Taaruf
Islam me aurat ka kirdar aksar ghalat samjha jata hai. Islam auraton ko bohot se huqooq aur zimmedariyan deta hai, jo apne waqt me nayaab the. Quran, Hadith, aur mukhtalif Islami kitaabein auraton ke maqam aur kirdar ko mukammal taur par samjhaati hain. Yeh blog in kirdaron, huqooq aur izzat par roshni daalta hai jo Islam me auraton ko di gayi hai. Quran-o-Hadith ke dalail ke sath.
Quran Me Aurat
Quran, jo ke Islam ki muqaddas kitaab hai, bohot si ayat me auraton ki ahmiyat aur izzat ka zikar aaya hai. Yahan kuch ahm ayat di gayi hain:
1. Takhlīq aur Roohani Barabari:
- “Aye logon! Apne Rab se daro jis ne tumhein ek jaan se paida kiya aur us mein se us ka joda banaya aur in dono se bohot se mard aur auratein phaila diye. Aur Allah se daro jiska naam lekar tum apne huqooq maangte ho aur apne (khooni) rishton ka lihaz rakho. Beshak, Allah tumhein hamesha dekh raha hai.” (Quran 4:1)
- “Beshak musalman mard aur musalman auratein, aur imaan wale mard aur imaan waliyan, aur farmabardar mard aur farmabardar auratein, aur sachay mard aur sachiyan, aur sabr walay mard aur sabr waliyan, aur aajzi karne walay mard aur aajzi karne waliyan, aur khairat dene walay mard aur khairat dene waliyan, aur roza rakhne walay mard aur roza rakhne waliyan, aur apni paarsai ki nigah rakhne walay mard aur nigah rakhne waliyan, aur Allah ko bohot yaad karne walay mard aur yaad karne waliyan; in sab ke liye Allah ne bakhshish aur bara sawab tayar kar rakha hai.” (Quran 33:35)
2. Huqooq aur Samaji Insaf:
- “Mardon ke liye hissa hai us cheez mein jo maa baap aur qaribi rishtedaar chhor gaye hain; aur auraton ke liye bhi hissa hai us cheez mein jo maa baap aur qaribi rishtedaar chhor gaye hain, chahe wo maal (warasat) chhota ho ya bara; yeh hissa muqarrar hai.” (Quran 4:7)
- “Aye imaan walon! Tumhare liye yeh jaiz nahi ke tum zabardasti auraton ke waris ban jao, aur auraton ko is niyat se roko nahi ke jo mehr tumne unhein diya tha us mein se kuch le lo, siwaye is surat ke wo khuli behayai ka irtikab karen. Aur unke sath achi tareeke se guzaro. Phir agar tumhein wo napasand hoon to ho sakta hai ke koi cheez tumhein napasand ho aur Allah us mein bohot bhalaai rakh de.” (Quran 4:19)
3. Taleem aur Ilm:
- Taleem hasil karna mard aur aurat dono ke liye bohot zyada ahmiyat rakhta hai. Quran ka pehla lafz “Iqra” (Quran 96:1) tha, jo ilm ki ahmiyat ko wazeh karta hai.
Hadith Me Aurat
Hadith, jo ke Nabi Muhammadﷺ ke aqwal aur amal hain, auraton ke huqooq aur ahmiyat ko mazid wazah karta hai:
1. Izzat aur Ahtaram:
- “Jannat tumhari maaon ke qadmon ke neeche hai.” (Matlab unki khidmat karke Jannat hasil karlo). (Ibn Majah)
- Nabi Muhammadﷺ ne farmaya, “Tum me se behtar wo hain jo apni biwiyon ke sath behtar hain.” (Tirmidhi)
2. Taleemi Huqooq:
- Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya, “Ilm hasil karna har Musalman par farz hai.” (Ibn Majah)
- Ayesha رضي الله عنها, Nabi Muhammadﷺ ki biwi, ek mohtaram alimah aur ustad hai. Unka ilm Hadith aur Islami fiqh me bemisal tha.
3. Maashi(Financial) Huqooq:
- Auraton ko property rakhne aur apna karobar karne ka haq hai. Khadijahرضي الله عنها, Nabi ki pehli biwi, ek kamiyaab karobari(Business) aurat hai.
