Qasida e Meraj Sharah | Kalaam e Aala Hazrat | Hadaiq e Bakhshish
First read Part 1 …
#21)
Abhi Na Aaye The Pusht e Zee’n Tak Ki Sar Hui Maghfirat Ki Shilak
Sada Safa’at Ne Di Mubarak Guna’h Mastana Jhoomte The
Word Meaning:👇
Pusht e Zee’n: Sawari ki Zeen, Kaanthi
Shilak: Topo ki Salami
Sada: Awaz
Mastana Jhoomte The: Wajd karte the
Tashreeh:👇
Aap abhi Pusht e Zee’n Tak ane hi wale, Buraaq par sawar hone hi wale the ki itne me Maghfirat ke topo salami di gayi,aur Safa’at Huzoor ke bargah me khud hajir ho kar Huzoor ko ye muzda Sanaya aur Mubarakbaad di ki aap jis ummat ke liye ro ro kar duen karte the un ki Bakhshish ho gai, unka kaam bna gaya. Idhar jab ye baat aap ke ummat ke gunahoro ko pahonchi to wo bhi wajd me aakar jhoomne lage, aur idhar gunah bhi khusi manai ki agar gunah gaaro ki Bakhshish na hoti to meri wajah se sab gunahgaar azaab me mubtala ho jate aur Allah ke Mahboob pareshan hote shukr hai ki Allah ke Mahboob ke pareshan hone ki wajah nahi bane.
#22)
Ajab Na Tha Rukhsh Ka Chamakna Gazaal Dam Khoordah Sa Bhadakna
Shua’aye Bukke Uda Rahi Thi Tadapte Aankho Pe Sa’aqe The
Word Meaning:👇
Ajab: Ta’ajjub
Rukhsh: Chahra
Gazaal: Hiran, yaha Muraad Huzoor ki Sawari Buraaq
Dam Khoordah: Jis ne Gud(Jaggery) pe rakhi ho
Shua’aye: Tez Roshni ki kirne,Rays
Bukka: Ikaththa hona, ek saath
Sa’aqe: Zameen par jo bijli girti hai, Thunderbolt
Tashreeh:👇
Huzoor Purnoorﷺ ke sanwari ke chahre ki Chamak koi Ta’ajjub nahi tha waha Sama(Mahol) hi ayesa tha,Sarab e Jalwa e Ishq me Buraaq Jhalang lagata aur is ki wajah ye thi ki Uski aankho me bijliya raqs(ghoom) rahi thi. Janwar ke aankho me tez roshni padhte hi uchhalne lagte hai aur yaha to Siraj-um-Muneer khud Bijliyo par sawar hai to Buraaq kaise na uchhle,jhoome. Ye sab me koi azab na tha.
#23)
Hujoom Ummid Hai Ghatao, Muraade Dekar Inhe Hatao
Adab Ki Bage’n Liye Badhao Malayka Me Ghul Ghule The
Word Meaning:👇
Hujoom Ummid: Ummid ki Kasrat
Ghatao: Kam Karo
Bage’n: Lagame
Ghul Ghule: Shor, Charche
Tashreeh:👇
Huzoor Purnoorﷺ jab Buraaq par sawar hone lage to Ummido ki Hujoom lag gayi, Hukm hua ki in ki muraade de kar inhe jaldi hataye,aur Farishto’n me shor tha ki Adab ki lagaam thame hue sawari dulha ki aage badhao.
#24)
Uthi Jo Gard Rahe Munawwar Wo Noor Barsa ki Raaste Bhar
Ghire The Badal Bhare The Jal Thal Umand Ke Jangle Ubal Rahe The
Word Meaning:👇
Gard: Gubaar, Dhool
Rahe Munawwar: Roshan Raaste
Jal Thal: Har
Taraf Pani Pani
Taraf Pani Pani
Tashreeh:👇
Huzoorﷺ ki jab sawari aage badhi to us sawari ke chalne se jo gard udi ki har taraf Noor hi Noor chha gaya. Badal Ghire hue the aur ayesi Noor ki barish hui ki har taraf jal Thal hogaya, Noor hi Noor ho gaya, balki jangle se bhi Noor ubalne lage.
