Imam Zainul Aabidin | Sajjad-e-Karbala Ki Zindagi, Amaal Aur Karamaat

Spread the love

An Dekhe Hathon Se Ration Milna

Hazrat Imam Zainul Abedin رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ ke daur e waqt me Madina Munawwara mein kuch ghareeb gharanay thay jinka khanay peenay ka intizaam raaton raat ho jata. Kisi ko maloom bhi nahi hota tha ke ye ne’matein kis ne pahunchayi. Waqt guzarta gaya aur 100 ke qareeb gharon ko an dekhe hathon se ration milta raha. Lekin phir aik azeem hasti ka intiqaal hua — aur rashan milna bhi ruk gaya. Tab logon ko maaloom hua ke ye raz-daari aur posheeda khidmat Hazrat Imam Zainul Abedin رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ ki thi — jinka asal naam “Ali” tha, aur jo Nawasa-e-Rasool ﷺ, Hazrat Imam Hussain رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ ke farzand thay.

Hulliyat-ul-Auliya, Jild 3, Safa 160

Imam Zain-ul-Aabidin | Sajjad-e-Karbala Ki Zindagi, Amaal Aur Karamaat

Wiladat Aur Naam

Aap رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ ki wiladat 38 Hijri mein Madina Munawwara mein hui. Aap ka naam “Ali” rakha gaya, lekin kasrat-e-ibadat ki wajah se “Zain-ul-Aabidin” (Ibadat Guzaron Ki Zeenat) aur “Sajjad” (Sajda Karne Wala) ke laqab se mashhoor hue. Aap ki kunniyat Abu al-Hasan thi.

Al-Aalaam, Jild 4, Safa 277

Parwarish Aur Tarbiyat

Aap رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ do saal tak Dada Maula Ali Murtaza Karam Allahu Wajhah ki parwarish mein rahe, phir 10 saal Imam Hasan Mujtaba رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ ki sohbat mein guzare. Uske baad taqreeban 11 saal tak Walid-e-Garami Imam Hussain رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ ki nigrani mein Taleem wa Tarbiyat hasil ki.

Sharah-e-Shajra Qadriya, Safa 52

Khauf-e-Khuda

Wudu ke waqt aap ke chehray ka rang zard ho jata. Ghar walon ne wajah poochi to farmaya:
“Tumhein maloom hai ke mein kis ke samne khara hone ja raha hoon?”
Ye tha aap ka Allah azzawajal se khauf, ikhlas aur adab.

Ahya-ul-Uloom-ud-Deen, Jild 4, Safa 227

Maidan-e-Karbala

Aap رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Karbala ke is Hussaini qaflay mein shaamil thay, lekin bemar hone ki wajah se aap ko jang me sharik hone se rok diya gaya. Karbala ke baad Hussaini Sadat ki nasal aap ke zariye agay barhi.
Aap se kai Taba’in ne ilm hasil kiya aur Ahadees riwayat ki.

Imam Zain-ul-Aabidin | Sajjad-e-Karbala Ki Zindagi, Amaal Aur Karamaat

Tareekh-ul-Islam al-Zahbi, Jild 6, Safa 432

Wafaat Aur Mazaar

Imam Zain-ul-Aabidin | Sajjad-e-Karbala Ki Zindagi, Amaal Aur Karamaat

18 Muharram ul Haram 94 Hijri ko 56 saal ki umr mein aap ne is duniya se hijrat farmaayi. Aap ka Maqbarah Jannat-ul-Baqi, Madina Munawwara mein hai.

Seer A’lam al-Nubala, Jild 5, Safa 341

Dua-e-Rahmat

Allah Taalah ki un par rehmat ho aur un ke sadqe se hamari be hisaab maghfirat ho.
Ameen bijahi’n Nabi-il-Ameen ﷺ


Aapki Raaye Hamare Liye Aham Hai!
Agar aapko yeh Mazmoon pasand aaya ho ya aapke dil mein koi sujhaav ho, toh neeche comment zaroor karein. Aapka feedback humein behtar content banane mein madad karta hai.
Dosto ke saath bhi share karna na bhoolen!
Shukriya!

– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top