Islam Me Mumtaz Aurat ki Misalein
Islam me bohot si auraten hain jinhe unki wafadari, taqwa, ilm, aur himmat ki wajah se mumtaz maqam hasil hai. Yahan kuch ahm shakhsiyat ka zikr kiya jata hai:
1. Khadijah bint Khuwaylid رضي الله عنها
Taaruf: Khadijah bint Khuwaylid Nabi Muhammadﷺ ki pehli biwi hai. Unho ne Islam qabool karne wali pehli shakhsiyat honay ka sharaf hasil kiya. Unka maqam Islam ki tareekh me behtareen misaal hai.
Karobar: Khadijah رضي الله عنها ek kamyab karobari aurat hai. Unka karobar apne daur ka ek bohot bada karobar tha. Unho ne Nabi Muhammadﷺ ko apni karobari mehnat aur maaliyat se support kiya, jo Islam ke ibtidaayi(starting) dino me bohot madadgar sabit hua.
Shaadi aur Zindagi: Nabi Muhammadﷺ aur Khadijah رضي الله عنها ki shaadi bohot khushgawar hai. Unho ne Nabi Muhammadﷺ ki nabuwwat ko sabse pehle tasleem kiya aur unka har qadam par saath diya. Khadijah رضي الله عنها ne apni daulat aur zindagi Nabi Muhammadﷺ aur Islam ke liye qurbaan kar di.
2. Ayesha bint Abu Bakr رضي الله عنها
Taaruf: Ayesha bint Abu Bakr رضي الله عنها Nabi Muhammadﷺ ki biwi hai aur unho ne Islam me ilm aur hikmat ka behtareen namoona qaim kiya. Unko ilm aur fiqh me deep understanding hai, jo aaj bhi Islam me aik raushan misaal hai.
Ilm aur Taleem: Ayesha رضي الله عنها ne 2,000 se zyada hadith riwayat ki hain. Unka ilm itna zyada tha ke bohot se sahaba aur tabieen unse ilm hasil karte the. Unho ne aurton aur mardon dono ko taleem di aur Islam ke masaail ko samjhaya.
Siyasi Kirdar: Ayesha رضي الله عنها ne siyasi maidan me bhi ahm kirdar ada kiya. Unho ne jang-e-Jamal me hissa liya aur apne aqeedon aur insaf ke liye khadi rahi.
3. Fatimah bint Muhammad رضي الله عنها
Taaruf: Fatimah bint Muhammad رضي الله عنها, Nabi Muhammadﷺ ki beti hai. Unki shanakht unki taqwa, ibadat aur insaniyat se hai. Unho ne apne walid ki tarbiyat ka bohot asar liya.
Akhlaaq aur Taqwa: Fatimah رضي الله عنها ka maqam unki zindagi aur akhlaaq me nazar aata hai. Unho ne har surat me apni imaan aur taqwa ko barqarar rakha. Unki shadi Khalifa e Islam Ali ibn Abi Talib رضي الله عنه se hui jo ke Islam ke chauthe khaleefa the.
Zindagi aur Qurbani: Fatimah رضي الله عنها ki zindagi mehnat aur qurbani se bhari hai. Unho ne apne walid ki wafat ke baad apne gharelu aur samaji farz ada kiye aur Islam ke liye apni poori zindagi qurbaan kar di.
4. Asiya bint Muzahim رضي الله عنها
Taaruf: Asiya bint Muzahim رضي الله عنها Firaun ki biwi hai. Unho ne Musa عليه السلام ko paala aur Islam qabool kiya jabke unka shauhar Allah ka sabse bada dushman tha.
Iman aur Sabr: Asiya رضي الله عنها ne apne imaan aur sabr ke zariye apne shauhar ke zulm ko bardasht kiya. Unho ne apne imaan ko kisi bhi surat me dagmagaane nahi diya. Quran me unka zikr ek mo’min aurat ke taur par kiya gaya hai (Quran 66:11).
5. Maryam bint Imran رضي الله عنها
Taaruf: Maryam bint Imran رضي الله عنها ko Hazrat Isa عليه السلام ki walida hone ka sharaf hasil hai. Quran me unka zikr mukarrar taur par karte hue unke naam ki poori surah nazil hui “Surah Maryam” aur unhe tamaam auraton me se behtareen kaha gaya hai.
Pakeezgi aur Ibadat: Maryam رضي الله عنها ki zindagi taqwa aur pakeezgi ka namoona hai. Unho ne apni zindagi Allah ki ibadat me guzari aur unhe apne bete Hazrat Isa عليه السلام ki paidaish ka mojza mila.
