Qasida e Meraj Sharah Last Part | Kalaam e Aala Hazrat
#49)
Badhe To Lakin Jhijhakte Darte Haya Se Jhukte Adab Se Rukte
Jo Qurb Unhi Ki Ravish Peh Rakhte Laakho Manzil Ke Fasle The
Word Meaning:👇
Jhijhakna: Sharmana
Qurb: Nazdeek
Ravish: Raftaar
Tashreeh:
Ab Huzoor Purnoorﷺ aage Badhe to lakin Sharm o Haya ka Peekar ban kar Khauf e Khuda ka Libada odh kar, badhe hi adab wa Ehtraam ke saath. Agar Allahﷻ Huzoor ki raftaar hi par mulaqaat rakhta laakho saal ke Fasile hote.
#50)
Par Unka Badhna To Naam Ko Tha Haqiqatan Fa’al Tha Udhar Ka
Tanazzalo Me Taraqqi Afza Dana Tadalla Ke Silsile The
Word Meaning:👇
Haqiqatan: Dar-Asl
Tanazzal: Utarna, Neeche Aana
Afza: Jayadah Hona
Dana Tadalla: Qareeb hua, Bahote Qareeb hua
Tashreeh:
Huzoor ka badhna to sirf naam ka tha kyu ki agar huzoor apni raftaar se badhte to lakho baras lag jaate lakin Asl me maamla udhar ka tha Allahﷻ ne Fazal farmaya aur faslo ko samet kar Huzoor ki Taraf apne Shaano karam se Huzoor ki taraf Nazil hua aur
ثُمَّ دَنَا فَتَدَلّٰىۙ(۸)فَكَانَ قَابَ قَوْسَیْنِ اَوْ اَدْنٰىۚ(۹)
“fir wo jalwa qareeb hua phir aur jayeda qareeb ho gaya. To Do Kamano balki us se kam fasla rah gaya.(Surah Najm: 8-9) ”
ka Qurb ata farmaya.
#51)
Hua Yah Akhir ki Ek Bajra Tamooj Bahar e Hu Me Ubhra
Dana Ki Godi Me Un Ko Lekar Fana Ke Langar Utha Diye The
Word Meaning👇:
Bajra: Dariya me Ser karne ki ek Khushnuma kashti jo Neeche se gol hoti hai
Tamooj: Dariya me lahre uthna, Talatum
Hoo: Allahu, Muraad Allah Ta’alah
Dana: Qurb
Fana: Khatam
Langar: Kashti ki rassi, jise khol kar dariya me kashti baha di jaati hai
Tashreeh:👇
(Huzoor aage badh rahe the, pichhle Asha’ar me) Ab Akhir me hua ye “Bahar e Hu” Allah ki Anwaar o Tajalliyaat ke samundar me se ek Noor ki kashti nikli aur ek Qareeb kar ke dana ki god me le kar fana ke sare langar utha diye the, yani ab Huzoor Jaat e Bari Ta’alah ke Jalwo me fana hone ja rahe the.
#52)
Kise Mile Ghaat Ka Kinara Kidhar Se Gujra Kaha Utaara
Bhara Jo Misl e Nazar Tarara Apni Aankho Se Khud Chhupe The
Word Meaning:👇
Ghaat: Dariya ka wo kinara jaha sawari kashti se utarti hai
Tarara: Chhalaang Lagana
Tashreeh:👇
Wahdat ke Samundar ka ghaat aur kinara hi nahi hai koi kya bataye ki Noor ki kashti Huzoor ko kis raaste se le gayi aur kaha utaran fir Huzoor ne Kashti se kis tarah chhalang maari. Huzoor Haq Ta’alah ke jawlo me fana ho chuke the ki unhe khud khabar na thi koj jaanta wo khud apni aankho se chhupe hue the.
#53)
Uthe Jo Qasr e Dana Ke Parde Koi Khabar De To Kya Khabar De
Wahan To Jaahi Nahi Dooi Ki Na Kah Ki Wah Hi Na The Are The
Word Meaning:👇
Qasr e Dana: Qurb ka Mahel
Dooi: Jo Jaten Ek Jagah Hona, Do Samajhna
Are: Ta’ajjub ke liye kahna, e.g.: Are! Ye kaise hua.
