Roman Urdu
Haa Ye Baat Sach Haqiqat Yahi Hai
Nabi Aap Ko Maine Dekha Nahi Hai
Na Daur E Muhammad Me Paida Hua Mai
Na Saathi Safar Ka Kabhi Ban Saka Mai
Na Aaqa Ki Awaaz Tak Sun Saka Mai
Na Ghazwat Me Mushrikoñ Se Lada Mai
Na Hijrat Ki Lazzat Hui Mujh Ko Hasil
Na Ho Paaya Ansaar Ki Saf Me Shamil
Nabi Aap Jis dam The Ghaar E Hira Me
Koi Zaad E Raah Bhi Na Pahocha Saka Mai
Magar Sach Hai Ye Bhi Qasam Hai Khuda Ki
Muhabbat Mujhe Aap Se Hai Nabi Ji
Salle Ala Sayyadina
Sallallahu Alaihi Wasallam
Mujhe Aapke Ghar se Dar Se Muhabbat
Safar Se Muhabbat Hajar Se Muhabbat
Mujhe Aapke Har Pahar Se Muhabbat
Har Ek Raaste Raah Gujar Se Muhabbat
Wo Imaañ e Shaq-qul-Qamar Se Muhabbat
Zaqan Se, Dahan Se, Nazar Se Muhabbat
Nabuwwat Ki Jisne Gawahi Di Aaqa
Haa Us Go se Us Hajar Se Muhabbat
Ye Be-dhank si meri muhabbat ka tohfa
Kya uski ijabat ka hai koi rasta
Salle Ala Sayyadina
Sallallahu Alaihi Wasallam
Na Abubakar Sa Mai Rafeeq-e-Safar Hoon
Na Usman O Haider Hoon Na Mai Umar Hoon
Na Talha Na Hamza Saeed O Saad Hoon
Anas Jaisa Khaadim Na Khalid Asad Hoon
Na Mein Ibn-e-Awf O Zubair O Ubaida
Na Mai Bood O Jaana Maaz O Qatada
Na Arqam Na Akhnas Bilal Aur Yahya
Na Misl-e-Yasaar Aur Yasir Na Ya’la
Mai In Sab Ke Qadmon Ke Zarron Ka Zarrah
Magar Aye Nabi Apka Hoo Mai Sheedah
Sallay Ala Sayyidna
Sallallahu Alaihi Wasallam
Watch Youtube Video
https://youtu.be/jJ9JmPaoH74?si=Bjdp2m-prbLnaQ–
Read Also
Wa Ahsanu Minka Lam Tara Qattu Aini | Hassan Bin Sabit | Sharah/Explation
Wo Khushnaseeb Log The | Islamic Poetry | Naat
Sari Sadiyon Pe Jo Bhari Hai Wo Lamha Milta | Lyrics | Naat | Urdu Poetry
Pingback: Wo Khushnaseeb Log The Jo Daur E Mustafa Me The | Poetry Naat » Islam Is The Great