MOROCCO
- Kuchh MOROCCO
ke baare mein…
Aap ne Allama Iqbal ka ye mashahoor sher aksar suna hoga ki;
“ Dasht To Dasht Hain Dariya Bhee Na
Chhode Ham NeBahar E Zulmaat Mein Dauda Die Ghode
Ham Ne “
Dariya mein ghode(Hourse) daudaane ka waaqya Morocco mein hi pesh aaya tha. Ghode daudaane
wale COmender the Hazarat Uqaba bin Naafa’aرضي الله عنه. Us waqt Islami hukumat ke khalifa
the Ameerul Mumineen Sayyadana Ameere Muaaviyahرضي الله عنه.
Morocco, Tunisia aur Algeria ke tamaam ilaaqon ko Magarib e Aqasa yani door ka pashchim (Far
West) kaha jaata hai . Morocco ko Mamalakat e magaribee, Algeria ko Magarib e
Ausat ( Middle West) aur Tunisia ko Magarib e Adna (Small West) kaha jaata hai.
Is mein kuchh hissa Libya ka bhi shaamil hai.
![]() |
MOROCCO |
Is ilaaqe ke fateh ki shuruaat to Hazarat Umar رضي الله عنه ke daur me hi ho gai thi lekin kuchh security
wajuhaat ki wajah se aap ne aage badhne ki ijaazat na di. 50 Hijari me Hazrat Ameere
Muaaviyah ne Misr(Egypt) se alaihidgi ekhtayar kar ke ek sooba Africa qaayam
kiya aur uske zimmedaaree Hazarat Uqaba bin Naafa’aرضي الله عنه ko di. Unhonne kamaan
sambhaalate hi lashkar kashee shuroo kar di aur magarib ke aksar ilaaqon par
islami hukumat qaayam ho gai. 51 hijaree mein Hazarat Uqaba bin Naafa’a ne
magarib yaani maujooda Morocco mein ek shahar Qarswiyyin aabaad kiya. Jaisa ki
dastoor hai ki musalmaan jab koi shahar basaate hain to uski shuruaat masjid se
karate hain lihaaza Hazarat Uqaba bin Naafa’aرضي الله عنه ne yahaan ek masjid banavaayee.
Ye masjid aaj bhee aabaad hai aur jaama “Uqba bin Naafa’a” ke naam se
mashahoor hai.
![]() |
Greater Mosque Uqba bin Nafa |
Kuchh shikaayat milne kee vajah se Hazrat Ameere Muaaviyahرضي الله عنه ne Hazarat Uqaba bin
Naafa’aرضي الله عنه ko maazool ( suspend) kar diya.
Lekin Hazrat Ameere Muaaviyahرضي الله عنه ke wafaat ke baad phir se unhen Africa ka
governer bana diya gaya aur unhonne Jareed (Tunisia) Zaab (Algeria) Tanaja (Tangiair, Morrocco ) aur Aeeberiya wagairah
fateh ki.
Darul Bayda (Darel Beida / Casablanca) Morocco ka sab se bada shahar hai.
![]() |
Casablanca |
Morocco ka Darul Hukumat (Raajdhani / Capital) Rabat hai.
Is shahar ko 12veen sadi (12 Century) me Khalifa Abdul Momin Muvahhid ne
basaaya tha.
![]() |
Rabat |
Morocco ke sab se puraane shahar Fez me hi Duniya kee sab se puraanee (World Oldest University) University “Qarawiyyin University” hai jise Fatima Fahri ne banaya tha. Ye shahar Car Free hai yaani
yahaan Car nahi chalate hai.
![]() |
Qarawiyyin University |
Morocco ke log baaqi arabon ki tarah bade mehmaan navaaz hote hain. Yahaan Diversity bahut
hai. Samandar ke kinaare (Sahil / Beach) bhi hain, Oonche Oonche pahaad bhi
hain aur puraane tarikhi shahar is chhote se Arab mulk ko bahut khaas banate
hain. Morrocco ka apna Architecture hai yahaan ke ghar, baazaar, dukaanen,
masjiden ek alag style me bani hoti hain jo saadagee me bhi Dil ki Kashish rakhate hain.
Knows more…
Youngest Person to fly around the world Solo (Alone)
visit more labels