Hain Kalaame Ilahi Me Shams-o-Duha
Tere Chahra e Noor e Fiza Ki Qasam
Hain Kalaame Ilahi Me Shamso Doha
Tere Chehra-E Noor Fiza Ki Qasam
Qasam e Shabe Taar Me Raaz Ye Tha
Ke Habeeb Ki Zulf e Duta Ki Qasam
Tere Khulq Ko Haq Ne Azeem Kaha
Teri Khilq Ko Haq Ne Jameel Kiya
Koi Tujhsa Hua Hai Na Hoga Shaha
Tere Khaliq e Husn-o-Ada Ki Qasam
Wo Khuda Ne Hai Martaba Tujko Diya
Na Kisi Ko Mile Na Kisi Ko Mila
Ki Kalame Majid Ne Khai Shaha
Tere Shahr-o-Kalaam-o-Baqaa Ki Qasam
Tera Masnad e Naaz Hai Arsh e Bari
Tera Mahrame Raaz Hai Rooh e Ami
Toohi Sarware Har Do Jahan Hai Shaha
Tera Misl Nahin He Khuda Ki Qasam
Yehi Arz Hai Khaaliq e Arzo Samaan
Woh Rasool Hai Tere Me Bandaa Tera
Muje Unke Jawaar Me De Wo Jagaa
Ki Khuld Ko Jiski Safa Ki Qasam
Toohi Bando Pe Karta Hai Lutf-o-Ata
Hai Tujhi Pe Barosa Tujhi Se Dua
Mujhe Jalwaa Paake Rasool Dikha
Tujhe Apne Hi Izz-o-Ula Ki Qasam
Mere Garche Gunah Hai Had Se Siwa
Magar Unse Ummeed Hai Tujh Se Rija
Tu Raheen Hai Unka Karam Hai Gawah
Wo Kareem Hai Teri Ata Ki Qasam
Yehi Kehti He Bulbule Baage Jinaa
Ke Raؔza Ki Tarah Koi Sihar Bayan
Nahin Hind Me Wasif e Shaahe Huda
Mujhe Shokhi e Taba e Raza Ki Qasam
Visit more…
HOME
Hadaiq e Bakhshish Album
Hadaiq e Bakhshish Sharah Album
Samaan e Bakhshish (Naati e Dewaan Huzoor Mufti e Azamرحمۃ اللہ علیہ )
Pingback: Lamyati Nazeero Kafi Nazarin | Lyrics | Kalam E Ala Hazrat » Islam Is The Great
Pingback: Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki | Lyrics In Roman And Urdu