Abu Turab (Mitti Wale)
Ek
din hazrat ali رضي الله تعالیٰ عنه masjid ki deewar ke paas
zameen par aaram farma rahe they. Aapki Peeth mitti se lag gayi thi itne mein
huzoorﷺ masjid mein tashreef
laye. Hazrat Ali رضي الله عنه ko zameen par lete
huwe dekh kar aapko uthaya. Aapki Peeth Mubarak se apne Hath Mubarak se mitti jhaadhte
huwe farmaya; Abu Turab (Mitti wale) uth baith. Hazrat Ali رضي
الله عنه ko huzoorﷺ ke munh se Abu Turab ka
lafz kuch aisa pasand aaya ki aapko apne asli naam se zyada yahi naam pasand
aane laga. Ali kahne se aap itna khush nahi hote jitna Abu Turab kahne se khush
hote.
(Reference:
Tareequl Khulfa, Safa-118)
Tareequl Khulfa, Safa-118)
Hazrat Aliرضي الله عنه ko Abu Turab Kah lawana kyu pasand farmate the?
Sabaq:
Hazrat Ali رضي الله تعالیٰ عنه ka laqab “Abu Turab” Huzoorﷺ ka rakha hua tha. Iss naam mein ek khass muhabbat
jalwa farma hai. Isiliye Hazrat Ali رضي الله عنه ko yeh naam bada
pyaara tha ki yeh naam pyaare ka rakha huaa pyaara naam hai. SUBHAN ALLAH
jalwa farma hai. Isiliye Hazrat Ali رضي الله عنه ko yeh naam bada
pyaara tha ki yeh naam pyaare ka rakha huaa pyaara naam hai. SUBHAN ALLAH