#25)
Sitam Kiya Kaisi Mat Kati Thi Qamar Wo Khaak Unke Rah Gujar Ki
Utha Na Laaya ki Malte Malte Ye Daagh Sab Dekhna Mite The
Word Meaning:👇
Sitam: Zulm
Mat Kati: Mat Mari Gayi
Tashreeh:👇
Chaand teri Aqal kaha gayi, teri mat maari gayi thi, tune itna Bahter mauqa gawa diya ki tune unke Raah Gujar ki khaak utha lata aur apne badan par mal leta to dekhte dekhte sab daagh mit jaate.
#26)
Buraaq Ke Naqsh e Sum Ke Sadqe Wo Gul Khilayenge Saare Raste
Mahekte Gulban Mahekte Gulshan Hare Bhare Lah Laha Rahe The
Word Meaning:👇
Naqsh e Sum: Khur(Hoof) ka Nishaan
Gul Khilana: Bada Azeeb Kaam Karna
Gulban: Surkh Gulab
Gulshan: Baagh
Lah Lahana: Jhoomna
Tashreeh:👇
Sarkar Mustafaﷺ ke Buraaq ke Khur ke naqsh par qurbaan jau usne ayese ayese phool khilaye ki saare raste me surkh Gulab ke phool Mahek rahe the, baghaar Sarsabz lah laha rahe the, har taraf hariyaali ka daur daura tha.ayesa aaj se pahle (siwaye shab e Wiladat) kabhi dekhne nahi mila aur aage ka sawal hi nahi.
#27)
Namaz e Aqsa Me The Yahi Sarr Aya’n Ho Ma’ana e Awwal Akhir
Ki Dast Basta Hai Peechhe Hajir Jo Sultanat Aage Kar Gaye The
Word Meaning:👇
Sarr: Raz
Aya’n: Jahir
Dast Basta: Haath Baandh Kar
Sultanat: Hukumat
Tashreeh
Huzoor Purnoorﷺ ne Jo Masjid e Aqsa me namaz padhai us me yahi raaz tha ki Pahle aur Aakhri ka farq wajah ho jaye (ki jo akhir me aye us ki shaan kam nahi hoti) Jo Ambiya Karaam Huzoor Purnoorﷺ se pahle aye, Huzoor se pahle Hukumat kar gaye the wo bhi Khatim-ul-Ambiya ke peeche haath baandh kar saf me khade hai aur Akhri Nabi Hum Sab ke Aaqa wa Maula Huzoor Purnoorﷺ Imamat kar rahe hai.
Masjid e Aqsa ka Naqsa:
Tamam Ambiya karam Abul-Bashar Hazrat Adamعليه السلام se lekar Hazrat Eisa عليه السلام tak jitne bhi Ambiya wa Rasool the Sab Huzoor se pahle Masjid e Aqsa me hajir the, ye is baat ki gawahi hai ki sab Badhshah ki Amad me khade the, Jab Huzoor ki Sawari Pahonchi to Marzi e Maula se Hazrat Jibrail ki dawat par Huzoor Purnoorﷺ Musalle par khade hue. Hazrat Jibrailعليه السلام ne Iqamat kahi, tamam Ambiya ne Imam-ul-Ambiya ke peeche Namaz Padhi. Ayesi Namaz Allah Allah! jaise tamaam Ambiya haal e juban se yahi kah rahe ho
“Namaz Aqsa Me Jab Padhai To Ambiya wo Rusul Ye Bole
Namaz Ho To Namaz Ayesi Imam Ho To Imam Ayesa”
Namaz ke baad Jashn e Meraj ki Mehfil hui. Jisme Mukhatalif Nabiyo’n ne Khutba Farmaye’n aur Akhri me Huzoor ne Khutba Farmaya, Huzoor ka Khutba Tamam Ambiya ke Khutbo par wazan tha.