Hum In se Kya Seekh Sakte Hai
1. Ilm Aur Taleem:
- Apne taleem aur ilm par zor de, kyunki yeh insaniyat ki taraqqi aur behtari ke liye zaroori hai.
- Taleem hasil karna aur apne ilm ko barhawa dena, jise Ayesha رضي الله عنها ne dikhaya.
2. Himmat Aur Iman:
- Mushkilat ka samna himmat aur imaan se karna, aur har surat me apne imaan ko mazboot rakhna, jaise Asiya رضي الله عنها ne dikhaya.
- Apne maqsad ke liye qurbani aur commitment seekhna, jaise Khadijah رضي الله عنها aur Fatimah رضي الله عنها ne dikhaya.
3. Karobari Aurat:
- Apne maashi huqooq ko samajhna aur zarurat parne par apna karobar karna, jaise Khadijah رضي الله عنها ne kiya.
- Apne karobari zindagi me himmat aur lagan se kaam lena.
4. Gharelu Farz:
- Apne gharelu aur samaji farz ko nibhana aur apne ghar aur family ko support karna, jaise Fatimah رضي الله عنها ne dikhaya.
- Apne rishton me wafa aur support ka jazba paida karna, jaise Khadijah رضي الله عنها ne apne shauhar ko support kiya.
5. Izzat Aur Ahtaram:
- Apni izzat aur ahtaram ko barqarar rakhna, aur dusron se bhi izzat aur pyaar se pesh aana, jaise Maryam رضي الله عنها ne dikhaya.
Yeh misaale humare liye rahnuma hain aur hume apni zindagi me in se bohot kuch seekhne ko milta hai. Islam me aurat ka maqam bohot uncha hai, aur hum in misaalon se bohot kuch seekh kar apni zindagi ko behtar aur khushgawar bana sakte hai.
Aksar Poochay Jane Walay Sawalat (FAQs)
- Islam me auraton ke kya huqooq hain?Islam me aurton ke mukhtalif huqooq hain, jin me taleem ka haq, kaam karne ka haq, milkiyat rakhne ka haq, virasat ka haq, aur shadi aur talaq me insaf ka haq shamil hain.
- Kya aurat Islam me kaam kar sakti hai?Ji haan, aurat Islam me kaam kar sakti hai. Bohot si Sahabi auraton, jaise Khadijah رضي الله عنها, karobari hai. Asal baat yeh hai ke kaam unki dini zimmedariyon me rukawat na bane.
- Islam taleem ko auraton ke liye kis nazar se dekhta hai?Islam mard aur aurat dono ke liye taleem ko bohot zyada ahmiyat deta hai. Nabi Muhammadﷺ ne farmaya, “Ilm hasil karna har Musalman par farz hai.” (Ibn Majah)
- Kya aurat Islam me siyasat me shirkat kar sakti hai?Ji haan, aurat Islam me siyasat me shirkat kar sakti hai. Tareekhi taur par, auraton ne ahm kirdar ada kiya hai, jaise Nabi ki biwiyan jo siyasi mamlaat me mashwara diya karti thin.
- Pehli aurat kaun thi jis ne Islam qubool kiya?Jawab: Khadijah bint Khuwaylid pehli aurat thi jis ne Islam qubool kiya.
- Islam se pehle aurton ki kya halat thi?Jawab: Islam se pehle, bohot se muashron me aurton ko buniyadi huqooq se mehroom rakha jata tha aur unhe aksar jaidaad samjha jata tha. Islam ne aham islahat laayi, jo aurton ko huqooq aur izzat faraham karti hain.
- Islam me aurton ki kya ahmiyat hai?Jawab: Aurton ka Islam me aham kirdar hai jo iman, taleem aur community building me barabar ke partner hain. Quran aur Hadith aurton ke saath izzat aur insaf ka bartao karne ki ahmiyat ko wazeh karti hain.
- Kya Islam aurton ke liye mazhab hai?Jawab: Haan, Islam aurton ke liye mukammal huqooq aur zimmedariyan faraham karta hai, unki taleem, ma’ashi azadi aur muasharti shirakat dari ka dawa dar hai.
