Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Biography of Huzoor Taaj-ush-shariah Mufti Akhtar Raza Qadri Rizvi (Azhari Miya) رضي الله عنه

Spread the love

Huzoor Taaj-ush-shariah Mufti Akhtar Raza Qadri Rizvi (Azhari Miya) رضي الله عنه

Biography of Huzoor Taaj-ush-shariah Mufti Akhtar Raza Qadri Rizvi (Azhari Miya) رضي الله عنه
 
 Huzoor Taaj-ush-shariah Mufti Akhtar Raza Qadri Rizvi (Azhari Miya) رضي الله عنه  ka Mukhtasar ta’aruf (Biography). Aap Ashiqu e Rasool aur Gulam e Ahle-Bait hai. Aap ka har kaam Shariat e Islaam ke hisaab se hota aap ka aisa koi amal nahi tha jo shariat ke khilaf ho isliye aap ko Taaj-ush-sharia ( Shariat ka Taaj) kaha jaata hai. Aap ka Shajra e Nasab, Taleem wa Tarbiyat aur aap ki Karamaat ka Mukhatasar muta’ala aage kare.

 

Shajra e Nasab Huzoor Taaj-ush-shariah رضي الله عنه :

 

Huzoor Taaj-ush-shariah رضي الله عنه Mufassir-e-Aazam Hind Hazrat Allama mufti Muhammed Ibrahim Raza Khan Quadri ke Lakht-e-Jigar Sarkar Mufti-e-Aazam Hind Allama Mufti Mustafa Raza Khan Quadri Noori ke sucche Ja-Nasheen Hujjat~ul~Islaam Hazrat Allama Mufti Muhammed Haamid Raza Khan Qadri Razvi ke Mazhar aur Sayyadi AalaHazrat Imaam-e-Ahle Sunnat Mujaddid e Deen O Millat Ash-Shah Imaam Ahmed Raza Khan Qadri Barkati Barelviرضي الله عنه ki Barkaat O Fuyuzaat ka Mamba aur unke Uloom wa Riwayaton ke waris wa Ameen hai.

 

 
Biography of Huzoor Taaj-ush-shariah Mufti Akhtar Raza Qadri Rizvi (Azhari Miya) رضي الله عنه

 

In Azeem nisbato ka faizan aapki Shakhsiyaat me Ousaaf Hameeda aur Iqlaaq-e-Karimana ki surat me jhalak raha hai. Ustadul Fuqahaa Hazrat Allama Mufti Abdul Raheem Sahab Bastaviعليه الرحمه Huzoor Tajush Shariah par in azeem hastiyon ke faizan ki barisho ka tazkirah in alfaaz me karte hain : “Sab hi Hazraat-e-Giraami ke kamaalat Ilmi O Amli se aapko garaan-e-qadr hissa mila hai. Fahm O Zaka, Quwwat-e-Haafiza O Taqwa Sayyidi Aala Hazrat se, Jodat Taba O Maharat tama {Arabi Adab} me Huzoor Hujjat~ul~Islaam se, Fuqah me Tajr O Asaabat Sarkar mufti Aazam hind se, Quwwat Khitaabat O Bayaan Walid Zufiqaar Mufassir-e-Aazam Hind se yani wo tamaam khubiyan aapko Viraseta Hasil hain jinki rahbar shariat O tareeqat ko zarurat hoti hai.” [Pesh guftaar, Sharah Hadees Niyyat/Safha:4]

 

 
10 20shawwal 20youm 20e 20wiladat 20Imaam 20Aala 20hazrat 20Rehmatullah 20Alaihe 20wa 20Ridwaan
Dargah e Aalahazrat (Maulana Naqi AliAalahazrat, Mufti e Azam)

 

Aala Hazrat Imaam Ahle Sunnat RaziAllahu tala anhu tak aapka Shijra~£~Nasab yun hai. Muhammed Akhtar Raza Khan Qadri Azhari bin Muhammed Ibrahim Raza Khan Qadri bin Muhammed Haamid Raza Khan Qadri Razvi bin Imam Ahmed Raza Khan Qadri Barkati Barelviرضي الله عنه.
 