#28)
Ye Unki Aamad Ka Dabdaba Nikhaar Har She Ka Ho Raha Tha
Nujoom wo Aflaak Jaam wo Meena Ujaalte The Khanghaalte The
Word Meaning:👇
Dabdaba: Shaan wa Shokat, Karro Far, Jaa’h wo Jalal
Nikhaar: Saaf Safai
She: Shaman
Nujoom: Sitaare, Starts
Aflaak: Aasmaan
Jaam: Payala
Meena: Surahi
Ujaalna: Ujla karna, saaf karna
Khanghaalna: Paani se Bartan saaf karna
Tashreeh:👇
Shahenshah e Kainaat ki Amad thi isliye Ra’ab wa Dabdaba ki wajah har she ko Ujla kiya jaa raha tha, Sitaro aur Aasmaan ki ye duty thi ki wah Gilas wa Surahi ko Achhchhi saaf kare isliye wah Aabe Kausar se Khanghaal Khanghaal kar saaf kar rahe the ta ki Siraj-um-Muneer ki Roshni asmaan walo ko bhi baanta jaye, aaj arsh walo ko bhi Nawaz jayega, kyuki jab Badshaah kisi ke ilaqe ke daure par jate hai to us ka ilaqe ki bhalai karke aate hai, aur hamare Aaqa to Shahenshah e Kainaat hai,wo kaise na karam Nawazi kare…
“Jo Chahenge Jise Chahenge Yah Use Denge
Kareem Hai Yah Khazane Lutane Aye Hai
#29)
Niqaab Ulte Wo Maher e Anwar Jalal e Rukhsaar Garmiyon Par
Falak Ko Haibat Se Tab Chadhi Thi Tapakte Anjum Ke Aable The
Word Meaning:👇
Niqaab: Parda’h
Maher: Suraj
Jalal e Rukhsaar: Gaalo ka Ra’ab
Haibat: Dabdaba
Tab: Bukhar
Tapakte: Garam Hona
Aable: Chhale
Tashreeh:
Nabuwat wa Risalat ke Aftaab Huzoor Purnoorﷺ ne Jab apne Chahra e Wadduha se Sattar Hajar Pardo me se ek parda palta to Aasman ko bukhar aa gaya aur Sitaro ko ke jism par chhale pad gaye the jo phoot kar Noor ke pani rasa(tapak tapak kar choona) rahe the.
#30)
Yeh Joshish e Noor Ka Asar Tha Ki Aabe Gohar Kamar Kamar Tha
Safaye Raah Se Phisal Phisal Kar Sitare Qadmo Pe Laut Th
Word Meaning:👇
Aabe Gohar: Motio ka Paani
Safaye: Safai
Tashreeh:
Aap ki Nooraniyat ke Josh ka ye Alam tha ki Moti pighalne lage unki kamar tak pani chad gaya, aur raaste is tarah saaf wa mujalla tha ki Taare Phisal Phisal kar ghirte hue Huzoor ke Qadmo aa rahe the.aur apni Nooraniyat ki Sar e Tasleem kham kar rahe the.
#31)
Badha Ye Lahra Ke Baher o Hiddat ki Dhul Gaya Naam Reg Kasrat
Falak Ke Telo Ki Kya Haqiqat Ye Arsh o Kursi Do Bulbule The
Word Meaning:👇
Lahrana: Harkat
Baher o Hiddat: Toheed ka Samundar
Reg: Ret, Sand
Tashreeh:👇
{ ثُمَّ دَنَا فَتَدَلّٰىۙ(۸)فَكَانَ قَابَ قَوْسَیْنِ اَوْ اَدْنٰىۚ(۹) }
Wahdat ka Samundar poore josh ke saath aage badhe ki ret(Marhale;Alam e amka’n) ke tamam zarre fana hogaye, ye aasman ke tilo ki kya baat jab Huzoor aage gaye to ye Arsh o Kursi bhi sirf do² bulbule the.
#32)
Wah Zille Rahmat Wah Rukh Ke Jalwe Ki Taare Chhupte Na Khilne Paate
Sunahri Zarifat Aodi Atis Yah Thaan Sab Dhoop Chhao Ke The
Word Meaning:👇
Zill: Saaya
Zarifat, Aodi, Atis: Umda Reshmi Kapde
Thaan: Kapdo ka Ghaththa
Tashreeh:👇
Idhar Rahmat e Ilahi ka Saya aur udhar Rukh e Wadduha ki tajalli,ayesa manzar bana ki sitare bhi muh chhipane lage, unda qism ke Reshmi Kapdo ke thaano ke thaam bataur e farsh bichha giye gaye, Zille Rahmat aur Chahra e Wadduha ki tajjali se dhoop Chhao si kaifiyat ban gayi ki kahi chamak dhamak tez to kahi halki halki to kahi madham. Is tarah se Huzoor Purnoorﷺ ne Allah ke qurb ka ek khususi Nazara kiya.
