Naad e Ali Padhna aur Ya Ali Kahna Kaisa ?
Imam Ahl-e-Sunnat As-Shaah Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه ka Naad e Ali ke hawale se jo kalaam Fatawa e Rizviya Shareef
mein hai, uss ka khulasa yeh hai ke Shah Mohammad Ghaus Al-Gyarvi رحمة
الله ne is ko apni kitaab “Jawahir e Khamsa”
mein zikr kiya aur Shah Wali Allah Muhaddis Dehalvi رحمة الله ne apne Sheikh Abbu Tahir
Kar Di رحمة الله aur Sheikh Mohammad
Saeed Lahori رحمة
الله se “Jawahir Khamsa”
mein maojood aamaal ki ijazat haasil ki aur is ke ilawa Shah Walii Allah Muhaddis
Dehalvi رحمة
الله ke Shuyookh(Sheikh ki
Jama) mein se Sheikh Mohammad Ashraf Lahori , Sheikh Molana Abdul Almulk,
Sheikh Bayazeed Sani, Sheikh Shanavi Aur Molana Wajih-ud-Deen Alvi waghera ne
is ki ijazte’n haasil kee, isi terhan Shah Walii Allah Muhaddis Dehalvi رحمة الله ke zariye Shah Abdul Aziz Aur Molvi Mohammad Ishaq waghera ko
bhi is ki ijazate’n mili. ( Mukhlasan az Fatawa e Rizwiya, J-9, S-821-822, Raza
Foundation, Lahor Addition)
Allah Taala ki ataa se us ke naik bande bhi madadgaar hain. Chunancha Allah
Taala irshad farmata hai :
فَاِنَّ اللّٰهَ هُوَ مَوْلٰىهُ وَ جِبْرِیْلُ وَ صَالِحُ الْمُؤْمِنِیْنَۚ-وَ الْمَلٰٓىٕكَةُ بَعْدَ ذٰلِكَ ظَهِیْرٌ(4)
Tarjuma Kanzul Imaan : To be-shak Allah un ka madadgaar hai aur Jibreel
aur Nek Imaan wale aur is ke baad Farishta’y madad par hain. (Surah al-Tahreem:
Ayat 4 )
aur lafz ” Ya “ ke zariye khitaab kar ke bhi madad talabb karna
saabit hai. Chunancha Nabi Pakﷺ ne irshad farmaya :
“اذا ضل احدكم شيئا او اراد احدكم عونا وهو بارض ليس بها انيس فليقل يا عباد الله اغيثونی با عباد الله اغيثوني فان الله عبادا لانراهم وقد جرب ذالک”
Tarjuma : Jab tum mein se
kisi ki koi cheez gum(lost) ho jaye ya kisi ko madad ki haajat ho aur woh aisi
jagah ho, jahan us ka koi yaar o madadgaar nahi ho, to woh yun kahe “Aye Allah
ke bandoo! Meri madad karo. Aye Allah ke bandoo! Meri madad karo ke Allah taala
ke kuch bande hain jinhein hum nahi dekhte, woh us ki madad karen ge. (Imam
Tibraani رحمة الله farmatay hain ke) yeh baat tajaruba’y se saabit hai.
( Al-Muazzam-ul-Kabeer, J-17, S-117, Matbua al-Qahra’h )
Wallahu Alam wa Rasoolallah Alam
Upar ki Tahreer Darul Ifta AhleSunnata Dawateislami ke Mufti Muhammad Qasim Attari ke Fatwe ke Urdu tahreer ki Mutarajjim hai.
Aap neeche ↓ inki Tahreer dekh sakte hai.
Mazeed Janne ke liye Ye ↓ video dekhe’n ▼
Mazeed Padhe’n