Hussain Sa Koi Nahi | Hussain Kahte Hai | Manqabat | Imam Hussain | Lyrics

Table of Contents

Spread the love

Hussain Sa Koi Nahi | Hussain Kahte Hai | Manqabat | Imam Hussain | Lyrics

Roman Urdu

Salam Ya Hussain, Salam Ya Hussain 
Salam Ya Hussain, Salam Ya Hussain 

Zameen o Asmaan Me Hussain Sa Koi Nahi
Khuda Ke Is Jahan Me Hussain Sa Koi Nahi

Fiza e Haq Pe Karbala Me Apna Sab Luta Diya 
Khuda Ke Is Jahan Me Hussain Sa Koi Nahi

Likhega Kaun Is Tarah Shahadato Ki Dastan 
Kisi Ke Khandaan Me Hussain Sa Koi Nahi

Karega Kaun Saamna Yazeed Waqt Ka Yaha
Hamare Darmiyan Me Hussain Sa Koi Nahi 

Sarapa Sidq o Wafa Ko Hussain Kahte Hai
Ataye Sher e Khuda Ko Hussain Kahte Hai 

Hussainiyat Ka Zamane Me Hota Hai Charcha
Yazeediyat Ka Nishañ Bhi Kahi Nahi Milta 
Isi Liye To Lagate Hai Ahle Haq Naara
Fana Yazeed Baqa Ko Hussain Kahte Hai 

Hussain Naam Hai Shafqa Ka Maherbani Ka
Hussain Naam Hai Zurrat Kaamrani Ka
Sabab Hussain Hai Batil Ki Na-Tawani Ka
Muzahido Ki Sada Ko Hussain Kahte Hai

Nabi Ke adeen par shaheed hua jawañ beta
Shaheed Ho Gaya Karbal Me Nan-nha Shahzadah
Musibato Me Bhi Karta Raha Jo Sukhre Khuda
Usi Khuda Ki Riza Ko Hussain Kahte Hai 

Hussain Dast e Zafa Ko Hai Todne Wala
Hussain Naata Khuda Se Hai Jhodne Wala
Hussain Sabr Ki Poshak Odhne Wala
Sirat e Rust e Khuda Ko Hussain Kahte Hai 

Hussainiyat Pe Jo Qayem Hai Wo Turabi Hai
Yahi Wo Log Hai Sachche Inquilabi Hai
Rago Me Khoon Halali Hai Khandani Hai
Unhi Ke Rahnuma Ko Hussain Kahte Hai 

Jiska Shauq Fareedi Jahan Me Hai Charcha
Wo Jisko Saare Shaheedo Ka Kahte Hai Aaqa
Jise Kalam e Khuda Ne Bhi Hai Kaha Zindah
Isi Dawam o Baqa Ko Hussain Kahte Hai 

Poet – Shauq Faridi

اردو

سلام سلام سلام یا حسین
سلام سلام سلام یا حسین

زمین و آسماں میں حسین سا کوئی نہیں
خُدا کے اِس جہاں میں حسین سا کوئی نہیں

فضائے حق پہ کربلا میں اپنا سب لُٹا دیا
خُدا کے اِس جہاں میں حسین سا کوئی نہیں

لکھے گا کون اس طرح شہادتوں کی داستاں
کسی کے خاندان میں حسین سا کوئی نہیں

کرے گا کون سامنا یزید وقت کا یہاں
ہمارے درمیان میں حسین سا کوئی نہیں

سر تا پا صدق و وفا کو حسین کہتے ہیں
عطائے شیرِ خدا کو حسین کہتے ہیں

حسینیت کا زمانے میں ہوتا ہے چرچا
یزیدیت کا نشان بھی کہیں نہیں ملتا
اسی لیے تو لگاتے ہیں اہلِ حق نعرہ
فنا یزید، بقا کو حسین کہتے ہیں

حسین نام ہے شفقت کا مہربانی کا
حسین نام ہے جرأت، کامرانی کا
سبب حسین ہے باطل کی ناتوانی کا
مجاہدوں کی صدا کو حسین کہتے ہیں

نبی کے دین پر شہید ہوا جواں بیٹا
شہید ہو گیا کربلا میں ننھا شہزادہ
مصیبتوں میں بھی کرتا رہا جو شکرِ خُدا
اُسی خُدا کی رضا کو حسین کہتے ہیں

حسین دستِ جفا کو ہے توڑنے والا
حسین ناتا خُدا سے ہے جوڑنے والا
حسین صبر کی پوشاک اوڑھنے والا
سیرتِ رُستِ خُدا کو حسین کہتے ہیں

حسینیت پہ جو قائم ہے وہ ترابی ہے
یہی وہ لوگ ہیں سچے انقلابی ہیں
رَگوں میں خون حلالی ہے، خاندانی ہے
اُنہی کے رہنما کو حسین کہتے ہیں

جس کا شوقِ فریدی جہاں میں ہے چرچا
وہ جس کو سارے شہیدوں کا کہتے ہیں آقا
جسے کلامِ خُدا نے بھی ہے کہا زندہ
اُسی دوام و بقا کو حسین کہتے ہیں

🎧 Yeh manqabat ab yahin sun sakte hain – Play karo aur dil ko choo jaane do!

Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
Neeche apna feedback likhna na bhoolen!


– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top