Chala Wah Saro Chamaa’n Kharama’n Na Ruk Saka Sidra Se Bhi Daama’n
Palak Jhapakti Rahi Wah Kab Ke Sab Ayen wa Waa’n Se Gujar Chuke The
Word Meaning:👇
Chamaa’n: Chaman Se, Baagh Se
Kharama’n: Naaz wa Andaaz se
Sidra: Sidrat-ul-Muntaha
Daama’n: Daman
Ayen wa Waa’n: Yaha aur Waha
Tashreeh:👇
Wah Seedhe Qad wale(Wahdat ka Baagh, Sanobar wa Qud Sara Mahboob) Kuchh ayese Kharama’n Kharama’n andaz me aage badhe ki Sidrat-ul-Muntaha par jo sirf didaar ke liye khade farishte the wo bhi abhi daman thaam kar rok na sake aur abhi Farishte palak hi chhapak rahe the ki Huzoorﷺ Maka’n se La-Maka’n tak ja pahunche.
#34)
Jhalak Si Ek Qudsiyo Par Ayi Hawa Bhi Daman Ki Phir Na Payi
Sanwari Dulha Ki Door Pahonchi Bara’at Me Hosh Hi Gaye The
Word Meaning:👇
Qudsiyo: Farishto’n
Sanwari: Jis par Huzoor Sanwar the, Buraaq
Bara’at: Saadi ka Juloos
Tashreeh:👇
Jo Farishte Didaar ke liye Sidrat-ul-Muntaha par khade the un par sirf ek jhalak nazara kiya us ke baad barati me hosh kaha ki Daman kaha hai Daman wala kaha hai. Dulha ki Sanwari bahot door ja chuki thi.
#35)
Thake The Rooh-ul-Amee’n Ke Baaju Chhuta Wah Daman Kaha Wah Pahlu
Rikaab Chhuti Ummid Tuti Nigah e Hasrat Ke Walwale The
Word Meaning:👇
Rooh-ul-Amee’n: Hazrat Jibrail عليه السلام
Rikaab: Sanwari par Sanwar hone ke liye Sanwar hone ki Seedhi
Hasrat: Tamanna
Walwale: Josh
Tashreeh:👇
Hazrat Jibrail عليه السلام thak gaye the. Huzoor Purnoorﷺ ka Daman e Aqdas un ke haath se chhoot gaya,jahir hai ki Qurbe Ilahi ki jo ummid lagaye baithe the ki Huzoorﷺ ke saath mera bhi muft me kaam ho jaayega wah Ummid, Ummid hi rah gayi. Huzoor Purnoorﷺ ki sanwari aage nikal gayi, bas Rooh-ul-Amee’n ke aankho me hasrat ke Josh maar rahe the.
#36)
Ravish Ki Garmi Ko Jisne Socha Dimag Se Ek Bhabu Ka Phoota
Khard Ke Jangle Me Phool Chamka Daher Daher Ped Jal Rahe The
Word Meaning:👇
Ravish: Raftaar
Bhabu: Sha’ala
Khard: Aqal
Daher Daher: Har Jagah, Jagah Jagah
Tashreeh:👇
Nabi e Akramﷺ ka alam kya tha koi kya jaane. Sirf raftaar ka andaza lagane ke liye ghaur kiya to us ke dimag me ek Sha’ala paida hua aur ek Noorani phool paida hua jisne phool ho kar jangle me aag laga di. Ya’ani Raftaar e Mustafa ki Bulandion ka hamari choti si aqal agar andaza lagane baithegi to us ka kuchh nahi Baithega.
