A Letter of Woman
Ek khatoon ne ek khat likha jo sone(gold) ke
pani se likhe jane ke qabil hai. !
Mere Pyare Shohar(Husband) :
Mere Pyare Bhai:
Mere Pyare Bete:
Ghar se bahar nikalte hi aap ko 2 qism(type) ki
khawateen(Ladies/women) milengi.
Pehli qism:
Woh aurat jo Aziz e Misr [Misr(egypt) ka
Badshaah] ki biwi ki tarah bemari mein mubtala ho gayi hai, is ne apne aap ko
khoobsurat banaya hai, khushbu laga rakhi hai aur makeup kya hai, aur is ki zubaan
e haal (Body language) har dekhnay wale ko kehti hai: mein tumhare liye tayyar
hoon.
Doosri qisam:
Woh aurat jo parda karti hai aur hijaab karti
hai, lekin halaat ne usay apni zaroriyaat poori karne ke liye bahar jane par
majboor kar diya, aur woh zubaan e haal se goya hazrat Shuaibعلیہ السلام ki
batiyon ki tarah yeh kehti hai :’ ‘ jab tak charwahay chalay nah jayen hum apni
bakriyon ko pani nahi pilainge aur hamara baap boodha hai.’ ‘ (Surah Al-Qasas : 23)
Pehli qism ki aurat ke sath Yousuf عليه السلام ki tarah bartao(react) karen, apni nigehain neechi rakhen aur kaho,” khuda
ki panah”. (Surah Yousuf : 23)
Aur doosri qism ki aurat ke sath Moosa عليه السلام ke jaisa bartao karo, Shahistagi(Suitable methode) se madad karo, aur
apna rasta lo, quran farmata hai” aur is ne un ( bakrion ) ko pani pilaya
aur phir saaye mein chali gayi” . (Surah Al-Qasas : 24)
![]() |
Hazrat Yousuf عليه السلام ki Mazaar Mubarak |
![]() |
Hazrat Yousuf عليه السلام ki Mazaar Mubarak |
Yousuf عليه السلام iffat(Modesty) un ke Aziz
e Misr ban’ne ka zariya ban gayi.! (Surah Yousuf : 101)
![]() |
Hazrat Moosa عليه السلام Masjid |
![]() |
Hazrat Moosa عليه السلام ki Mazaar Mubarak |
Aur Moosa عليه السلام ki khidmat ki wajah se Khuda
ne inhen EK achi biwi aur panah di thi. (Surah Al-Qasas : 27)
Aye Allah Hume’n ghairat wala, Ba Haya, Parda karne aur apni
nigahon ki hifazat karne wala bana. Allahumma Ameeen .
Mazeed Islamic Maloomat ke liye neeche link pr click kare
Instagram aur Facebook par follow aur Like kare’n