Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Hejaz Railway: Sultan Abdul Hamid II Ka Vision, Ummah Ki Muhabbat aur Tareekh Ka Shaandar Safar

Spread the love

Haal hi mein khabar aayi hai ke Turkey ne Hejaz Railway ke kuch hisson ko dobara zinda karne ki tayari shuru kar di hai. Yeh wahi railway hai jo ek dor mein Makkah aur Madinah jaise paak shehron ko Damascus se jodti thi.

Kya aap jaante hain ke yeh sirf ek railway nahi, balki Muslim ummah ki ittihad, qurbani aur Sultan Abdul Hamid II ke azeem khwab ki kahani hai? Chaliye, aaj hum aapko Hejaz Railway ka woh dilchasp aur prernaadayak safar batate hain jo har musalman ke dil ko chhoo jata hai.

Turkey ki yeh koshish sirf ek tameeri kaam nahi, balki ek tareekhi dharohar ko zinda karne ka irada hai. Lekin is railway ki kahani yahan se bohot pehle shuru hoti hai – san 1900 mein, jab Sultan Abdul Hamid II ne is azeem project ka aaghaz kiya.

Kya aap jaante hain ke is railway ki shuruaat kyun aur kaise hui? Aayiye, iske pashmanzar par ek nazar daalte hain.


Turkey - Hejaz Railway

Pash Manzar: Hejaz Railway Ka Irada

Hejaz Railway ek aise daur ka mashhoor project tha jo sirf ek transport system nahi, balke Muslim ummah ki mazhabi, siyasi aur samaji zarurat ka jawab tha. Sultan Abdul Hamid II ke zehan mein yeh khayal tha ke ek aisi railway banayi jaye jo Damascus se Medina tak ke musalmanon ke safar ko mehfooz aur asaan banaye, khaaskar un logon ke liye jo Hajj aur Umrah ka irada karte hain.


Hejaz Railway Sultan Abdul Hamid II
Sultan Abdul Hamid II

Is dor mein pilgrims ka safar bahut mushkil aur khatarnaak hota tha. Chor, sehra ka mushkil rasta aur lambe safar ke karan kaafi musalman Hajj ka irada karte hue darrte thay. Is railway ne mahino ka safar dinon mein tabdeel kar diya. Yeh sirf ek railway nahi, balke ummat-e-Muslima ke ittehad ka nishan ban gaya.


Azmeen Oont Se Hajj ko Jaate Hue
Azmeen Oont Se Hajj ko Jaate Hue

(Text Source: The Hejaz Railway)

Sultan Abdul Hamid II Ka Vision Aur Musalmanon Ka Jazba

Sultan Abdul Hamid II ne apne mazhabi aur siyasi ehsaasat ko mila kar is project ka agaz kiya. Unka yeh vision tha ke Muslim ummah ke liye ek aisi misaal chhodi jaye jo ittehad aur qurbani ka paigham ho. Unhone duniya-e-Islam ke har kone mein paigham bheja ke yeh project ummat ke liye hai.
1. Fundraising Ka Jazba:

  • Hindustan ke musalman apni salary aur savings se fund donate karte thay.
  • Egypt aur Arab ke log apne maal aur zameen ko qurbani ke taur par pesh karte thay.
  • Ottoman Sultan Abdul Hamid II ne apni personal property tak railway ke liye donate ki.
  • Har chhota aur bara hissa is project ke liye diya gaya, aur yeh ummat ki collective unity aur jazba-e-imaan ka saboot tha.

    Tareekh Aur Tameer Ka Safar

    1900 mein yeh project shuru hua aur German engineers aur Ottoman workers ne mil kar is railway ko tameer kiya. 1,320 kilometers ka route Damascus se Medina tak tay kiya gaya jo deserts, pahadon aur nadiyon ke darmiyan se guzarta tha.
    Construction Challenges:

  • Yarmuk Valley: 15 bridges aur 7 tunnels banaye gaye jo engineering ka ek karishma tha.
  • Extreme Weather: Sehra ke mausami asraat aur resources ki kami ke bawajood tameer ka kaam kamyabi se mukammal hua.
  • Hejaz Railway Over Bridge
    Hejaz Railway Over Bridge

    Route:

  • Damascus (Syria)
  • Deraa (Syria)
  • Amman (Jordan)
  • Ma’an (Jordan)
  • Medina (Saudi Arabia)
  • Yeh railway route sirf transport nahi, balke economic aur mazhabi connectivity ka ek shaandar nizam tha.

    Route of Hejaz Railway
    Route of Hejaz Railway

    Ahmiyat: Mazhabi Aur Siyasi Pehlu

    1. Mazhabi Ahmiyat: Hejaz Railway ka sabse bara maqsad tha Hajj aur Umrah ka safar mehfooz karna. Yeh railway Muslim ummah ke liye ek mazhabi symbol ban gaya jo ittehad aur ek doosre ke saath judne ka zariya tha.

    2. Siyasi Ahmiyat: Sultan Abdul Hamid II ne is railway ko Ottoman Empire ke southern provinces mein apni political aur military power ko mazboot karne ke liye bhi istemal kiya. Yeh ek strategic asset tha jo unki hukoomat ke liye stability laya.

    Hejaz Railway in Arab Desert
    Hejaz Railway in Arab Desert

    Zawaal: World War I Aur Hejaz Railway Ka Girta Hua Dor

    1914 mein World War I ke shuru hote hi, Hejaz Railway ek strategic target ban gaya. Arab Revolt ke doran, T.E. Lawrence (Lawrence of Arabia) aur unke sathi railway ke mukhtalif hisson ko destroy karte rahe. Is sabotage campaign ne railway ke kaafi hisson ko teh-o-bardar kar diya.

    World War ke baad, Ottoman Empire ka zawaal hua aur railway system ki maintenance band ho gayi. Yeh tareekhi railway dheere dheere ek khaab ban kar reh gayi.

    Engine of Hejaz Railway in Damascus
    Engine of Hejaz Railway in Damascus

    (Text Source: Middle East Eye)

    Tajdeed Ka Naya Dor

    Aj ke dor mein, Hejaz Railway ke kuch hisson ko revive karne ki koshish ki ja rahi hai. Turkey aur baqi mulk is railway ko dobara zinda karne ke liye kaam kar rahe hain, taake iski tareekhi aur mazhabi ahmiyat ko zinda rakha jaye. Restoration ka kaam infrastructure aur cultural challenges ke bawajood aage barh raha hai.

    Hejaz Railway Track
    Hejaz Railway Track

    Hejaz Railway sirf ek tareekhi project nahi, balke Muslim ummah ke ittehad aur qurbani ka ek roshan bab hai. Aj yeh railway duniya ke har musalman ke liye ek misaal hai ke agar ummat mil kar kaam kare, toh har mushkil ko paar kar sakti hai.

    Read Also

    Sultan Abdul Hamid II | Sultan Abdul Hamid Sani | Short Biography & History


    Click here

    Masjid e Qiblatain | Why is it called Masjid Qiblatain?


    Click here


    Spread the love

    Leave a Comment

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    Scroll to Top