Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Qasida e Meraj | Full Lyrics | Kalaam e Aala Hazrat

Spread the love

Qasida e Meraj | Kalaam e Aala Hazrat | Hadaiq e Bakhshish

Qasida e Meraj | Full Lyrics | Kalaam e Aala Hazrat

Qasida e Meraj ka pash manjar:

Ulma e Karaam ne is qasida ke pash manjar me likha hai ki; Aalahazrat ko ek Hazrat ne apna Ek Qasida e Meraj likha hua Aalahazrat ko sunane aye, lakin us waqt Aalahazrat kuch mashroof the to Namaz e Asr ke baad sunne ko kaha. Ab Namaz e Asr ke baad jab wo Hazrat aye to Aalahazrat ne kaha rukiye aap ke jane ke baad maine kuch likha hai pahle wo sunle fir aap suna dena sukoon se, fir aap ne ye apna qasida “Wo Sarware Kisware Risalat…” sunaya to wo Hazrat apna Qasida sunaye begair chale gaye, goya unka haal e baya ye tha ki kaha Suraj ke Samne ek chota sa chirag.
Aur waqai me ye Qasida Motio ki tarah jada hua Haar hai. Alfaaz in ke Bahter tarike se istemaal hue hai… AllahuAkbar, Subhan-Allah.

(Qasida: Wo Nazm jo kisi Waqye ko bayan kare, kisi ek bayan par ho, kisi tareef wa tauseef ki jaye, Use “Qasida” kahte hai. Qasida ke Matla’a ke pahle do mishre aur har sher ka akhri Mishra hum qafiya hona chahiye.)

Wo Sarware Kishware Risalat Jo Arsh Par Jalwagar Hue The
Naye Nirale Tarab Ke Saama Arab Ke Mahman Ke Liye The 

Bahaar Hai Shadiya Mubarak Chaman Ko Abadiya Mubarak
Malak Falak Apni Apni Lay Me Ye Ghur Anadil Ka Bolte The

Waha Falak Par Yaha Zamee’n Par Ranchi Thi Saadi Machi Thi Dhoome
Udhar Se Anwaar Hanste Aate Idhar Se Nafhaat Uth Rahe The

Ye Chhoot Padti Thi Un Ke Rukh ki Arsh Tak Chandni Thi Chatki
Wo Raat Kya Jag Maga Rahi Thi ki Jagah Jagah Nasb Ayine The

Nayi Dulhan Ki Phaban Me Kaaba’h Nikhar Ke Sanwra Sanwar Ke Nikhra
Hajar Ke Sadqe Kamar Ke Ek Til Me Rang Lakho Banao Ke The

Nazar Me Dulha Ke Pyare Jalwe Haya Se Mehrab Sar Jhukaye
Saya Parde Ke Muh Par Anchal Tajalli Zate Bahat Ke The
 
Khushi Ke Baadal Umand Kar Aye Dilo’n Ke Taaus Rang Laye
Wo Nagma Naat Ka Sama Tha Haram Ko Khud Wajd Aa Rahe The  

Ye Jhooma Mahzaab e Zar Ka Jhumar Ki Aa Raha Hai Kaan Par Dhalak Kar
Phuhaar Barsi To Moti Jhad Kar Hateem Ke God Me Bhare The

Dulhan Ki Khushbu Se Mast Kapde Naseem Gustaakh Anchalo’n Se
Gilaf Mushkeen Jo Uda Raha Tha Gazaal Naafey Basa Rahe The

Pahadiyo’n Ka Wah Husn Tazayei’n Wah Oonchi Choti Wah Naaz wa Tamkee’n
Saba Se Sabza Me Lahrey Aayi’n Dupatte Dhaani Chune Hue The

Naha Ke Nahro Ne Wo Chamakta Libaas Aabe Rawa Ka Pahna !
Ki Maozey Chhadiya Thee’n Dhaar Lachka Habab e Taaba’n Ke Thaal Tike The 

