Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Eid Milad-un-Nabiﷺ Allah ki Rahmat aur Neamat

Spread the love

Eid Milad-un-Nabiﷺ Allah Ta’alah ki Rahmat aur Nemat

Eid Milad-un-Nabiﷺ Allah Ta'alah ki Rahmat aur Nemat

📋 Sawal: 

•-•-•-•-•-•-•

Eid Milad-un-Nabiﷺ ke mutalliq aajkal log tarah-tarah ki bakwasein karte hai aysa lagta hai ki unke nazdik  Eid Milad-un-Nabiﷺ manane se zyaada bura kaam aur koi nahi. Baherhaal ye unka apna aqida hai, yaha qur’aan paak se ek jawab dete hue apni baat continue karta hu.

✍ Jawab:

•-•-•-•-•-•-•

Wo log jo Maqsood-e-Kainaat, Bais-e-Takhleeq-e-Kainaat Allah Ta’aala ke Mahboob Paak aur Rab Ta’aala ki khas nemat Mustafa Jaan-e-Rahmatﷺ ki meelad pak ki khushiya dekhkar maare gussa se pagal ho jaate hai allah ta’aala ke mehboobo ki bargaah mein nazrana-e-aqeedat pesh karne wale bando par taano ki teero se barish karte rehte hai.

Qur’aan Majeed se Milad ka Saboot Video -Haji Abdul Habib Attari Muballigh e Dawateislami 

 

 Qur’aan kahta hai;

“Allah ki rehmat par khushiya manao”

 Allah Taalah Qur’aan Majeed me farmata hai;

 

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ

قُلْ بِفَضْلِ اللّٰهِ وَ بِرَحْمَتِهٖ فَبِذٰلِكَ فَلْیَفْرَحُوْاؕ-هُوَ خَیْرٌ مِّمَّا یَجْمَعُوْنَ(58)

تم فرماؤ اللہ ہی کے فضل اور اسی کی رحمت اور اسی پر چاہئے کہ خوشی کریں وہ ان کے سب دھن دولت سے بہتر ہے۔

“Tum farmao Allah hi ke Fazl aur usi ki Rahmat aur usi par chahiye ki khushi kare, wah un ke sab dhan daulat se bahtar hai.”

(📚 Tarjuma e Kanzul Imaan; Surah Yunus : 58)

Iss aayat kareema mein hukm diya jaa raha hai ki, jab Allah Taalah ka fazl aur uski rehmat ho toh munh bisaur kar na baith jaya karo. Jo charag jal raha hai usko bhi na bujha diya karo. Kyunki Allah Taalah ke fazl wa rehmat par Allah Taalah ka shukriya ada na karna uske fazl wa rehmat se khush na hona, aur khushi zaahir na karna Kufran-e-Nemat hai. Aysa na karo, Balki khushi ka izhar karo. aur ye, sab dhan daulat se bahter hai.

“Ye Paisa To Kya Cheez Hum Ghar Bhi Luta De

Koi Nahi Jahan Me Sarkarﷺ Ke Jaisa”

Aur Allah Taalah Huzoorﷺ ki Zaat-e-Paak ko rehmat qarar dete huwe yoon farmata hai ki;

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ

وَ مَاۤ اَرْسَلْنٰكَ اِلَّا رَحْمَةً لِّلْعٰلَمِیْنَ(107)

اور ہم نے تمہیں نہ بھیجا مگر رحمت سارے جہان کے لئے۔

“Aur hum ne tumhein na bheja magar Rehmat saare jahan ke liye.

(📚 Tarjuma e Kanzul Imaan; Surah Ambiya : 107)

Iss aayat kareema mein Allah Taalah ne Huzoorﷺ ki Zaat-e-Paak ko rehmat farmaya.

