phool Gulzar Noor Ke The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Safar e Meraj par jane se pahle jab Huzoor Purnoorﷺ ne Ghusl ya Wudu farmaaya to bache hue paani se jaanat ko Rang-o-Roghan ke liye isi paani ka istemal kiya gaya,aapﷺ ka Dhowan jannat ki Khoobsurati bani, aur jo Jannat me phool hai Gulzar hai ye sab jo rang birange dosale odh rakhe hai ye bhi Huzoor Purnoorﷺ ka Utara hua Libaas hai, jo jannat ke Gul o Gulzaar ne pahen rakha aur apni Khoobsurati me ajafa kar rahe hai.
18
خبر یہ تحویل مہر کی تھی کہ رت سہانی گھڑی پھرے گی
وہا کی پوشاک زیبِ تن کی، یہاں کا جوڑا بڑھا چکے تھے
Khabar Ye Tahweel Maher Ki Thi Ki Rut Suhani Ghadi Phiregi
Waha Ki Poshaak Zeb Tan Ki Yaha Ka Joda Badha Chuke The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Nabuwat wa Risalat ke Suraj Shab e Meraj ko Zameen ki Aasmaan ki Taraf Maka’n se La-Maka’n ki taraf Jaana is baat ki daleel hai ki ab waqt badalne wala hai, ab ghadi Phiregi (jaise Suraj ek jagah se doosri jata hai waqt Badal jata hai) ab Ummat ke liye Suhani Ghadi aur Pasandida waqt aane wala hai jab La-Maka’n par Ummat ki Bakhshish ke faisle honge isliye to waha ka Noorani Libaas Pahena aur yaha ka libaas utaar kar ummat ke gunaho ke badle Sadqa kardiya taki Ummat par jo musibat afat-o-bala aaye wo tal jaye kyuki Sadqa balao ko taal deta hai.
19
تجلّیاتِ حق کا صحرا سر پر، صلاۃ و تسلیم کی نشوار
دو رویہ قدسی پرے جمع کر کھڑے، سلامی کے واسطے تھے
Tajalliye Haq Ka Sahra Sar Par Salaat wa Tasleem Ki Nichhawar
Do-roya’h Qudsi Pare Jama Kar Khade Salami Ke Waste The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Jab Dunya ke Badshaah ki sawari gujarati hai to dono taraf se phoolo Nichhawar kiye jate hai koi salam karta, koi kuchh koi kuchh Aur Jab Meraj ke Dulha, Habibullah, Sarkar Mustafaﷺ ko Jalwa e Haq ka Sahra baandh gaya aur m aap ki Sawari gujar rahi thi to aap ke raah gujar par bhi dono taraf Farishte khade Salaam kar rahe the, Darood wa Salaam ki Gunche Nichhawar kiye jaa rahe hai, koi aap par darood bhej raha hai to koi salaam, goya Alahazrat ki hu juban me farishte kah rahe hai.
“Shab e Ashra Ke Dulha Pe Daim Darood
Naw Shah e Bazm e Jannat Pe Lakho Salaam”
20
جو ہم بھی وہاں ہوتے خاکِ گلشن لپٹ کے قدموں سے لیتے اُترن
مگر کرے کیا، نصیب میں تو نا مریدی کے دن لکھے تھے
Jo Hum Bhi Waa’n Hote Khaak e Gulshan Lipat Ke Qadmo Se Lete Utran
Magar Kare Kya Naseeb Me To Na-Muraadi Ke Din Likhe The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Aye Kaash! Agar hum bhi waha hote to jis Gulshan se sarkaar gujre us raah ki mitti ban jaate aur Huoor Purnoorﷺ ke Qadmo se lipat jaate aur Huzoor se kahte ki Aap ne apna Dhowan jannat ko ata kiya hame apni utran dedo YaRasoolallah! Hamare Aaqa jaroor maan jate agar ye bhi nahi milti to Aap ka Nalain e Paak le kar Sar par rakh lete.
“Jo Sar Par Rakhne Ko Mil Jaye Nalain e Paak
To Fir Kahenge ki Haan Taajdaar Hum Bhi Hai”
Magar kya kare Hamare Naseeb me to Nakami ke din the.
21
ابھی نہ آئے تھے پُشتِ زین تک کہ سر ہوئی مغفرت کی شیلاک
صدا صفاّت نے دی مبارک گناہ مستانہ جھومتے تھے
Abhi Na Aaye The Pusht e Zee’n Tak Ki Sar Hui Maghfirat Ki Shilak
Sada Safa’at Ne Di Mubarak Guna’h Mastana Jhoomte The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Aap abhi Pusht e Zee’n Tak ane hi wale, Buraaq par sawar hone hi wale the ki itne me Maghfirat ke topo salami di gayi,aur Safa’at Huzoor ke bargah me khud hajir ho kar Huzoor ko ye muzda Sanaya aur Mubarakbaad di ki aap jis ummat ke liye ro ro kar duen karte the un ki Bakhshish ho gai, unka kaam bna gaya. Idhar jab ye baat aap ke ummat ke gunahoro ko pahonchi to wo bhi wajd me aakar jhoomne lage, aur idhar gunah bhi khusi manai ki agar gunah gaaro ki Bakhshish na hoti to meri wajah se sab gunahgaar azaab me mubtala ho jate aur Allah ke Mahboob pareshan hote shukr hai ki Allah ke Mahboob ke pareshan hone ki wajah nahi bane.
22
عجب نہ تھا رُخش کا چمکنا، گزاَل دم کھوردہ سا بھڑکنا
شعاعیں بکھے اڑ رہی تھی، تڑپتے آنکھوں پہ ساکھے تھے
Ajab Na Tha Rukhsh Ka Chamakna Gazaal Dam Khoordah Sa Bhadakna
Shua’aye Bukke Uda Rahi Thi Tadapte Aankho Pe Sa’aqe The
Word Meaning
Sarwar: Badshaah, King
Kishwar: Mulk, Country
Nirale: Azeeb, Umda
Tarab: Khusi
Arab ke Mahman: Murad Huzoorﷺ
Tashreeh/Explanation
Huzoor Purnoorﷺ ke sanwari ke chahre ki Chamak koi Ta’ajjub nahi tha waha Sama(Mahol) hi ayesa tha,Sarab e Jalwa e Ishq me Buraaq Jhalang lagata aur is ki wajah ye thi ki Uski aankho me bijliya raqs(ghoom) rahi thi. Janwar ke aankho me tez roshni padhte hi uchhalne lagte hai aur yaha to Siraj-um-Muneer khud Bijliyo par sawar hai to Buraaq kaise na uchhle,jhoome. Ye sab me koi azab na tha.