Purana Pur Daag Malgaja Tha Utha Diya Farsh Chandni Ka 
Hujoom e Taar e Nigah Se Koso Qadam Qadam Farsh Bawle The

Gubaar Ban Ke Nisar Jaye Kaha Ab Us Rah Gujar Ko Paye
Hamare Dil Hoorio’n Ki Aankhe Farishto’n Ke Par Jaha Bichhe The

Khuda Hi De Sabr Jaane Pur Gham Dikhau Kyu Kar Tujhe Wo Alam
Jab Un Ko Jhurmut Me Le Kar Qudsi Jina’h Ka Dulha Bana Rahe The

Utaar Kar Un Ke Rukh Ka Sadqa Ye Noor Ka Bat Raha Tha Baada
Ki Chaand Suraj Machal Machal Kar Jabee’n Ki Khairaat Mangte The

Wahi To Ab Tak Jhalak Raha Wahi To Joban Tapak Raha Hai
Nahane Me Jo Gira Tha Paani Katore Taaro Ne Bhar Liye The

Bacha Jo Talwo Ka Unke Dhowan Bana Wo Jannat Ka Rang-o-Roghan 
Jinho Ne Dulha Ki Payi Utran Wo Phool Gulzar Noor Ke The

Khabar Ye Tahweel Maher Ki Thi Ki Rut Suhani Ghadi Phiregi
Waha Ki Poshaak Zeb Tan Ki Yaha Ka Joda Badha Chuke The

Tajalliye Haq Ka Sahra Sar Par Salaat wa Tasleem Ki Nichhawar
Do-roya’h Qudsi Pare Jama Kar Khade Salami Ke Waste The

Jo Hum Bhi Waa’n Hote Khaak e Gulshan Lipat Ke Qadmo Se Lete Utran
Magar Kare Kya Naseeb Me To Na-Muraadi Ke Din Likhe The

Abhi Na Aaye The Pusht e Zee’n Tak Ki Sar Hui Maghfirat Ki Shilak
Sada Safa’at Ne Di Mubarak Guna’h Mastana Jhoomte The

Ajab Na Tha Rukhsh Ka Chamakna Gazaal Dam Khoordah Sa Bhadakna
Shua’aye Bukke Uda Rahi Thi Tadapte Aankho Pe Sa’aqe The

Hujoom Ummid Hai Ghatao, Muraade Dekar Inhe Hatao
Adab Ki Bage’n Liye Badhao Malayka Me Ghul Ghule The

Uthi Jo Gard Rahe Munawwar Wo Noor Barsa ki Raaste Bhar
Ghire The Badal Bhare The Jal Thal Umand Ke Jangle Ubal Rahe The

Sitam Kiya Kaisi Mat Kati Thi Qamar Wo Khaak Unke Rah Gujar Ki
Utha Na Laaya ki Malte Malte Ye Daagh Sab Dekhna Mite The

Buraaq Ke Naqsh e Sum Ke Sadqe Wo Gul Khilayenge Saare Raste
Mahekte Gulban Mahekte Gulshan Hare Bhare Lah Laha Rahe The

Namaz e Aqsa Me The Yahi Sarr Aya’n Ho Ma’ana e Awwal Akhir
Ki Dast Basta Hai Peechhe Hajir Jo Sultanat Aage Kar Gaye The

Ye Unki Aamad Ka Dabdaba Nikhaar Har She Ka Ho Raha Tha
Nujoom wo Aflaak Jaam wo Meena Ujaalte The Khanghaalte The

Niqaab Ulte Wo Maher e Anwar Jalal e Rukhsaar Garmiyon Par
Falak Ko Haibat Se Tab Chadhi Thi Tapakte Anjum Ke Aable The 

Yeh Joshish e Noor Ka Asar Tha Ki Aabe Gohar Kamar Kamar Tha
Safaye Raah Se Phisal Phisal Kar Sitare Qadmo Pe Laut The