Aqal Wala Teri Dunya Se Pareshan Gaya
Ishq Wala Tujhe Har Rang Me Pahchan Gaya
#37)
Jilo Me Jo Murgh e Aqal Ude The Azab Bure Haalo Gir Padhe The
Wah Sidra Hi Par Rahe The Thak Kar Chadha Tha Dam Tewar Aagaye The
Word Meaning:👇
Jilo: Hamrahi, Saath wale
Azab: Azeeb
Tewar: Aankho ke Saamne Andhera Chhaa Jana
Tashreeh:👇
Shab e Meraj me Huzoor Purnoorﷺ ke saath jo (Murghan e Aqal) Farishte saath me chal rahe the un ki halat dekhne wali thi. Kasrat, Hujoom, Tez raftari aur thakawat ke wajah se ek doosre ke upar gir rahe the jaise Qurbaan ho rahe ho. Ya to baqio ki baat hai balki khud un (Farishto’n) ke sardaar Hazrat Jibrail عليه السلام bhi thak kar Sidrat-ul-Muntaha par ruk gaye aur Bulandi wa Qurb e Mustafaﷺ dekh kar chakra gaye aur un ke aankho ke saamne andhera chha gaya, halaki ye wahi Allah ke hukm se Sarkaarﷺ ko lene gaye the.
#38)
Qawi The Murghan e Waham Ke Par Ude To Udne Ko Aur Dam Bhar
Uthayi Seene Ki Ayesi Thokar Ki Khoon e Andesha Thookte The
Word Meaning:👇
Qawi: Taqatwar
Murghan e Waham: Soch Ke Parinde
Dam Bhar: Ek Lamha
Uthayi: Lagi, Padi
Tashreeh:👇
Waham wa Khayal bhi Huzoor Purnoorﷺ ke Bulandi wa Martabe tak nahi pahoch sakta. Agarcha’h har bulandi ka andaza lagaya ja sakta hai magar jab Huzoor Purnoorﷺ ke Martabe wa Bulandi ke liye aqal ne parwaz kari to ayese muh ke bal giri ki muh se khoon aa gaye. Huzoorﷺ ki Martabe wa Bulandi ka Anzada bhi Na-mumkin hai.
#39)
Suna Yah Itne Me Arsh e Haq Ne Kaha Mubarak Ho Taaj Wale
Wahi Qadam Khair Se Phir Aye Jo Pahle Taaj e Sharaf Tere The
Word Meaning:👇
Taaj e Sharaf: Ijjat wa Bujurgi ka Taaj
Tashreeh:👇
Dulhe ki Aane khabar jab Arsh ko mili to wo jhoomne laga, meri baat ban gayi, Nabuwat wa Risalat wale Nalain Paak ke Saath mere upar Tashrif laa rahe hai, mai khoob bose lunga, Allah kare Khair wa afiyat ke saath mere paas pahoch jaye (kahi Jibrail Ameen ki meri bhi Khawaish me na rah jaye) aap ka qadam Mubarak pahle hi mere liye sharafat wa Azmat ka Taaj hai, ab to aur ho gai hai.
#40)
Ye Ke Sun Bekhud Pukaar Utha Nisaar Jau Kaha Hai Aaqa
Phir Un Ke Talwo Ka Pau Bosha Jo Meri Ankho Ke Din Phire The
Word Meaning:👇
Bekhud: Mast wa Behosh ho kar,
Nisaar: Qurbaan
Talwa: Pair ka Nichla Hissa
Tashreeh:👇
Ab Jab Arsh ko ye khabar mili to Be-khud(Mast) ho kar pukaar utha kaha! Kaha! Kaha hai aaqa Ya Rasoolallahﷺ mai aap ke Qadmo par Qurbaan jau aap kaha hai kab mere seen par Nalain Paak rakhoge jaldi aayiye taki mai aap ke pao ka khoob bosa lu, aaj meri aankho ke din phire unhe apni aankho se lagau, ontho se choomu.
