
Phir Ke Gali Gali Tabah, Thokarein Sab Ki Khayein Kyun
Dil Ko Jo ‘Aql De Khuda, Teri Gali Se Jaayein Kyun
Rukhsat-e-Qaafila Ka Shor, Ghash Se Humein Uthaye Kyun
Sote Hain Unke Saaye Mein, Koi Humein Jagaaye Kyun
Baar Na The Habeeb Ko, Paalte Hi Ghareeb Ko
Royein Jo Ab Naseeb Ko, Chain Kaho Ganwaye Kyun
Yaadein Huzoor Ki Qasam, Ghaflat-e-‘Aish Hi Sitam
Khoob Hai Qaid-e-Gham Mein Hum, Koi Humein Chhudaaye Kyun
Dekh Ke Hazrat-e-Ghani, Phel Pade Faqeer Bhi
Chhaayi Hai Ab To Chauni, Hashr Hi Aana Jaaye Kyun
Jaan Hai ‘Ishq-e-Mustafa, Roz Fuzu Kare Khuda
Jis Ko Ho Dard Ka Maza, Naaz-e-Dawaa Uthaye Kyun
Hum To Hain Aap Dil-Figar, Gham Mein Hansi Na Gawaar
Chhed Ke Gul Ko Nawbahaar, Khoon Humein Rulaaye Kyun
Ya To Yuhin Tadap Ke Jaayein, Ya Wahi Dam Se Chhudaayein
Minnat-e-Ghair Kyun Uthaye, Koi Taras Jataaye Kyun
Unke Jalaal Ka Asar, Dil Se Lagaye Hain Qamar
Jo Ke Ho Laut Zakhm Par, Daagh-e-Jigar Mitaye Kyun
Khush Rahe Gul Se Andaleeb, Khaar-e-Haram Mujhe Naseeb
Meri Bala Bhi Zikr Par, Phool Ke Khaar Khaye Kyun
Hai To Raza Nira Sitam, Jurm Pe Gar Lajaaye Hum
Koi Bajaaye Soz-e-Gham, Saaz-e-Tarab Bajaaye Kyun


اردو
پھر کے گلی گلی تباہ، ٹھوکریں سب کی کھائیں کیوں
دل کو جو عقل دے خدا، تیری گلی سے جائیں کیوں
رُخصتِ قافلہ کا شور، غش سے ہمیں اُٹھائے کیوں
سوتے ہیں اُن کے سائے میں، کوئی ہمیں جگائے کیوں
بار نہ تھے حبیب کو، پالتے ہی غریب کو
روئیں جو اب نصیب کو، چین کہو گنوائے کیوں
یادیں حضور کی قسم، غفلتِ عیش ہے ستم
خوب ہے قیدِ غم میں ہم، کوئی ہمیں چھڑائے کیوں
دیکھ کے حضرتِ غنی، پھیل پڑے فقیر بھی
چھائی ہے اب تو چھاؤنی، حشر ہی آنا جائے کیوں
جان ہے عشقِ مصطفیٰ، روز فضو کرے خدا
جس کو ہو درد کا مزہ، نازِ دوا اُٹھائے کیوں
ہم تو ہیں آپ دل فگار، غم میں ہنسی نہ گوار
چھیڑ کے گُل کو نو بہار، خوں ہمیں رُلائے کیوں
یا تو یوں ہی تڑپ کے جائیں، یا وہی دم سے چھڑائیں
منّتِ غیر کیوں اُٹھائیں، کوئی ترس جتائے کیوں
اُن کے جَلال کا اثر، دل سے لگائے ہیں قمر
جو کہ ہو لوٹ زخم پر، داغِ جگر مٹائے کیوں
خوش رہے گُل سے عندلیب، خارِ حرم مجھے نصیب
میری بلا بھی ذکر پر، پھول کے خار کھائے کیوں
ہے تو رضا نرا ستم، جُرم پہ گر لُجائیں ہم
کوئی بجائے سوزِ غم، سازِ طرب بجائے کیوں
Ishq-e-Mustafa ﷺ ka dard bhara kalam – dil ko chhoo jaaye! 💔✨ | Yaha Suniye
Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
✨ Neeche apna feedback likhna na bhoolen!
– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر –