Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Black Hole kya hain? | Quran Me Iska Bayan

Spread the love

Black hole kya hain?

Black Hole kya hain? Black Holes and Quran

Black holes asal mein kaainaat (space) mein woh maqamat hain jinki kashish-e-saql itni ziada hai ke woh roshni ko bhi apne andar khinch lete hain. Jis cheez ki kashish itni ziada ho ke woh roshni ko bhi andar khinch le, usko dekhna insaan ke liye na-mumkin hai. Lekin 10 april 2019 mein insani tareekh ne woh sang-e-meel abar kar liya, jahan woh black hole ki tasveer lene mein kamiyaab hogaya.

Agar kisi tarah aap ki jeb mein ek sikka (coin) utna black hole numoodar ho jee to kya hoga? Is sikke (coin) ke itne black hole mein itni kashish-e-saql hogi ke woh poori kurra-e-arz (zameen) ko apne andar khinch kar nigal sakega.
Is liye 2019 mein black hole ki tasveer ko insani tareekh ko bohat bara karnamah samjha jaraha hai, aur pura international media isko cover kiya.

Ab zehan mein uthne wala sawal yeh hai ke kisi cheez ki itni ziada kashish-e-saql ho to uski picture kaise li gei?

Is picture ko lene ke liye project shuru hua jiska naam tha “The event horizon telescope collaboration.” is project mein 200 se zyada resayarchers ne hissa liya aur das saal se zyada arsa is ek tasveer ko lene ke liye kaam kiya.

Is project mein 8 radio telescopes ko zameen ke gird space mein is tarah se chhoda gaya ke yeh 8 telescopes aapas mein mil kar aise kaam karen jaise yeh 8 nahin ek hi telescope ho. In aathon telescopes ne aapas mein mil kar ek zameen jitni bari telescope ban kar kaam kiya aur paanch din mein is black hole ki picture li.

Bhala yeh black hole hamse kitni door hai?

Agar is black hole se roshni ham tak pohanchani ho to, us roshni ko pehle 60 hazaar saal to apni galaxy se nikalne mein lagein gi, agle 55 million saal space mein safar karein gi aur iske baad hamari zameen ke andar dakhil hogi.Ab itni door kisi cheez ko dekh kar uski tasveer lena, koi mamooli milestone to nahi hosakta na.

Yeh black hole hamare liye khatarnak nahi hai kyunke yeh hamari galaxy mein nahi hai. Agar yeh hamari galaxy mein hota to shayad ab ham nahi hote kyunke. Jitni asani se aap marshmallow ka ek chhota tukra apne moun mein rakh kar use kha lete hain, utni asani se yeh tasveer wala black hole hamara pura solar system apne andar khinch kar kha sakta hai. Matlab 1 sooraj, 8 siyare (Planet) is akele black hole ke liye marshmallow se zyada ahmiyat nahi rakhte.

 

Black holes & Quran

Black holes ke bare mein quran ne hamein 1400 saal pehle bataya.
“Surah at-tariq” aur “Surah al-waqi’ah” mein black holes ke bare mein nishandahi ki gei aur lafz “Tariq” ko aaj ki scientific zabaan mein black holes kaha jata hai.

Aaj ki science ne abhi tak do black holes daryaft kiye hain jin ka naam S5 0014+81 aur XTE J1650-500 rakha gaya hai.

Jabke quran ne “Surah al-mu’minun” mein bataya hai ke un ki kul tadad saat hai. Aur quran ne black holes ko sitaron ke doobne ki jagah bhi qarar diya hai jiski taqreeb tak abhi science nahi pohanch saki.

“Quran” yeh bhi batata hai ke is kaainaat jaisi mazeed kaainatain bhi mojood hain. Jinhain “Surah nuh” mein saat mutawazan aasmanon ka naam diya gaya hai. Aur aaj science ne ise mana hai ke is jaisi aur bohat si kaainatain mojood hain jo is kaainat ke bilkul mutawazan hain. Sciencei istilah mein ise “parallel universes” ka naam diya gaya hai. Aur “Quran” se hi hamein pata chalta hai ke yeh black holes ek duniya se dosri duniya tak jane ka rasta hain.

Magar ise tez tareen bijli ki speed ke baghair paar nahi kiya ja sakta aur bijli ki speed se koi sawari banana abhi tak insaan ke liye ek namumkin kaam hai. Black holes ko sirf ek sawari ne hi paar kiya hai woh hai “Buraq” yaani bijli jaisa tez raftaar. Woh sawari jis par hazrat Muhammadﷺ ne “Shab-e-miraj” mein sawari ki thi.

 

Read Also…▼


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top