Allah Taala Ke Related Aqaid
1) Allah ek¹ hai, Us ka koi Shareek(Uske jaisa koi doosra) nahi. Na jaat me, na sifaat me, na fa’al(kaam) me, na ehkaam me, na Asma’a me, wah Wajib-ul-Wajood hai, Uska hona jaruri hai. Us ka maujood na hona na-mumkin hai. Wah bahot pahle se hai. Yani Hamesha se hai. Aur wo hamesha rahega aur wahi is Layeq hai ki iski ibadat ki jaye.
2) Wah be-parwa’h hai, kisi ka mohtaj nahi, tamam jahan us ki mohtaj hai.
3) Uski jaat ko Aqal se jariya ahata nahi kiya ja sakta.
4) Uski Sifa’at na-ayen hai na gair, yani us ki Sifa’at khud wo nahi lakin us se juda bhi nahi. Is ko Yuh samjhe ki jaise phool se khusbu aati hai lakin Khusbu ko phool nahi kah sakte aur khusbu ko phool se juda bhi nahi kar sakte, jab se jab tak phool hai to Khusbu bhi rahegi.
5) Isi tarah jaise us ki jaat hamesha wa hamesh rahi aur rahne wali hai isi tarah us ki Sifa’at bhi Hamesha wa hamesh se hai aur hamesha rahegi.
6) Uski Sifa’at koi makhlooq nahi ki jis ke jariye wo karwata ho, aur na hi koi Zer e Qudrat hai yani na wo kisi ke hukm se karta hai.
7) Jaat wa Sifa’at ke siwa sab cheej hadis hai yani pahle na thi fir hui.
8) Sifa’at e Ilahi ko jo makhlooq kahe ya hadish(baad me hona) bataye wo gumra’h aur bad’deen hai.
9) Jo Alam(Duniya) me kisi cheej ko Qadeem(Muraad; Allah se pahle) jane aur hadoos(Muraad; Allah ke baad hone par) par Shaq kare, Kafir hai.
10) Na wo kisi ka beta (son) na kisi ka baap(father) na us ke liye Bibi, jo us ko baap ya beta bataye ya us ke liye Bibi sabit kare wo kafir hai. Yaha tak ki jo kahe ki ye Allah ke liye mumkin hai to wo bhi gumra’h wa bad’deen hai.
لَمْ یَلِدْ, وَ لَمْ یُوْلَدْۙ(سورۃ اخلاص-۳)
Pingback: Fairshte | Quran Majeed Me Farishton Ke Naam | Angels Name In Islam & Quran » Islam Is The Great