Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki | Lyrics | Kalam e Ala Hazrat

Spread the love

Table of Contents

Roman Urdu

Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki | Lyrics | Kalam e Ala Hazrat

Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki
Dekhni Hai Hashr Me Izzat Rasoolullah Ki

Qabr Me Lehrayenge Ta Hasr Chashme Noor Ke
Jalwah Farma Hogi Jab Tal’at Rasoolullah Ki

Kafiro Par Taigh Wala Se Giri Barq e Gazab
Abr-e-Aasa Chha Gayi Haibat Rasoolullah Ki

La-Wa-Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila
Bat’ti Hai Kaonain Me Ne’mat Rasoolullah Ki

Wo Jahannum Me Gay Jo Unse Mustaghni Hua
Hai Khaleelullah Ko Haajat Rasoolullah Ki

Sooraj Ulte Paw Palte Chaand Ishaare Se Ho Chaak
Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasoolullah Ki

Tujhse Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Door Ho
Hum Rasoolullah Ke, Jannat Rasoolullah Ki

Zikr Ro Ke Fazl Kaatey Nuqs Ka Jooyaa’n Rahe
Phir Kahe Mardak ke Hoon Ummat Rasoolullah Ki

Najdi Usne Tujhko Mohlat Di ke Is Alam Me Rahe
Kafir-o-Murtad Peh Bhi Rahmat Rasoolullah Ki

Hum Bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse Fuzoo
Aur Naa Kehna Nahi Aadat Rasoolullah Ki

Ahle Sunnat Ka Hai Beda Paar Ashaabe Rasool
Najm Hai Aur Naav Hai Itrat Rasoolullah Ki

Khaak Hokar Ishq Me Araam Se Sona Mila
Jaan Ki Ikseer Hai Ulfat Rasoolullah Ki

Toot Jaayenge Gunaahgaro Ke Fawran Qaid-O-Band
Hashr Ko Khuljaaegi Taaqat Rasoolullah Ki

Ya Rabb Ek Saa’at Me Dhul Jaaye Siya’nkaro Ke Jurm
Josh Me Aajaaye Ab Rehmat Rasoolullah Ki

Hai Gul-e-Baagh-Qudus Rukhsaar-e-Zebaye Huzoor!
Sarwar-e-Gulzar-e-Qadam Qamat Rasoolullah Ki

Ae Raؔza Khud Saahibe Quraan Hai Maddahe Huzoor
Tujhse Kab Mumkin Hai Phir Mid’hat Rasoolullah Ki

اردو

عرشِ حق ہے مسندِ رفعت رسولُ اللہ کی
دیکھنی ہے حشر میں عزت رسول اللہ کی

قبر میں لہرائیں گے تا حشر چشمِ نور کے
جلوہ فرما ہوگی جب طلعت رسول اللہ کی

کافروں پر تیغ والا سے گری برقِ غضب
ابرِ آسا چھا گئی ہیبت رسول اللہ کی

لَا وَ رَبِّ العَرش جس کو جو ملا اُن سے ملا
بٹتی ہے کونین میں نعمت رسول اللہ کی

وہ جہنّم میں گیا جو اُن سے مستغنی ہوا
ہے خلیلُ اللہ کو حاجت رسول اللہ کی

سورج الٹے پاؤں پلٹے، چاند اشارے سے ہو چاک
اندھے نجدی دیکھ لے قدرت رسول اللہ کی

تجھ سے اور جنّت سے کیا مطلب، وہابی دُور ہو
ہم رسولُ اللہ کے، جنّت رسول اللہ کی

ذکر رو کے فضل کاٹے، نقص کا جویاں رہے
پھر کہے مردک کہ ہوں اُمّت رسول اللہ کی

نجدی! اُس نے تجھ کو مہلت دی کہ اِس عالم میں رہے
کافر و مرتد پہ بھی رحمت رسول اللہ کی

ہم بھکاری، وہ کریم، اُن کا خدا اُن سے فزوں
اور نہ کہنا نہیں عادت رسول اللہ کی

اہلِ سنّت کا ہے بیڑا پار اصحابِ رسول
نجم ہے اور ناو ہے عترت رسول اللہ کی

خاک ہو کر عشق میں آرام سے سونا ملا
جان کی اِکسیر ہے اُلفت رسول اللہ کی

ٹوٹ جائیں گے گناہگاروں کے فوراً قید و بند
حشر کو کھل جائے گی طاقت رسول اللہ کی

یا رب! ایک ساعت میں دُھل جائیں سیہ کاروں کے جرم
جوش میں آ جائے اب رحمت رسول اللہ کی

ہے گُلِ باغِ قُدُس رُخسارِ زیبائے حضور
سرورِ گلزارِ قدم قامت رسول اللہ کی

اے رضا! خود صاحبِ قرآں ہیں مدّاحِ حضور
تجھ سے کب ممکن ہے پھر مدحت رسول اللہ کی

Listen Kalam in Beautiful Voice

Sharah-e-Kalaam-e-Aala Hazrat

Kya aap sirf kalam parhte hain ya usay samajhna bhi chahte hain? Hamare “Sharah” section mein har misray ka matlab aur roohani paighaam asaan lafzon mein samjhaya gaya hai. Tafseel se padhne ke liye zaroor visit karein. Visit karne ke liye Read More button par click karen.

– Jazakallahu Khaira –

Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
Neeche apna feedback likhna na bhoolen!


Spread the love

1 thought on “Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki | Lyrics | Kalam e Ala Hazrat”

  1. Pingback: Lamyati Nazeero Kafi Nazarin | Lyrics | Kalam E Ala Hazrat

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top