Moajiza e Rasoolallahﷺ aur Shaan e Maula Ali رضي الله عنه
![]() |
Ye Waqya Hai Jung E Khaibar ke qabl ka Jab Jung Fateh nahi horhi thi Huzoor ne Hazrat Abu Baqr Siddik رضي الله عنه Aur phir Hazrat Umar رضي الله عنه Ko bheja par Khaibar unse fatah na huwa phir Farmaya
Hadees:
Hazrat Sahal Bin Saad Farmate Hai Rasool e Kareemﷺ ne Khaibar ke Din Irshad Farmaya Kal Mai Ye Jhanda(flag) Aise Shaks Ko Dunga Jiske Haath ALLAH Taala Fatah Dega Woh ALLAH AUR USKE RASOOLﷺ se Muhabbat Rakhta Hai aur ALLAH AUR USKA RASOOLﷺ us se Mohabbat Karte Hai
Agle Roz Subah Har Insaan Ye Ummid Rakhta Tha K Jhanda Use Diya Jayga.
Huzoorﷺ ne Farmaya Ali ibne Abu Talib Kaha Hai ?
Logon Ne Arz Kiya Yaa Rasool ALLAHﷺ unki Aankhe Dukhti Hai.
Huzoorﷺ ne unhe bulane ka hukm diya,
Unhe Bulaya gaya HUZOOR NABI E KAREEMﷺ ne APNA LUAAB E MUBARAK(Blessing Saliva) Nikala Aur Hazrat Ali رضي الله عنه Ki aankho Me Lagaya wo aise theek hogaye Jaise pahle dard tha hi nahi aur Jhanda unhe de diya.
Maula E Kaynaat ne Pucha YAA RASOOL ALLAH kya Mai unse us waqt tak ladu jab tak Musalmaan na hojaye ?
Farmaya Narmi Ekhteyar Kar Jab Tak K Tum Unke Maidan Me Naa Utar Jaao Phir Unhe Islaam Ki Dawat Do Aur ALLAH ke Jo Huqooq Unpe Hai wo unhe Batao
Allah Ki Qasam Koi Ek Shaks Ko Bhi Tumhare Jariye Se Hidayat Mil Jaaye.
Ye Tumhare Liye Is baat se Accha Hai ki Tumhare Paas Surkh Oont(Qamyaab aur Qeemto Oont) Ho”
References :
(Sahi Bukhari Vol : 05 Pg :170 , Kitab No 56 Kitabuz Jihad, Baab : باب فَضْلِ مَنْ أَسْلَمَ عَلَى يَدَيْهِ رَجُلٌ Hadees : 3009)
(Sahi Bukhari, Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Khaybar, Hadees : 4210)
(Sahi Muslim Vol : 04, Pg : 210, Kitab No 44 Fazail E Sahaba RadiAllaho Taala Alaihim Azmain, Baab : Manakib E Ali ibn Abu Talib, Hadees : 2406, “English : Book 44 Hadees 53)