Wiladat Ba Sa’adat: Huzoor Taaj-ush-Shariahرضي الله عنه ki wiladat ba sa’adat 24-Jil Qaidah 1362 Hijri / 23-November 1943 Isvi baroz Mangal(Tuesday) Hindustan ke shaher Bareilly Shareef ke Muhalle Soudagran me hui.

Ism-e-Girami: Aapka Isme girami “Muhammed Ismail Raza” jabke Urfiyat “Akhtar Raza” hai. Aapke Alqaabat me Tajush Shariah, Janasheen Mufti e Aazam, Shaikhul Islam wa Al-Muslimeen hai’n.

 

Bhai Bahen: Aapke 4 bhai aur 3 bahne hain…2 bhai aapse bade hain. Rehan Millat Moulana Rehan Raza Khan Qadri aur Tanveer Raza Khan Qadri(Aap bachpan hi se Jazb ki kaifiyat me Gharq rahte the bil Aakhir Mafqood ul qabr hogye) Aur 2 Aapse chote hain.. Dr. Qamar Raza Khan Qadri aur Moulana Mannan Raza Khan Quadri.
 
 
TALEEM o TARBIYAT:
Ja-Nasheen e Mufti e Aazam Huzoor Tajush Shariahرضي الله عنه ki Umr shareef jab 4 saal 4 maah aur 4 din hui to aapke Walid Majid Mufassir e Aazam Hind Hazrat Ibrahim Raza Khan Jeelaniرضي الله عنه ne taqreeb Bismillah khwani munaqid ki. Is taqreeb sayeed me “Yadgar e Aala Hazrat Darul Uloom Manzar e Islam” ke tamam talaba ko dawat di gayi. Rasm Bismillah Nana jaan Tajdar e Ahle sunnat Sarkar e mufti e Aazam hind Muhammed Mustafa Raza khan Nooriرضي الله عنه ne adaa karayi. Huzoor Taaj-ush-Shariahرضي الله عنه ne “Nazra Quran Kareem” apni vWalidah Majida Shahzadi e Mufti e Aazam se ghar par hi khatm kiya. Walid Majid se Ibtedai Urdu kutub padhi. Iske baad Walid Buzurgwar ne “Darul Uloom Manzar e Islaam” me Dakhil kara diya. Dars Nizami ki takmeel aapne Manzar e Islaam se ki. Iske baad 1963 isvi me Huzoor Taaj-ush-Shariah Jamiat-ul-Azhar Qahir Misr ke Kuliyat Usool-ud-din “me dakhila liya, aur musalsal 3 saal tak fan e Tafseer O Hadees ke mahir asateza se iktesaab e Ilm kiya. Taaj-ush-Shariah 1966-isvi / 1386-hijri me Jamiat ul Azhar se farigh hue. Apni jamat me awwal position hasil karne par aapko us waqt ke Misr ke sadr Karnal Jamaal Abdul Nasir ne “Jamiah Azhar Award” pesh kiya. aur sath hi sanad bhi nawaze gaye.
{Ba-hawala :Mufti e Aazam Hind aur unke Khulafa / safha: 150 / jild :1}
 
 
Ustad-e-Karaam (Teachers):
Aapke asateza e ikram me Huzoor Mufti e Aazam Ash-Shah Mustafa Raza Khan Noori Barelvi, Behrul Uloom Hazrat Mufti Sayyad Muhammed Afzal Hussain Razvi Mongeri, Mufassir e Aazam Hind Hazrat Mufti Muhammed Ibrahim Raza Jeelani Razvi Barelvi, Fazeelat ul Shaikh Allama Muhammed Samahi Shaikh ul Hadees wa Al-Tafseer e Jamiah Azhar Qahira, Hazrat Allama Maulana Mahmood Qbdul Ghaffar Ustaaz ul Hadees Jamiah Azhar Qahira, Rehan e Millat Qaide Aazam Moulana Muhammed Rehan Raza Rahmani Razvi Barelvi , Ustad ul Asateza Moulana Mufti Muhammed Ahmed urf Jahangeer Khan Razvi Aazmiرحمة الله عليه ke asma e Girami Shamil hain.
{Mufti e Aazam hind aur unke khualafa / Safha 150 / Jild : 1}
 
Azdawaji Zindagi (Married Life):
Janasheen Mufti e Aazam ka aqd masnoon Hakeem ul Islaam Moulana Husnain Raza Barelviرضي الله عنه ki Dukhtar nek Akhtar ke sath 3 November 1968-isvi / Shaban ul muazzam 1388-hijri baroz Itwar ko Muhalla Kaankar Tola Shaher Kohna Bareilly me hua. Aap ke ek Sahebzade makhdoom girami Moulana Asjad Raza Khan Qadri Barelvi aur 5 Sahebzadiyan hain.
 
