Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Haji Abdur Rahman Shah Baba | Dongri Ke Sultan | Mumbai

Spread the love

Taaruf

Hazrat Peer Sayyad Haji Abdur Rahman Shah Qadri (رحمة الله عليه) un mashhoor aur karamat buzurgon mein se hain jin ka waasta British dor se hai. Aap direct Ahl-e-Bait, yani Hazrat Ali (رضي الله عنه) aur Nabi-e-Kareem (صلى الله عليه وسلم) ke khaandaan se hain. Aapke waalid Hazrat Shamsuddin Qadri (رحمة الله عليه) tha. Hazrat Haji Abdur Rahman Shah Baba ne pehle apne ilaqe Madras (Saalem) mein taleem haasil ki aur Hafiz-e-Quran ban gaye, aur uske baad British court mein barrister ke tor par bhi kaam kiya. Aapki shakhsiat roohaniat aur ilm mein kaabil-e-taareef thi, aur aapka mazar aaj bhi Mumbai ke Dongri ilaqe mein logon ke liye ek rahmat ka markaz bana hua hai.

Alqaab aur Silsila

Hazrat Haji Abdur Rahman Shah Baba ko kai mukhtalif alqaab mile jo unke mureed aur aas paas ke log pyaar aur ehtiraam se bulaate the. Karam Nawaz ka laqab aapko Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti Ajmeri (رحمة الله عليه) ke roohani silsile se diya gaya tha. Ek aur laqab Dada Rahman tha, jo log aapki hamesha naseehat karne ki aadat ki wajah se dete the, kyunki aap hamesha sachai aur zikr-e-Ilahi par zor dete the. Aapko Dongri ke Sultan bhi kaha jata hai kyunki aap Mumbai ke ilaqe Dongri me rahte the aur buzurgon ke behtareen darje par faizan rasaani mein mashhoor rahe.

Hazrat Haji Abdur Rahman chaar mukhtalif Sufi silsilon se ta’alluq rakhte the:

  1. QadriyaHazrat Sheikh Abdul Qadir Jilani (رحمة الله عليه) ka silsila.
  2. Chishti – Hazrat Abu Ishaq Shami (رحمة الله عليه) ka silsila.
  3. Nizami – Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya (رحمة الله عليه) ka silsila.
  4. Faqri – ek aur roohani silsila jisme aapka talluq tha.
    Haji Abdur Rahman Shah Baba | Dongri Ke Sultan | Mumbai
    Dargah Sharif, Dongri, Mumbai – 03

Taleem aur Zindagi

Hazrat Haji Abdur Rahman Shah Baba ka bachpan Salem (Madras) mein guzra, jahan aapne Quran ko hifz kiya aur baad mein barrister ban gaye. Aap Mumbai ke Paydhoni ilaqe mein Bapu Khote Street ke qareeb ek masjid mein ruk gaye aur wahaan bacho ko Quran ki taleem dena shuru kiya. Jab aap Hajj se waapas aaye, to duniya se kinara karte hue apne thode se duniavi asbab bhi chhod diye aur apna waqt sirf ibadat aur roohani riyazat mein guzarna shuru kiya. Log aapke paas apni mushkilein aur beemariyaan le kar aate aur aapke asaa (chhadi) ke aasar se unhe shifa mil jati.

Ek rivaayat ke mutabiq, aap ne apna barrister ka maqam bhi chhod diya. British hukumat ne aap se waapas kaam par aane ka bhi zor dala. Magar aapne inkar kiya aur British hukumat ne bhi aapka intekhab aur roohani maqam pehchaan liya.

Mashhoor Karaamaat

Aapki kai karaamaat mashhoor hain jo aaj bhi log yaad karte hain:

  1. Dongri Police Wala Waqia: Aapke mashhoor waqiyat mein se ek ye hai ke aapko Dongri police ne kisi shikayat par arrest kiya, magar taale band hone ke bawajood aap jail se bahar aa jaate. Police baar baar aapko band karti magar har dafa aap jail se bahar nazar aate. Ye waqia kai martaba dohraaya gaya, aur aakhir mein police ne aapko buzurg maan kar riha kar diya. Yeh waqia aapki karamaat e qudrat aur Allah ke kareem ki nishani hai.
  2. Beemariyon ka Ilaj: Aap se kai mareez shifa haasil karte the. Ek martaba ek shakhs ke sar par fode ka ilaj na ho raha tha. Aapne uske sar par apni chhadi rakhi aur kuch waqt baad Allah ke fazl se woh theek ho gaya.
  3. Ghareebon ka Madadgar: Ek ghareeb aurat ke ghar ke qareeb se guzarte hue aapne us se chai maangi. Jab usne aapko chai di, to aapne chai ke cup mein koyle ka ek tukda daal diya jo baad mein sone(gold) mein tabdeel ho gaya.
  4. Khatarnaak Safar se Bachaya: Ek shakhs ne aap se samundar mein safar ke liye dua ki darkhwast ki, magar aapne use jane se mana kar diya. 15 din ke baad usne suna ke woh jahaaz doob gaya aur saare musafir laapata ho gaye.
Haji Abdur Rahman Shah Baba | Dongri Ke Sultan | Mumbai
Dongri Police Station ke Paas Aapka Chilla Mubarak. Jaha aap zikr o ibadaat karte the.

Aakhri Lamhaat aur Mazar-e-Mubarak

Hazrat Haji Abdur Rahman Shah Baba ka wisaal 1 Jamaadi-ul-awwal 1336 Hijri (13 February 1918) ko hua aur aap ka mazaar Dongri, Mumbai mein waqe hai. Aaj bhi log hazrat ke mazaar par apni muraadein le kar aate hain aur apni mushkilein aur pareshaaniyan du’ao ke zariye door karte hain.

Urs aur Aaj Tak Ka Asar

Dongri ke Sultan ka Urs har saal manaya jata hai aur log door door se unke mazar par aate hain. Hazrat Haji Abdur Rahman Shah Baba ka mazar logon ke liye ek roohani markaz ban chuka hai. Aapke mureed aur mehboobaan hazaron ki tadaad mein unki barakaat aur dua ke liye aate hain. Aapka laqab Dongri ke Sultan ka ehtiraam duniya bhar ke log karte hain aur Mumbai ke log apne ilaaj aur duaon ke liye yahaan hazir hote hain.

Haji Abdur Rahman Shah Baba | Dongri Ke Sultan | Mumbai
Pic of Urs Mubarak

Haji Abdur Rahman Shah Baba Ki Dargah

Mumbai mein Hazrat Haji Abdur Rahman Shah Baba ki dargah par har saal hazaron log aate hain jo un ke roohani ta’alluq aur muhabat ke daleel hain. Hazrat ke roohani karnamon ne aap ko “Dongri ke Sultan” ka laqab diya aur aap ka ye maqam aaj bhi logon mein zinda hai.

ALLAH Ta’ala Hazrat Haji Abdur Rahman Shah Baba ke sadqe mein hum sab ki mushkilein aasaan farmaaye aur humen ishq-e-Rasool aur nek amal ki taufiq ata farmaaye. Aameen.


Ghaus e Azam Ki Karamat | Aurat Aur Uska Bachcha
Hazrat Khawaja Fakhruddinرَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ | Brief Biography


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top