- Islam me hijab ke bare me kya kaha gaya hai?Surah Al-Ahzab (33:59): “Aey Nabi! Apni biwiyon, betiyon aur momin aurton se kehdo ke apni chadaron ka kuch hissa apne oopar lita liya karien. Yeh is baat ke zyada qareeb hai ke woh pehchani jaayen aur na sataayi jaayen. Aur Allah bakshnay wala, mehrbaan hai.” In ayaton ke mutabiq, hijab ka maqsad aurton ko pehchan aur izzat dena hai aur unhe har tarah ke sataish aur aziyat se mehfooz rakhna hai. Hijab ka matlab sirf sir aur jism ko dhakna nahi, balki puri modesty ikhtiyar karna hai jo aurton ko apne waqar aur izzat ko barkarar rakhne me madad deta hai.
- Islam polygamy ke bare me kya kehta hai?Islam me polygamy, yaani ek mard ka ek se zyada aurton se shadi karna, kuch shara’it aur hudood ke saath jaiz hai. Quran me is bare me ayat mojood hain jo is rivaaj ke qawaid o zabat ko wazeh karti hain:
- Surah An-Nisa (4:3): “Aur agar tumhe andesha ho ke tum yateemon ke maamlaat me insaf nahi kar sakte to un aurton me se jo tumhe pasand aayen, do, teen, ya chaar se nikah kar lo. Magar agar tumhe andesha ho ke tum unke darmiyan insaf nahi kar sakoge, to sirf ek hi kafi hai…”
Is ayat se yeh wazeh hota hai ke Islam mardon ko ek waqt me chaar biwiyan rakhne ki ijazat deta hai, magar insaf aur barabari ke saath. Yeh insaf aur barabari sirf maali aur jismi tor par nahi, balke jazbati tor par bhi zaroori hai.
Islam me polygamy ke maqasid aur shara’it:
- Insaf aur Barabari: Islam kehta hai ke agar ek mard ke paas ek se zyada biwiyan hain, to us par farz hai ke wo unke darmiyan insaf aur barabari barataye. Agar wo aisa nahi kar sakta, to sirf ek biwi par iktifa karna chahiye.
- Social aur Economic Stability: Polygamy aksar un sooraton me apnayi jati thi jahan social ya economic stability ko farogh dena tha, jaise ke jangon ke baad jab mardon ki tadad kam ho jati thi. Auraten bewa ho jaati thi to unko support karne ke liye, agar yuhi bina shadi ke koi mard ki aurat ki help karega to samajh me badgumani ho sakti hai.
- Protection aur Support: Polygamy ka maqsad aksar bewao aur yateem aurton ko protection aur support faraham karna hota tha.
- Nafsiat aur Mohabbat: Mard ek nafsiyat ka putla. Use apne biwi ke ilawa bhi koi pasand aa sakta. Lakin galat raaste par jaane ke bajaye islam me 4 shaadi ke huqooq diye jisse uska ghar na toote.
Quizzes
Aapne jo parha hai usko check karein. Har sawal ka jawab dene ke liye options pe click karein. Saheeh jawab hara rang mein highlight hoga, jab ke ghalat jawab laal rang mein highlight hoga, aur saheeh jawab neeche dikhaya jayega.
1. Islam auraton ko kya deta hai?
- Sirf ghar ke zimmedarian
- Bohat se huqooq aur zimmedarian
- Mehdood huqooq
- Bilkul huqooq nahi
2. Quran kis ayat mein mard aur aurat ki takhleeq aur ruhani barabari ka zikr karta hai?
- Quran 4:1
- Quran 2:256
- Quran 33:35
- Quran 3:159
3. Quran ki kis ayat mein mard aur aurat dono ke liye wirasat ka hissa hone ka zikr hai?
- Quran 4:7
- Quran 2:188
- Quran 4:19
- Quran 5:32
4. Quran ka pehla lafz jo ilm ki ahmiyat ko zikar karta hai kya hai?
- Iqra (Padho)
- Ikhlas (Khuloos)
- Salat (Namaz)
- Zakat (Khairat)