#41)
Jhuka Tha Mujre Ko Arsh e Aala Gire The Sajde Me Bazm e Baala
Yah Aankhe’n Qadmo Se Mal Raha Tha Wah Girde Qurban Ho Rahe The
Word Meaning:👇
Mujra: Adaab
Bazm e Baala: Farishto’n ki Jama’at
Gird: Ird Gird, Aazu Baazu
Tashreeh:👇
Arsh e Mualla jhuk kar salami de raha tha aur Farishto’n ki Jama’at Sajda e Shukr baja la rahe the (Huzoor ka Deedar hua) aur jaise hi Huzoor Purnoorﷺ Arsh e Azam par tashreef awar hue waise hi Arsh Huzoor ke Qadmo par apni aankhe malne laga aur Farishte aap ke Ird-Gird qurban hone lage.
#42)
Ziyae’n Kuchh Arsh Par Yah Aayi Ki Saari Qandeele’n Jhil Milai
Huzoor e Khursheed Kya Chamakte Chiraagh Muh Apna Dekhte The
Word Meaning:👇
Ziyae’n: Roshniya’n
Qandeel: Fanoos, Laalten
Jhil Milana: Madham(kam) ho Jana
Huzoor e Khursheed: Suraj ke Saamne
Tashreeh:👇
Jab Huzoor Purnoorﷺ Siraj-um-Muneer, Aftaab e Risalat, Mahtab e Nabuwa ki Roshni jab Arsh par padi to arsh par jitne bhi Qandeele’n thi ye wahi misaal hui “Suraj ko Chiraagh Dikhane wali baat” bhala Chiraagh Suraj ke saamne dam maar sakte hai, yahi haal hua arsh ki Roshniya’n ka bhi hua aur wo apna muh tak rahe the. Apna muh le kar rah gaye.
#43)
Yahi Sama’n Tha Ki Paek e Rahmat Khabar Yah Laaya Ki Chaliye Hazrat
Tumhari Khatir Kushada’h Hai Jo Kaleem Par Band Raaste The
Word Meaning:👇
Sama’n: Manzar
Baek e Rahmat: Rahmat Ka Qasid
Kushada’h: Khula hua
Kaleem: Hazrat Musaعليه السلام
Tashreeh:👇
Inhi Mubarak Lamhaat(Jo pahle Asha’ar me bayan kiye gaye) me Rahmat ka farishta paighaam le kar aaya ki Huzoor! tashreef le chaliye (Deedar ke liye) aap ke liye saare raaste khol diye gaye jo Hazrat Musaعليه السلام ke liye band the. (Unko Toor par bulaya to Nalaik utarne ka hukm hua Aap Nalain Paak ke saath Tashreef laye aur Deedar e khudawandi ki Lajjat paye.)
#44)
Badh Aye Muhammad Qaree’n Ho Ahmad, Qareeb Aa Sarwar e Mumajjad
Nisaar Jau Yah Kya Nida Thi Yah Kya Sama’n Tha Yah Kya Maze The
Word Meaning:👇
Qaree’n: Qareeb
Sarwar e Mumajjad: Bujurgi Wale Sardaar
Nida:
Tashreeh:👇
Mohibbul Laduniyah Safa 29 par hai ki Jab Hazrat Jibrail عليه السلام (Jo Huzoor ko lekar aye the) Buraaq (Aap ki Sanwari) neeche rah gaye aur Huzoor akele rah To is Alam e Noor me Hazrat Abubakar Siddiqرضي الله عنه ki Awaz me nida ayi “ Adni Khairul bariya’t adni ya muhammad, adni ya Ahmad laid nawal-habeeb”{ isi ka Tarjuma Aalahazrat ne is Shaer me farmaya hai; Aye mere payare aage badhiye! Aye Ahmad e Mukhtaar Qareeb ayiye! Aye saar e makhlooq ke sardaar aage ayiye aur ab ruk katiye, fazani-al-jabbar-ul-ijjat (Bukhari Sharif) “ Summa dani fatadalli fa-kaana qaab qausain au-adna ” (Al-Quraan) } hum Qurbaan hi Jaye, haaye 😍 wo kya nida thi,waha ka Sama’n kya tha, kya maze the jiska koi hisaab nahi.