Badha Ye Lahra Ke Baher o Hiddat ki Dhul Gaya Naam Reg Kasrat
Falak Ke Telo Ki Kya Haqiqat Ye Arsh o Kursi Do Bulbule The

Wah Zille Rahmat Wah Rukh Ke Jalwe Ki Taare Chhupte Na Khilne Paate
Sunahri Zarifat Aodi Atis Yah Thaan Sab Dhoop Chhao Ke The

Chala Wah Saro Chamaa’n Kharama’n Na Ruk Saka Sidra Se Bhi Daama’n
Palak Jhapakti Rahi Wah Kab Ke Sab Ayen wa Waa’n Se Gujar Chuke The


Jhalak Si Ek Qudsiyo Par Ayi Hawa Bhi Daman Ki Phir Na Payi
Sanwari Dulha Ki Door Pahonchi Bara’at Me Hosh Hi Gaye The

Thake The Rooh-ul-Amee’n Ke Baaju Chhuta Wah Daman Kaha Wah Pahlu
Rikaab Chhuti Ummid Tuti Nigah e Hasrat Ke Walwale The

Ravish Ki Garmi Ko Jisne Socha Dimag Se Ek Bhabu Ka Phoota
Khard Ke Jangle Me Phool Chamka Daher Daher Ped Jal Rahe The

Jilo Me Jo Murgh e Aqal Ude The Azab Bure Haalo Gir Padhe The
Wah Sidra Hi Par Rahe The Thak Kar Chadha Tha Dam Tewar Aagaye The

Qawi The Murghan e Waham Ke Par Ude To Udne Ko Aur Dam Bhar 
Uthayi Seene Ki Ayesi Thokar Ki Khoon e Andesha Thookte The

Suna Yah Itne Me Arsh e Haq Ne Kaha Mubarak Ho Taaj Wale
Wahi Qadam Khair Se Phir Aye Jo Pahle Taaj e Sharaf Tere The 

Ye Sun Bekhud Pukaar Utha Nisaar Jau Kaha Hai Aaqa
Phir Un Ke Talwo Ka Pau Bosha Jo Meri Ankho Ke Din Phire The

Jhuka Tha Mujre Ko Arsh e Aala Gire The Sajde Me Bazm e Baala
Yah Aankhe’n Qadmo Se Mal Raha Tha Wah Girde Qurban Ho Rahe The

Ziyae’n Kuchh Arsh Par Yah Aayi Ki Saari Qandeele’n Jhil Milai 
Huzoor e Khursheed Kya Chamakte Chiraagh Muh Apna Dekhte The

Yahi Sama’n Tha Ki Paek e Rahmat Khabar Yah Laaya Ki Chaliye Hazrat
Tumhari Khatir Kushada’h Hai Jo Kaleem Par Band Raaste The

Badh Aye Muhammad Qaree’n Ho Ahmad, Qareeb Aa Sarwar e Mumajjad
Nisaar Jau Yah Kya Nida Thi Yah Kya Sama’n Tha Yah Kya Maze The 

Tabarak-allah Shaan Teri Tujhi Ko Zeba Hai Be-Niyazi
Kahi To Wo Josh e Lan Tarani Kahi Taqaze Wisaal Ke Hai

Khurd Se Kah Do Ki Sar Jhuka Le Guma’n Se Gujre Gujarne Wale
Pade Hai Yaha Khud Jahet Ko Laale Kise Bataye Kaha Gaye The

Suragh Ayen-o-Mata Kaha Tha Nishaan Kaif-o-Ala Kaha Tha
Na Koi Raahi Na Koi Saathi Na Koi Sang e Manzil Na Marhale The 

Udhar Se Pehan Taqaze Aana Idhae Tha Mushkil Qadam Badhana
Jalal-o-Haibat Ka Saamna Tha Jamal-o-Rahmat Ubharte The

