Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Hazrat Khawaja Fakhruddinرَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ | Brief Biography

Spread the love

SHAHZADA E KHWAJA GARIB NAWAZ HAZRAT SAYYED
KHWAJA FAKHRUDDIN ABUL KHAIR CHISHTI رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ 

(Urs : 5, Shaban, Mazar
: Sarwar Sharif, Rajasthan)
 
Hazrat Khawaja Fakhruddinرَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ | Brief Biography
Sarwar Sharif, Rajashthan

Aapka Mukhtasar Ta’aaruf:

Aapka Mubarak Naam HAZRAT SAYYEDNA KHWAJA FAKHRUDDIN ABUL
KHAIR CHISHTI رَضِيَ
ٱللَّٰهُ عَنْهُ
he. Aap Khandane Husaini ke Chashmo Charaag he. Aapke Vaalide
Mukarram se kaun Shakhs he jo waqif nahi. Musibat ke waqt jab koi shakhs Apne
ko Be Sahara Majboor aur Lachar pata he to uski Zaban par be sakhta aa jata he
ke Madad Kun Ya Moinuddin Chishti. Aapke Vaalide Girami HUZUR SAYYEDNA SARKAR
KHWAJA GARIB NAWAZ HAZRAT KHWAJA MOINUDDIN CHISHTI AJMERI رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ
he. SARKAR KHWAJA GARIB NAWAZ رَضِيَ
ٱللَّٰهُ عَنْهُ
ne Do Nikah Farmaae. Jinme se Pehli Biwi Saheba ka Naam HAZRAT
SAYYEDA BIBI ASMATULLAH he aur Dusri Biwi Saheba ka Naam HAZRAT SAYYEDA BIBI
AMATULLAH he. رَحِمَهُ
ٱللَّٰهُ
. HAZRAT SAYYEDNA KHWAJA FAKHRUDDIN CHISHTI رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ
HAZRAT BIBI AMATULLAH ke Batan se Paida hue. Aapki Viladat Sharif 591 hijri me
hui.

Family:

HAZRAT SAYYEDNA KHWAJA FAKHRUDDIN CHISHTI Alayhirrehma ke Do bhai aur ek Bahen
thi. Aapke bhaio ka Naam HAZRAT SAYYEDNA KHWAJA HISAMUDDIN aur HAZRAT SAYYEDNA
KHWAJA ZIYAUDDIN ABU SAEED رَحِمَهُ
ٱللَّٰهُ
he aur Aapki Bahen ka Naam HAZRAT BIBI HAFEZA JAMAAL
rehmatullah alayha he. HAZRAT KHWAJA FAKHRUDDIN CHISHTI رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ
ki Taalimo Tarbiyat Aapke Vaalide Maajid SARKAR KHWAJA GARIB NAWAZ رَضِيَ
ٱللَّٰهُ عَنْهُ
ke Zere Nigrani hui. Aapne Apne Vaalide Maajid ke Sayae Aatifat
me Parvarish paai, Uloome Zaahiri aur Baatini se Aarsata hue aur Aala Darje par
Faaiz hue. Aap Murid bhi Apne Vaalide Maajid hi se hue aur SARKAR GARIB NAWAZ
ne Aapko Silsilae Chishtiya me Khilafato Ijazat Ata farmaai aur Silsilae Paak
ke Zikro Afkaar ki Talkin ki. Ek rivayat ke mutabiq Aapne SARKAR GARIB NAWAZ ke
Sab se Pehle Khalifa QUTBUL AQTAB HAZRAT SAYYEDNA KHWAJA QUTBUDDIN BAKHTIYAR
KAKI رَضِيَ
ٱللَّٰهُ عَنْهُ
se bhi Faize Baatin aur Khirqae Khilafat Hasil kiya. Vaalide
Girami SARKAR KHWAJA GARIB NAWAZ رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke Visaal Sharif ke baad Aap hine unki
Namaze Janaza padhai thi.”
Hazrat Khawaja Gareeb Nawazرَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ
Dargah Khawaja Gareeb Nawazرَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ

Aap ki Shakhsiyat:

HAZRAT SAYYEDNA KHWAJA FAKHRUDDIN CHISHTI رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ
Vilayat me Aala Maqam rakhte the. Aap Apna zyadatar waqt Ibadate Ilahi me basar
farmaya karte. Aap Rozana Qurane Majid ki Tilawat kiya karte the. Qanaa’at ki
Daulat se Malamaal the. Aapka Tawakkul bhi Be Misaal tha. Hare ek ke sath
Khanda Peshani aur Mohabbat se pesh aate the. Aapne Azdavaji Zindagi Qubul
farmaai. Halaal Kamaai Hasil karne ke liye Aap Kheti baadi kiya karte the.
Aapne Nikah farmaya aur Aapki Aulade bhi hui. Aapne Apne Sahabzade ka Naam Apne
Gumshuda bhai ke Naam par HISAMUDDIN rakha. Ye HAZRAT KHWAJA HISAMUDDIN CHISHTI
rehmatullah alayh ka Laqab ‘Jigar Sokhta’ he aur inka Mazar Sharif Rajasthan ke
Phulera ke Paas Samabhar Sharif me he.
Shrine of SHAHZADA E KHWAJA GARIB NAWAZ HAZRAT SAYYED KHWAJA FAKHRUDDIN ABUL KHAIR CHISHTI رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ
Shrine of Hazrat Khawaja Fakhruddinرَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ
HAZRAT SAYYEDNA KHWAJA FAKHRUDDIN ABUL KHAIR CHISHTI رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ka Visale Paak 5
Shaban 661 Hijri me hua. Vafaat Sharif ke waqt Aapki Umr Sharif 70 Saal ki thi.
Aapka Mazare Paak Ajmer Sharif se qarib 60km dur Sarwar naami Gaaon me Marjae
Khalaiq he. Aapka Urse Paak har Saal badi Dhoom Dham se manaya jata he jisme
Hazaro ki Tadad me Log Sharik ho kar Faizyaab hote he. Aapke Vaalide Girami
SARKAR GARIB NAWAZ رَضِيَ
ٱللَّٰهُ عَنْهُ
ki Dargah Sharif se 3 Shaban ko Chadar Sharif Begami Dalan se
ravana hoti he aur Sarwar Sharif me Aapke Mazar par wo Chadar pesh ki jati he.
6 Shaban ko Qul Sharif hota he jisme Langar ka maqool Intezam hota he. Aapke
Aastane par dusre Hajatmando ke sath sath Aasebzada bhi hazir hote he aur
Shifayabi Hasil karte he.
(Tazkirae Auliyae Rajasthan, Sarwar ke Khwaja)


Visit HOME

Spread the love

3 thoughts on “Hazrat Khawaja Fakhruddinرَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ | Brief Biography”

  1. Subhanallah.Allah se dua hai hazrat ke darje aur buland farmaye aur hame Qayamat ke din unke chahne walo me se uthaye .haq moin ya moin Al madad ye Ghareeb Nawaz (R.A)

  2. Pingback: Haji Abdur Rahman Shah Baba | Dongri Ke Sultan | Mumbai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top