Tashreeh:👇
{Aapﷺ ne farmaya jis ka mafhoom hai ki; Mere aur Khuda ke darmiyan ek ayesa waqt bhi aaya ki jis me na koi muqarrab Farishta aa sake aur naa hi koi Nabi Rusul. Dooi ke Khatam hone se yahi muraad hai ki mulaqaat ke waqt sirf mai hi tha aur koi doosra nahi tha ya khud ki hasti ya Mustafa(ﷺ) ki hasti thi} Qurb ke Mahel ke tamaam Pardo ko utha diya gaya ab aage kaun bataye ki kya hua, kyu ki waha to doi ki bhi gunjaish nahi thi magar yah na samajhna ki aapﷺ bhi waha na the. Are! Aap to udhri the, aap hi ke liye to sab kuch kiya gaya hai.
#54)
Wah Baagh Kuchh Ayesa Rang Laaya Ki Ghuncha wa Gul Ka Farq Uthaya
Girah Me Kaliyo Ke Baagh Phoole Gulo Ke Tikme Lage Hue The
Word Meaning:👇
Ghuncha: Kali,bud
Girah: Bandish, Gaanth
Tukme: Girebaan ka Halqa, Ghanthi
Tashreeh:👇
Is Gulshan e Wahdat me kuchh ayesa manzar dikhai diya ki Kali wa Ghuncha bhi chatak kar phool dikhai dene lage, Kaliyo ke daman me bhi phool khil uthe aur Gulshan mahekne lage aur un ke Girebaan ke batno ki jagah phool hi saje hue the.
#55)
Muheet wa Markaz Me Farq Mushkil Rahe Na Fazil Khutoot Wasil
Kamane Hairat Me Sar Jhukaye Ajeeb Chakkar Me Dayere The
Word Meaning:👇
Muheet: Dayera, Circle
Markaz: Center
Fazil: Juda Karne Wala
Khutoot: Lakeer, Line
Wasil: Milne Wala
Tashreeh:👇
Is Shaer me Ilm e Geometry se baat samjhai gayi hai,circle ke liye jab parkaar center me rakha jata hai to parkaar jhuk kar circle banata hai, aur circle banne ke baad ye nahi pata chalta ki kaha shuru hua aur kaha par khatam, Isi Huzoor Safar e Meraj bhi hai koi bata hi nahi sakta hi kaha shurua aur kaha kaha khatam hua, bas Safar e Meraj hua.
#56)
Hijaab Uthne Me Lakho Parde Har Ek Parde Me Lakho Jalwe
Ajab Ghadi Thi Ki Wasl wa Furqat Janam Ke Bichhde Gale Mile The
Word Meaning:👇
Hijaab: Niqaab, Parda
Ajab: Ajeeb
Ghadi: Lamha
Wasl: Milaap
Furqat: Judai
Janam: Paida
Bichhda: Juda hua
Tashreeh:👇
Furqat ke Ek Parde me uthne me Noor ke Lakho Parde uth rahe the aur us Pardo me lakho jalwe the wo kaisi ajab Ghadi thi ki ayesa lag raha ki jaise Judai aur Milaap jis din paida hue the us din se le kar aaj tak apas me nahi mile the aur ab mulaqat hui to khoon jam kar gale mile.
#57)
Jubane Sukhi Dikha Ke Maoze’n Tadap Rahi Thi Ki Pani Paye
Bhanwar Ko Yah Za’af Tashangi Tha Ki Halke Aankho Me Pad Gaye The
Word Meaning:👇
Maoze’n: Paani ki Lahrey
Bhanwar: Paani ka Chakkar
Za’af Tashangi: Payas ki Kamzori
Halke: Dayre(Pyas ki Shiddat se Aankhe Dab Jaana)
Tashreeh:👇
Darya e Wahdat ki Maozey bhi apni Khushk Juban dikha kar shikayat kar rahi thi aur Wasl(Milaap) ke pani ka Mutalba kar rahi thi aur bhanwar khud itna payasa nazar aa raha tha ki pyas se aankho pa halqe padh gaye the aur wah dhansi ja rahi thi.
#58)
Wahi Hai Awwal Wahi Hai Akhir Wahi Hai Batin Wahi Hai Jahir
Usi Ke Jalwe Usi Se Milne Usi Se Us Ki Taraf Gaye The
Word Meaning:👇
Awwal: Pahla
Akhir: Pichhla
Jahir: Waajah, Khula
Batin: Chhupa
Jalwe: Tajalliyaat
Tashreeh:👇
Allah Ta’alah hi Awwal hai wahi Akhir hai wahi hai Jahir wahi hai Batin hai(Yaha Awwal wa Akhir Akhir, Batin wa Jahir se Huzoor ﷺ bhi Muraad liye ja sakte, Allah me sab se Pahle Apne Noor se Huzoor ke Noor ko banaya, aapﷺ ankhri Nabi hai, Aapﷺ sab par jahir bhi hai lakin batin bhi hai jo sirf Huzoor aur Allah hi Jaante hai)aur Huzoor Purnoorﷺ Khuda ke Jalwe hai to ye Jalwa Asl Jalwe se milne gaye tha.