 
Dars-o-Tadrees:
Huzoor Tajush Shariahرضي الله عنه ne tadrees ki ibteda Darul uloom Manzar e Islaam bareli se 1967 isvi me ki. 1978 isvi me aap Darul uloom ke Sadrul mudris aur Ravi Darul afta ke sadr Mufti ke Ahde par faaiz hue. Dars o Tadrees ka silsila musalsal 12 saal jaari raha lekin Huzoor Tajush Shariahرضي الله عنه ki kaseer masrufiyaat ke sabab ye silsila mustaqil jaari nahi rah saka. Lekin aaj bhi aap Markazi Darul Afta bareli shareef me “Taqassus fi al-fuqah” ke ulama e Ikraam ko “Rasmul mufti, ajli al-Aalaam” aur “Bukhari Shareef” ka dars dete hain.


Be’at-o-Khilafat:
Huzoor Tajush Shariahرضي الله عنه ko Bait o khilafat ka sharf sarkar mufti e Aazam raziallahu anhu se hasil hai. Sarkar Mufti e Aazam Hindرضي الله عنه ne bachpan hi me aapko bait ka sharf ataa farma diya tha aur sirf 19 saal ki umr me 15 january 1962-Isvi / 1381-hijri ko tamaam salasil ki khilafat o ijazat se nawaza. Ilawa azeen Aap ko Khalifa e Aala hazrat Burhan e Millat Hazrat Mufti Burhan ul Haq Jabalpuri, Sayyad ul ulama Hazrat Sayyed Shah Aal Mustafa barkati Marahravi, Ahsan ul ulama Hazrat Haidar hasan Miyan Barkati, Walid majid mufassir Aazam Allama mufti Ibraheem raza khan Quadri raziallahu anhu se bhi jami’a salasil ki ijazat o khilafat hasil hai.
{Tajalliyat Tajush Shariah / safha : 149}

Bargaah e Murshid me Muqaam:
Huzoor Tajush Shariah ko apne murshid bar haq, Shahzada e Aala hazrat Tajdar e Ahle sunnat Imaam ul Mashaayeq Mufti e Aazam hind Abul Barkaat Aal Rahman Hazrat Allama Mufti Muhammed Mustafa Raza Kha’n Nooriرضي الله عنه ki Bargah me bhi buland maqam hasil tha. Sarkar Mufti e Aazamرضي الله عنه ko aapse bachpan hi se be inteha tawaqqu’aat wabasta thi. Jiska andaza unke irshadaat e Aaliyah se lagaya ja sakta hai jo muqtalif mawaqe par aap ne irshad farmaye : “Is Ladke(Huzoor Taaj-ush-Shariah) Se Bahot Ummid Hai.”
Sarkar Mufti Aazam hindرضي الله عنه ne Darul ifta ki azeem zimmedari aapko sonpte hue farmaya : “Akhtar Miyan ab ghar me baithne ka waqt nahi, ye log jinki bheed lagi hui hai kabhi sukun se baithne nahi dete, ab tum is kaam ko anjaam do, Main tumhare supurd karta hun.” Logon se mukhatib ho kar mufti Aazam ne farmaya : “Aap log ab Akhtar Miya se ruju kare inhi ko mera Qayem Muqam aur Janasheen jane.”
Huzoor Mufti Aazamرضي الله عنه ne apni Hayaat e Mubaraka ke Aakhri dour me Huzoor Tajush Shariah رضي الله عنه ko tahreeran apna qayem muqaam O janasheen muqarrar farmaya tha.
 

 

Roza (Shrine) Mubarank Huzoor Taaj-ush-shariah Mufti Akhtar Raza Qadri Rizvi (Azhari Miya) رضي الله عنه
Roza (Shrine) Mubarank Huzoor Taaj-ush-shariah Mufti Akhtar Raza Qadri Rizvi (Azhari Miya) رضي الله عنه

 

 
 
………….Next Coming soon…

Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top