5. Quran ke mutabiq mardon ko apni biwiyon ke sath kaise rehna chahiye?
- Sakhti se
- Meharbani se
- Dar se
- Alag se
6. Kis ne kaha, “Tum mein se behtareen wo hain jo apni biwiyon ke sath behtareen hai”?
- Abu Bakr رضي الله عنه
- Umar رضي الله عنه
- Prophet Muhammad ﷺ
- Ali رضي الله عنه
7. Prophet Muhammad ﷺ ki biwiyon mein se kaun ek mohtaram scholar aur ustad thi?
- Khadijah رضي الله عنها
- Ayesha رضي الله عنها
- Hafsa رضي الله عنها
- Salma رضي الله عنها
8. Prophet Muhammad ﷺ ki pehli biwi aur ek kamiyab tajir kaun thi?
- Ayesha رضي الله عنها
- Hafsa رضي الله عنها
- Zainab رضي الله عنها
- Khadijah رضي الله عنها
9. Islam ko sab se pehle qabool karne wale kaun thay?
- Ayesha رضي الله عنها
- Fatimah رضي الله عنها
- Khadijah رضي الله عنها
- Maryam رضي الله عنها
10. Kaun 2000 se zyada hadiths rawayat karte hain aur islami tareekh mein ek aham siasi kirdar ada kiya?
- Khadijah رضي الله عنها
- Ayesha رضي الله عنها
- Fatimah رضي الله عنها
- Asiya رضي الله عنها
11. Quran mein kis aurat ko imaan aur sabr ki misaal ke tor par izzat di gayi hai?
- Khadijah رضي الله عنها
- Fatimah رضي الله عنها
- Asiya رضي الله عنها
- Maryam رضي الله عنها
12. Islami tareekh mein kaun ek tajir aurat ki misaal hain?
- Ayesha رضي الله عنها
- Khadijah رضي الله عنها
- Fatimah رضي الله عنها
- Asiya رضي الله عنها
13. Kis ne bade sakhtiyaan bardasht karte hue apne imaan ko mazboot rakha?
- Khadijah رضي الله عنها
- Ayesha رضي الله عنها
- Fatimah رضي الله عنها
- Asiya رضي الله عنها
14. Kis ke zindagi se humein taleem aur ilm ki ahmiyat ka dars milta hai?
- Khadijah رضي الله عنها
- Ayesha رضي الله عنها
- Fatimah رضي الله عنها
- Asiya رضي الله عنها
15. Quran aur shadi mein auraton ke saath sulook ke bare mein kya kehta hai?
- Auraton ko sakhti se pesh aaya jaye
- Auraton ko reham aur izzat ke saath pesh aaya jaye
- Auraton ko nazarandaz aur chup rakhna chahiye
- Auraton ke shadi mein koi haq nahi
16. Islam auraton ke ghar ke bahar kaam karne ke bare mein kya kehta hai?
- Auraton ko ghar ke bahar kaam karne ki ijazat nahi
- Aurat kaam kar sakti hai, jab tak yeh unki dini farz mein dakhal na de
- Auraton ko sirf ghar ke kaam karne chahiye
- Auraton ko apne shauhar ki ijazat leni chahiye
17. Quran auraton ke shadi mein sulook ke bare mein kya kehta hai?
- Auraton ko sakhti se pesh aaya jaye
- Auraton ko reham aur izzat ke saath pesh aaya jaye
- Auraton ko nazarandaz aur chup rakhna chahiye
- Auraton ke shadi mein koi haq nahi
18. Islam auraton ki taleem aur ilm haasil karne ko kaise dekhta hai?
- Taleem sirf mardon ke liye hai
- Taleem dono mardon aur auraton ke liye tajweez di jati hai
- Auraton ko sirf buniyadi taleem milni chahiye
- Taleem auraton ke liye zaroori nahi
19. Quran mein kaun si aurat sabr aur wafadari ka misaal hai jo apni mushkilaat ke dauran nazar aati hai?
- Asiya رضي الله عنها
- Fatimah رضي الله عنها
- Ayesha رضي الله عنها
- Maryam رضي الله عنها
20. Islam mein auraton ko property ke bare mein kaunsa haq diya gaya hai?
- Auraton ko property rakhne ki ijaazat nahi
- Auraton ko property rakhne aur manage karne ka haq hai
- Auraton ki property unke mard rishtedaron ke zimme hoti hai
- Auraton ko sirf apne shauhar se property virasat mein milti hai
————JAZAKALLAH————
Is blog ko padhne ke liye shukriya. Aapke khayalat aur raayein hamaare liye qeemti hain. Bara-e-karam apni raayein niche comments section mein share karein aur humein batayein ke aap kya sochte hain Islam mein aurton ke kirdar, huqooq aur izzat ke baare mein. Is Article/blog ko logon ke saath share karna na bhoolen.
Pingback: Ubayed Bin Umair Ki Naseehat | Gunah Se Tauba Aur Inquilab