#59)
Kaman e Amkaan Ke Jhute Nuqto Tum Awwal Akhir Ke Pher Me Ho
Muheet Ki Chaal Se To Poochho Kidhar Se Aye Kidhar Gaye The
Word Meaning:👇
Kamaan: Dhanush
Amkaan: Mumkin
Nuqta: Point
Pher: Chakkar
Muheet: Dayera
Tashreeh:👇
Aye Alam e Amkaan ki Kamaan ke Jhute Nuqto! Tum to Abhi tak Awwal wa Akhir ke Chakkar me phanse hue ho are Dayere ke chaal se maaloom karo ke Qaaba Qausaini Ao-Adna ke Qurb wala Mahboob Fana wa Baqa ki Manzile Tey karte hue kidhar se aye aur kidhar gaye. Jab Dayera ban jata hai to kisi ko kuchh pata nahi chalta ki ye kaha se shuru’a hua aur kaha khatam hua?
#60)
Idhar Se Thi Nazar e Shah Namaze Udhar Se An’aam Khusrawi Me
Salaam wa Rahmat Ke Haar Gundh Kar Guluye Purnoor Me Padhe The
Word Meaning:👇
Nazar e Shah: Badshaah ka Tahfa
Khusrawi: Shaahi, Shahana
Gundh Kar: Piro Kar, Bana Kara
Guluye Purnoor: Noorani Gala, Gardan(Neck)
Tashreeh:👇
Huzoorﷺ ki taraf se Allah ki bargah me Namazo, Ibadato ke Nazraane Pesh kiye jaa rahe the aur Allah Ta’alah ki taraf se Aaqaﷺ ko Shaahi In’amaat se nawaza ja raha tha, Darood wa Salaam ke haar Rahmat ki ladiyo pe piro kar Huzoor Purnoorﷺ ke Purnoor gale me dale ja rahe the, Huzoor Arz kar rahe the “Attahyatu Lillahi Wassalwatu wattayyabatu” Allah Ta’alah farma raha tha “Assalaamu Alayka Ayyuhannabi wa Rahmatullahi wa Barakatuh”.
#61)
Jubaan Ko Intajaar e Guftan Gosh Ko Hasrat e Shunidan
Yaha Jo Kahna Tha Kah Liya Tha Jo Baat Sunni Thi Sun Chuke The
Word Meaning:👇
Guftan: Guftagu
Gosh: Kaan, Ear
Shunidan: Sunna
Tashreeh:👇
Jubaan kuchh kahne ke intejar me thi aur Kaam kuchh sunne ke magar jubaan aur kaan ko hasrat hi rahi, jo kahni thi kah chuke the jo sunna tha sun Chuke tha.
#62)
Wah Burj Batha Ka Maah Paara Bahisht Ki Saer Ko Sudhara
Chamak Pe Tha Khuld Ka Sitara ki Is Qamar Ke Qadam Gaye The
Word Meaning:👇
Burj: Gumbad, Dayare Asmaan ka Barhawa Hissa, Constellation
Batha: Makkah Muazzama
Maah Paara: Chaand ka Tukda
Bahisht: Jannat
Sudhara: Rawana
Tashreeh:👇
Batha ke Burj ka Mahtab Jab Shab e Meraj ki Raat Jannat ki Saer karne gaye to jannat ke muqaddar ka Sitara chamak utha ki Is Chaand yahi Huzoor ke Qadam us par hai wo use bosa le raha tha.
#63)
Sarwar e Muqaddam Ki Roshni Thi ki Tabisho Se Mah e Arab Ki
Jina’h Ke Gulshan The Jhaad Farsi Jo Phool The Sab Kanwal Bane The
Word Meaning:👇
Sarwar e Muqaddam: Aane ki Khushi
Tabisho: Tajalliyo
Mah e Arab: Arab ka Chaand
Jina’h: Jannate’n
Gulshan: Bagh
Jhaad Farsi: Kante Daar Farsh
Kanwal: Lotus
Tashreeh:👇
Huzoor Purnoorﷺ ki Amad Amad thi ki Roshaniyo ka Bahaar tha, Har Taraf Roshni hi Roshni thi aur ye sab Arab ke Chaand (Huzoor Purnoorﷺ) se phoot rahi thi, aur Jannat ke Baagho ki Jhaad farsh bane jis ki wajah sab Phool Kanwal dikh rahe the, yani Jannat Huzoor ke Qadmo tale thi aur Huzoor ke sadqe me Jannat ke sab Phool Kanwal lag rahe the.
