Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Duniya Ka Sabse Bada Camera | Megapixls 3200 sensors

Spread the love

World Largest Camera

(Duniya ka sabse Bada Camera) 📷

world-largest-camera-duniya-ka-sabse-bada-camera
Duniya ka sabse Bada Camera 📷

Aaj tak hamne abhi tak jinte cameras dekhe aur iste’amaal kiye hai, thode size me farq honge thode megapixels me, but kya aapne sabse bada ek car ke equal ka camera dekha hai? Aayiye aage mazeed padhte hai iski details…

 

world-largest-camera
World Largest Camera

Yeh duniya ka sab se bada camera hai. Ise America ke ek Engineer ne haal hi mein banaya hai. Yeh camera specially Kahkashao’n (Galaxies) ko dekhne ke liye banaya gaya hai. Yeh camera bade se bade clusters ki tasweer aasani se lene(capture) ki salahiyat rakhta hai. Is camera ki ak khaas baat yeh hai ke, Yeh zameen se billion Kahkashao’n ki tasaveer le sakta hai. Yeh camera sirf Kahkashao’n ko dekhne, dikhaane ke liye design kya gaya hai. Is camera ki lambai (length) 1.65 meter hai. Jabki, iska wazan(weight) 3 ton hai. Yeh ek Gaadi(Car) jitna bara camera hai. California ke Engineer ka kehna hai ki, is camera me megapixel 3200 sensors lagaye gaye hain. Aksar dost yahan sawal karte hain ke itnay saaray Kahkashao’n ki tasweer lena kaise mumkin(possible) hai? Jis me arbon kharbon (millions billions) sitaare aur sayyare hotay hain. Is ka jawab yeh hai ke sooraj jo hum se 149 million kilo meter door aur hamari zameen se 13 laakh guna(times) bada hai. Is ki tasweer agar hum apne mobile ke aik chhoote se camera se le satke hai, to itnay bade camera se Kahkashao’n ki tasaveer lena konsa mushkil kaam hai. Yeh camera “SLAC” labe me banaya gaya hai. Jo America ke state “California” me waqay (Placed) hai. Iski total cost 168$ million batai ja rahi hai.

Isi tarah aur majeed knowledge ke liye neeche link par click karen.

Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top