Brief Biography Imam Jafar al-Sadiqرضي الله عنه
![]() |
Aap ka naam Abu Muhammad Imaam Jafar Sadiq رضي الله عنه hai, Aap ki wiladat 17 Rabi ul Awwal 83 hijri mein Madeena Shareef mein huwi aapke walid ka naam Hazrat Muhammad Imaam Baaqir bin Imaam Zainul Aabedin رضي الله عنهم hai aur aap ki walida ka naam Hazrat e Umme Farwah Fatima binte Hazrat Qaasim bin Muhammed bin Abu Bakr Siddique رضي الله عنها hai, Aap ne apne dada Hazrat Imaam Zainul Aabedeen رضي الله عنه aur apne Walid Hazrat Imaam Baaqir رضي الله عنه ke paas Quraan aur Tafseer ki taleem hasil ki aur fiqh (Islamic Jurisprudence), falsafa (philosophy), Ilm e kalaam (theology), Ilm e riyaazi (mathematics), Ilm e hai’at wa falak (astronomy), Ilm e tashreeh (anatomy), Ilm e keemiya (alchemy) aur doosre uloom mein mahir huwe aap Masjid e Nabavi mein logon ko ilm e deen ki taleem dete the. |
Aap ne tijarat, wirasat aur zakat aur doosre kaafi masail hal farmaye aap silsila e aalia qadriya ke 6the Imaam hain.
Aap ke mashoor khalifa Khawaja Baayazeed Bustami علیہ رحمۃ ورضوان hai aur aap ke shagordoñ mein
Hazrat Imaam e Azam Abu Hanifaرضي الله عنه
Imaam Maalikرضي الله عنه
Hazrat Sufiyan Sauriرضي الله عنه
Hazrat Jaabir ibn Hayyanرضي الله عنه
Hazrat Qaazi Sukuniرضي الله عنه
Hazrat Qaazi abul bakhtari رضي الله عنهم
mashoor hai
Aap ki shaan itni aala hai ke inhein millat e Mustafvi ka Sultan, Hujjat e Nabvi ka Burhan, Sidqo Tehkeek ka Aalim, Auliya ke diloñ ka Markaz, Jigar Gosha e Ali aur Waris e Nabi kaha jata he.
Hazrat Imaam Jafar رضي الله عنه ke alqaab Saadiq (Truthful). Faazil (Virtuous). Taahir ( Pure) hai.
114 hijri mein Aap ke waalid ke inteqaal ke baad aap Imaam bane tabh aapki umr e pak 31 saal thi aap Aaimma e Ahle Ba’it ke (6) chhathe Imaam hai aapko Imam Muhammed al Baaqir رضي الله عنه se Alwi Husaini Silsile ki aur Hazrat Qasim bin Muhammad bin Abu bakr Siddique رضي الله عنه se Siddiqiya silsile ki khilafat mili thi.
15 rajab aap ke wisaal ka din hai iss din aur maah e rajab mein jo kheer aur koonde ki niyaz ki jaati hai aur fateha dilaya jaata hai woh aap se mansub hai aur yeh bilkul jaeez hai.
Ek haji sahab ne Imaam Jafar Saadiq رضي الله عنه ki Khidmat e Aqdas mein haazir ho kar arz ki ke maiñ hajj ko jaa raha hu yeh dus hazaar (10000) dirham lijiye aur mere liye ek makaan khareed lijiye baad e faraag e hajj maiñ laut kar ma-ahlo ayaal uss mein rahuñ.
Imaam Jafar Saadiq رضي الله عنه ne yeh tamaam rakm raahe khuda mein sarf (kharch) farma di jab haji sahab laute aur haazir e khidmat huwe to farmaya haaji sahab maiñe aapke liye jannat mein makaan khareed liya hai jo ek simt se Huzoor ﷺ ke Kashaana e Aqdas se milta hai doosri simt se Maula e kainaat shere khuda رضي الله عنه ke shabistaane mua’la se milta hai aur teesri taraf se Imaam Hasan رضي الله عنه ke muqaddas qasr se aur chauthi jaanib se Imaam e Hussain رضي الله عنه ke mehale anwar se, yeh lo iska bae-naama.
Haji sahab ne bae-nama ka kaagaz liya aur ghar chale gaye ahle khana se wasiyat ki meri wafaat ke baad meri qabr mein yeh kaagaz rakh dena jabh haji sahab ka wisaal huwa hasb e wasiyat kaagaz qabr mein rakh diya gaya doosre din wahi bae-nama ka kaagaz qabr ke upar rakha huwa mila, uski pusht par likha huwa tha Imaam Jafar Saadiq رضي الله عنه ne apna waada sach kar dikhaya.
#Shawahid un Nubuwwah, Safah 191.