#64)
Tarab Ki Nazish ki Haa Lachakiye Adab Wah Bandish ki Hil Na Sakiye
Yah Josh Zid-dain Tha ki Paude Kasha Kash e Arrah Le Tale The
Word Meaning:👇
Tarab: Khusi wa Musarrat
Nazish: Nakhra
Lachakiye: Jhukiye
Hil Na Sakiye: Harkat na Karpana
Zid-dain: Do Mukhalif Cheeje
Kasha Kash: Bharpoor
Arrah: Lakdi Cheerne ka Aala (Saw)
Tale: Neeche
Tashreeh:👇
Khushi wa Musarrat ka taqaza tha ki khoob uchhal kood ki jaye lakin Adab wa Ehtaram ka Taqaza tha ki Harkat na kare, (Jaise Sahaba Karaam Huzoor ki bargah me baithe the, ki Agar un ke Saro par Parinde anda de de to wo neeche na gire) Khushi wa Adab ke Paude(Tree) Isi do Zid-dain kashmakash ki wajah se Pareshani ke Aare ke neeche be-bas dikhai de rahe the.
#65)
Khuda Ki Qudrat ki Chaand Haq Ke Karodo Manzil Me Jalwah Kar Ke
Abhi Na Taaro Ki Chhao Badli ki Noor Ke Tadke Aa Liye The
Word Meaning:👇
Jalwah: Deedar
Chhao: Saaya (Shadow)
Tadke: Ujale
Tashreeh:👇
Khuda ki Shaan dekhiye ki Allah ke Chaand Mustafaﷺ Karodo Manzilo par apna jalwa dikhar kar wapas aaye to sitare abhi chamak rahe the, goya Subah Sadiq lag raha tha lakin abhi Subah Sadiq bahot door thi, kyu ki ye sab raat ke kuchh hisse me hua, aur itna kuch kar ke wapas aa gaye, kundi hil rahi thi, bistar garam tha, Wazu ya Ghusl ka Pani abhi bah raha tha.
#66)
Nabi e Rahmat Safi’a e Ummat Raؔza Pah Lillah Ho Inayat
Use Bhi Un Khil’aton Se Hissa Jo Khaas Rahmat Ke Waa’n Bate The
Word Meaning:👇
Nabi e Rahmat: Rahmat Karne Wale Nabi
Safi’a e Ummat: Ummat ki Safa’at Karne Wale
Raza: Ahmed Raza, Aalahazrat ka Takhallus (Pen Name)
Lillah: Allah ke Waste
Inayat: Maherbaani
Khil’aton: Khil’at ki Jama, Joda, Suite, Libaas
Waa’n: Wahan
Tashreeh:👇
Aye Mere Rahmat wa Karam farmane wale Aaqa! Ummatiyo ki Safa’at farmane wale Aaqa! Apne is Gada-gar Ahmad Raza par bhi Allah ke Waste Maherbaani ho jaye aur Me’araj ki Raat Bargah e Khudawandi se Aap ko jo Khaas Rahmaten Aata hui thi, us ka zarrah mujhe ko mil jaye.
#67)
Sana e Sarkaar Hai Wazeefa Qabool e Sarkaar Hai Tamanna
Na Shayeri Ki Hawas Na Parwa-rawi Thi Kya Kaise Qafiye The
Word Meaning:👇
Sana e Sarkaar: Sarkaarﷺ ki Taareef
Qabool e Sarkaar: Sarkaarﷺ ka Qabool karna
Tamanna: Khawaish
Hawas: Chahat
Parwa: Fiqr
Rawi: Qafiye ka Akhri Hurf
Qafiya: Radeef se pahle aane wale Hum-Awaz Alfaaz
Tashreeh:👇
Ya Rasoolallahﷺ aap ki Taareef wa Tauseef Mera Wazeefa hai aur Aap ki bargah me is ka Qabool hona meri sab se zindagi ki Khawaish hai, warna mujhe Shayeri wagaira ka Shauq nahi, aur naa hi mujhe is ki koi laalach hai ki mere naam me dhanke baje ki kya kaise Qafiye hai. Bas Ya Rasoolallahﷺ yahi Tamanna hai jo bhi kahu, likhu aap ki bargah me qabool ho jaye.
Khatam e Qasida-e-Meraj & Dua Ashiqo ki Meraj hojaye…
Alhamdulillah Qasida-e-Meraj ki Sharah Complete hui ise padhe aur khoob khoob share kare. Duao me yaad rakhe. Aap kisi kalaam ki Sharah chahte hai to comment box me message kare.