Badhe To Lakin Jhijhakte Darte Haya Se Jhukte Adab Se Rukte
Jo Qurb Unhi Ki Ravish Peh Rakhte Laakho Manzil Ke Fasle The

Par Unka Badhna To Naam Ko Tha Haqiqatan Fa’al Tha Udhar Ka
Tanazzalo Me Taraqqi Afza Dana Tadalla Ke Silsile The

Hua Yah Akhir ki Ek Bajra Tamooj Bahar e Hu Me Ubhra
Dana Ki Godi Me Un Ko Lekar Fana Ke Langar Utha Diye The

Kise Mile Ghaat Ka Kinara Kidhar Se Gujra Kaha Utaara 
Bhara Jo Misl e Nazar Tarara Apni Aankho Se Khud Chhupe The

Uthe Jo Qasr e Dana Ke Parde Koi Khabar De To Kya Khabar De
Wahan To Jaahi Nahi Dooi Ki Na Kah Ki Wah Hi Na The Are The

Wah Baagh Kuchh Ayesa Rang Laaya Ki Ghuncha wa Gul Ka Farq Uthaya
Girah Me Kaliyo Ke Baagh Phoole Gulo Ke Tikme Lage Hue The

Muheet wa Markaz Me Farq Mushkil Rahe Na Fazil Khutoot Wasil
Kamane Hairat Me Sar Jhukaye Ajeeb Chakkar Me Dayere The

Hijaab Uthne Me Lakho Parde Har Ek Parde Me Lakho Jalwe
Ajab Ghadi Thi Ki Wasl wa Furqat Janam Ke Bichhde Gale Mile The

Jubane Sukhi Dikha Ke Maoze’n Tadap Rahi Thi Ki Pani Paye
Bhanwar Ko Yah Za’af Tashangi Tha Ki Halke Aankho Me Pad Gaye The

Wahi Hai Awwal Wahi Hai Akhir Wahi Hai Batin Wahi Hai Jahir
Usi Ke Jalwe Usi Se Milne Usi Se Us Ki Taraf Gaye The

Kaman e Amkaan Ke Jhute Nuqto Tum Awwal Akhir Ke Pher Me Ho
Muheet Ki Chaal Se To Poochho Kidhar Se Aye Kidhar Gaye The

Idhar Se Thi Nazar e Shah Namaze Udhar Se An’aam Khusrawi Me
Salaam wa Rahmat Ke Haar Gundh Kar Guluye Purnoor Me Padhe The

Jubaan Ko Intajaar e Guftan Gosh Ko Hasrat e Shunidan 
Yaha Jo Kahna Tha Kah Liya Tha Jo Baat Sunni Thi Sun Chuke The

Wah Burj Batha Ka Maah Paara Bahisht Ki Saer Ko Sudhara
Chamak Pe Tha Khuld Ka Sitara ki Is Qamar Ke Qadam Gaye The

Sarwar e Muqaddam Ki Roshni Thi ki Tabisho Se Mah e Arab Ki
Jina’h Ke Gulshan The Jhaad Farsi Jo Phool The Sab Kanwal Bane The

Tarab Ki Nazish ki Haa Lachakiye Adab Wah Bandish ki Hil Na Sakiye
Yah Josh Zid-dain Tha ki Paude Kasha Kash e Arrah Le Tale The

Khuda Ki Qudrat ki Chaand Haq Ke Karodo Manzil Me Jalwah Kar Ke
Abhi Na Taaro Ki Chhao Badli ki Noor Ke Tadke Aa Liye The

Nabi e Rahmat Safi’a e Ummat Raؔza Pah Lillah Ho Inayat
Use Bhi Un Khil’aton Se Hissa Jo Khaas Rahmat Ke Waa’n Bate The

Sana e Sarkaar Hai Wazeefa Qabool e Sarkaar Hai Tamanna
Na Shayeri Ki Hawas Na Parwa-rawi Thi Kya Kaise Qafiye The

Listen full Kalaam ♥▼

Read more…↓


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top