Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Masjid e Qiblatain | Why is it called Masjid Qiblatain?

Spread the love

Masjid e Qiblatain

Masjid e Qiblatain
Masjid e Qiblatain 
Masjid e Qiblatain Makkah Sharif se North side me taqreeban 3.5 Km ke doori par waqa’a hai. Ye Masjid pahle Banu Saleem ke naam se jani jaati thi lakin Hazrat Muhammadﷺ ke Sadq e Karam se is masjid ka naam change ho kar Masjid e Qiblatain ho gaya. Jo musalmano ke liye historical moment tha. Aur is ka bayan khud Allah taalah ne apne kalam Quraan majeed me farmaya hai.

Masjid e Qiblatain | Why is it called Qiblatain?
Masjid e Qiblatain Outside View👆 

Which mosque is known as masjid Qiblatain?

Hazrat Adamعليه السلام se lekar Hazrat Musa عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ tak Musalamano ka Qibla Masjid e Haram(Kaaba Sharif) hi tha, Hazrat Musaعَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ke baad se Hazrat Muhammadﷺ ke hizrat tak Masjid e Aqsa musalmano ka kaaba raha. 

Masjid e Aqsa | Why is Masjid Al Aqsa so special?

Masjid e Qiblatain:-

Hazrat Muhammadﷺ ki ye khawaish thi Muslamaano ka Qibla Kaabatullah ho jaye aur isi liye baar baar Apna Chahra Aasman ki janib karte rahte. Hizrat ke baad 15 Rajjab ko, Huzoorﷺ Zuhar ki namaz padha rahe the. 2 Rakaat Namaz ho chuki thi itne me Hazrat Jibrail عليه السلام ayat(verse) le kar nazil hue.

What is the verse of the Qiblatain? Where in the Quran does it say Qibla change?

(Surah Baqrah – Ayat: 144)

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ

قَدْ نَرٰى تَقَلُّبَ وَجْهِكَ فِی السَّمَآءِۚ-فَلَنُوَلِّیَنَّكَ قِبْلَةً تَرْضٰىهَا۪-فَوَلِّ وَجْهَكَ شَطْرَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِؕ-وَ حَیْثُ مَا كُنْتُمْ فَوَلُّوْا وُجُوْهَكُمْ شَطْرَهٗؕ-وَ اِنَّ الَّذِیْنَ اُوْتُوا الْكِتٰبَ لَیَعْلَمُوْنَ اَنَّهُ الْحَقُّ مِنْ رَّبِّهِمْؕ-وَ مَا اللّٰهُ بِغَافِلٍ عَمَّا یَعْمَلُوْنَ(۱۴۴)

Urdu Meaning:

ہم تمہارے چہرے کا آسمان کی طرف باربار اٹھنا دیکھ رہے ہیں تو ضرور ہم تمہیں اس قبلہ کی طرف پھیر دیں گے جس میں تمہاری خوشی ہے تو ابھی اپناچہرہ مسجد حرام کی طرف پھیر دو اور اے مسلمانو! تم جہاں کہیں ہو اپنا منہ اسی کی طرف کرلو اور بیشک وہ لوگ جنہیں کتاب عطا کی گئی ہے وہ ضرور جانتے ہیں کہ یہ تبدیلی ان کے رب کی طرف سے حق ہے اور اللہ ان کے اعمال سے بے خبر نہیں۔

Roman Meaning:

Hum Tumhare Chahre Ka Aasmaan Ki Taraf Bar Bar Uthana Dekh Rahe Hai To Jaroor Hum Tumhe Us Qiblah Ki Taraf Phere Denge Jis Me Tumhari Khusi Hai To Abhi Apna Chahra Masjid e Haram Ki Taraf Pher Do Aur Aye Muslamaano! Tum Kaha Kahi Ho Apna Apna Muh Isi Ki Taraf Karlo Aur Beshak Wah Log Jinhe Kitab Ata Ki Gai Hai Wah Jaroor Jante Hai ki Yeh Tabdili Un Ke Rab Ki Taraf Se Haw Hai Aur Allah Un Ke Aamal Se Be-Khabar Nahi. (Surah Al-Baqara – 144)
Is Wahi e Ilahi (messege of Allah) ke baad Huzoorﷺ ne Namaz ki halat me hi Apna Chahra Masjid e Haram(Kaaba’h Sharif) ki taraf pher liye, aap ki peechhe sab sahaba ne bhi apna chahra Kaabah Sharif ki taraf pher liya aur Baki 2 Rakaat namaz Kaabah Sharif ki Taraf ada ki, is dauran na aapﷺ ki namaz tuti na Sahaba karam ki. 
Masjid e Qiblatain | Why is it called Masjid Qiblatain?
Musalla as a Sign Masjid e Aqsa Qibla 👆

Jaisa ki pahla qibla Masjid e Aqsa tha lakin wahi nazil hone ke baad ab qibla Masjid e Haram hogai duaran e namaz. Isliye is masjid me 2 Mehrab (Jaha Imam Imamat Karte hai) hai, ek Qibla e Awwal (Masjid e Aqsa) ki taraf aur Doosra Masjid e Haram ki taraf hai. Abhi Mehrab e Qibla e Awwal ki jagah Darwaza bana diya gaya hai taki koi ab Qibla e Awwal ki taraf rukh kar ke namaz na padh sake. Isi gate ke upar ek musalla Sharif banaya gaya hai ba-taur e Nisani ke liye ki jo jaaireen(peligrims) aye wo ye musalla dekh kar samajh jaye ki pahle Mehrab ki nishani hai. Ab chuki isme 2 qibla ki nisani aur mehrab hai, Is liye is Masjid ko Masjid e Qiblatain (Do Qible Wali Masjid) kahte hai.
Masjid e Qiblatain | Why is it called Masjid Qiblatain?
Makkah Side Qibla 👆

Qibla kyu change hua? | Why was the Kaaba changed?

Qibla change hone ki 2 wajah (reason) hai.
  • Qibla change ki wajah ye thi Kaaba jo sabse pahle Qibla tha Hazrat Adamعليه السلام se lekar Hazrat Musa عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ tak.
  • Aur Doosri wajah ye thi ki Yahoodi (Jews) Masjid e Aqsa ki taraf muh karke namaz padhne se bahot fakhr (proudfeel) karte the aur kahte ki “Musalman hamare deen(religious) ki mukhalifat karte hai lakin namaz hamare qible ki taraf karte muh karke padhte hai.

Conclusion:

In tamam bato aur ayat se malooom hua  ki Allah Taalah wahi chahta hai jo Hazrat Muhammadﷺ chahte aur Huzoorﷺ  ki riza usi me hoti hai jo Allah chahta hai. 

Khuda Ki Raza Chahte Hai Do Alam
Khuda Chahta Hai Raza e Muhammad
– JAZAKALLAH –
Visit also…▼


Spread the love

1 thought on “Masjid e Qiblatain | Why is it called Masjid Qiblatain?”

  1. Pingback: Hejaz Railway: Sultan Abdul Hamid II Ka Vision, Ummah Ki Muhabbat Aur Tareekh Ka Shaandar Safar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top