#45)
Tabarak-allah Shaan Teri Tujhi Ko Zeba Hai Be-Niyazi
Kahi To Wo Josh e Lan Tarani Kahi Taqaze Wisaal Ke Hai
Word Meaning:👇
Tabarak-allah: Allah Barkat wala
Zeba: Layeq
Lan Tarani(لن ترانى): (Aye Musa) Tu Hargij mujhe nahi dekh sakta.
Taqaze: Talab, Khawaish
Wisaal: Mulaqaat
Tashreeh:👇
Aye Allah! Tu badha hi Barkat wala hai aur teri kya hi shaan hai. Waqai Be-Niyazi sirf teri hi shaan ke layeq hai. Aur tere kaam kaise nirale aur wazd e afreen hai ki Musaعليه السلام ko Talab ki Didaar karne ke ba-wajood Lan Tarani(لن ترانى) ka maamla, aur jabki Habeebﷺ ne koi ayesa talab jahir na ki magar Huzoor ko bulaya jaa raha hai, Hazrat Jibrail عليه السلام Qadmo ko Bosa dekar Huzoor ko bedar karte hai, Dulha banaya jaata hai, Ambiya ki Imamat ka Saraf,Ummat ki Bakhshish hoti hai, Arsh ki Shayer ye sab beghair mutaalbe ke, Allahu-Akbar! Beshak teri hi shaan Be-Niyazi ke Layeq Hai. SubhanAllah!
#46)
Khurd Se Kah Do Ki Sar Jhuka Le Guma’n Se Gujre Gujarne Wale
Pade Hai Yaha Khud Jahet Ko Laale Kise Bataye Kaha Gaye The
Word Meaning:👇
Kharad: Aqal
Jahet: Simt (Direction)
Laale Padhna: Na-Ummidi
Tashreeh:👇
Aqal se kah do ki sar jhuka le jayeda soch vichaar na kare ye teri samajh me nahi aa sakta, Gujarne Wale Gujar chuke hai aur teri hawa ko bhi pata nahi chal saka aur tujhe kya pata chale, yaha to to Shash Jahet{ Cha⁶ Directions (East, West, South, North, Up, Down) } ko bhi Laale padhe hai kyuki La-Maka’n me ya sab bhi nahi the.
#47)
Suragh Ayen-o-Mata Kaha Tha Nishaan Kaif-o-Ala Kaha Tha
Na Koi Raahi Na Koi Saathi Na Koi Sang e Manzil Na Marhale The
Word Meaning:👇
Suragh: Khoj, Nishani
Ayen: Kaha
Mata: Kab
Kaif: Kaise
Ala: Tak
Sang: Paththar
Marhala: Darjah
Tashreeh:
Koi kya jaane Huzoor Purnoorﷺ kaha gaye? kab gaye? Kaise gaye? Kaha tak gaye? In tamam ka jawab kisi ke paas nahi kyuki na waha kab aur kaha ka tasawwur, na kaise aur kaha tak ka nishaan na koi aap ka saathi tha, Jibrail Ameen bhi Sidrat-ul-Muntaha par saath chhod diye, unhe bhi nahi maloom huzoor aage kaha,kaise gaye. Aur na koi mazil ki nishani thi aur na hi koi Marhala(step) tha, ye sab to dunyawi uloom me hota lakin wo Allah hi Jane ki kaunsa Alam tha.
#48)
Udhar Se Pehan Taqaze Aana Idhae Tha Mushkil Qadam Badhana
Jalal-o-Haibat Ka Saamna Tha Jamal-o-Rahmat Ubharte The
Word Meaning:👇
Peham: Musalsal, Lagataar
Taqaze: Talab Ma’ul Taqeed (Zor ke Saath Bulana)
Ubharna: Uksana, Amada Karna
Tashreeh:
Udhar(Bargah e Ilahi) se Mulaqaat ka lagataar bulawa aa raha tha aur Idhar (Huzoor ke liye) Rabb e Jalal ke Anwaar o Tajalliyaat aur Haibat wa Shokat, Ra’ab wa Dabdaba ke wajah se Adab wa Ehtraam ke taqazo ka khayal rakhte hue Mushkil tha Qadam Badhana magar Deedar e Ilahi, Jamaal o Rahmat Khudawandi ne Hauslah Badhaya aur Huzoor Didaar e Ilahi ke liye aage badhe.