Aur doosre aayat mein Allah Taalah ne apne Habeeb Paakﷺ ko duniya mein bheje jane par apna Ahsaan (fazal) momino ke liye farmaya hai. Irshaad bari ta’aala hai;

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ

لَقَدْ  مَنَّ  اللّٰهُ  عَلَى  الْمُؤْمِنِیْنَ  اِذْ  بَعَثَ  فِیْهِمْ  رَسُوْلًا  مِّنْ  اَنْفُسِهِمْ  یَتْلُوْا  عَلَیْهِمْ  اٰیٰتِهٖ  وَ  یُزَكِّیْهِمْ  وَ  یُعَلِّمُهُمُ  الْكِتٰبَ  وَ  

لْحِكْمَةَۚ-وَ  اِنْ  كَانُوْا  مِنْ  قَبْلُ  لَفِیْ  ضَلٰلٍ  مُّبِیْنٍ(164)

بیشک اللہ کا بڑا احسان ہوا مسلمانوں پر کہ ان میں انہیں میں سے ایک رسول بھیجا جو ان پر اس کی آیتیں پڑھتا ہے اور انہیں پاک کرتا اور انہیں کتاب و حکمت سکھاتا ہے اور وہ ضرور اس سے پہلے کھلی گمراہی میں تھے ۔

“Beshak Allah ka bara ehsan hua Musalmanon par ke un mein se unhen ek Rasool bheja, jo un par us ki ayat parhta hai aur unhen paak karta aur unhen kitab o hikmat sikhata hai aur woh zaroor us se pehle khuli gumrahi mein the.”

(📚 Tarjuma e Kanzul Imaan; Surah Aal Imraan : 164)

Kaunsi Nemat ka Ahsan Musalmano Par Hai? – Maulana Shafiq Attari Dawateislami 

 

Khuda ka Ahsaan khuda ka fazl hi hota hai. Maloom huaa ki jo Huzoor Rehmate Aalam Muhsin-e-Insaniyat Hazrat Muhammad Mustafaﷺ ki Zaat-e-Paak ko khuda ki rehmat aur uska fazl samajta hai wo shakhs yaqeenan aapki paidaishe pak ki khushiya manayega aur jo shakhs Huzoorﷺ ki Zaat-e-Paak ki ahmiyat nahi samajhta phir usko apna aqida check karna chahiye.

📚 Bukhari Shareef Jild. 2 Safa 566 mein Hazrat Imam Bukhari se riwayat hai ki;

“Hazrat Muhammad Mustafaﷺ Nematullah (Allah ki Nemat) hai.”

Maloom hua ki jab Huzoorﷺ Nematullah hai, Is hadees shareef ke mutabiq Huzoor Rehmat-e-Aalamﷺ ka charcha khoob karna chahiye kyunki aap khud bhi Allah Ta’alah ki nemat hai aur duniya ki nematon ki nemat hai. Aap hi ne nematon ko nemat banaya agar aap allah ki nematon se fayda uthane ka saleeqa na batate toh hum nematon ke hote huwe bhi nematon se fayada uthane se mehroom rehte. Galat tareeqe se istemaal karne se nematein zehmatein ban jaati. Aapka zikr paak khuda ko mehboob wa maqbool aur matloob hai.

Ek jagah Qur’aan Majeed me Allah Taalah Farmata hai;

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ

وَ اَمَّا بِنِعْمَةِ رَبِّكَ فَحَدِّثْ(11)

اور اپنے رب کی نعمت کا خوب چرچا کرو ۔

Aur Apne Rab ki Nemat ka Khoob Charcha Karo.

(📚 Tarjuma e Kanzul Imaan; Surah Duha : 11)

Ab yeh charcha juloose Eid Milad-un-Nabiﷺ ki shakl mein ho, yaa mehfile Milad-un-Nabiﷺ ki soorat mein ho, yaa Salat-o-Salam ke shaql me ho yaa Naat Khawani ki khas mehfil ki shaql mein ho yeh sab Zikr-e-Nemat Mustafaﷺ hi hai aur Qur’aan paak ke irshadat par amal hai.

Isi par Aala Hazrat Imam e Ahlesunnat farmate hai

Hashr Tak Dalenge Hum Paidaish e Maula Ki Dhoom 

Misl Faras Najd ke Qalae Girate Jayenge

Khaak Ho Jaye Adu Jal Kar Magar Hum To Raza

Dam Me Jab Tak Dam Zikr Unka Sunate Jayenge 

Visit more

HOME PAGE

Eid Milad-un-Nabiﷺ Kya hai? Isko manane ke tariqey…

Amina Bibi Ke Gulshan Me Aayi Hai Taaza Bahaar | Eid e Milad Naat Sharif Roman Urdu & Urdu Full Lyrics


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top